Part 5 wahabi najdi ki haqiqat
Ahadees e Miqaat
Hazrat ibn umer radi Allah anho se rawayat hai ke: Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne ahle Najd ke liye qarn aur Ahle Shaam ke liye Juhfa aur Ahle Madina ke liye Zeel Halifa ko Maiqaat muqarrar farmaya, Hazrat ibn Umer radi Allah anho ka bayan hai ke ye mein ne Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai aur mujhe khaber mili hai ke Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Ahle Yemen ke liye yalmalm hai to Iraq ka ziker hua to unhoon ne farmaya ke us zamanay mein iraq nhe tha (Yani us zamanay mein Iraq fatah nhe hua tha.).
Sahih Bukhari, Vol 3, Page 1930, Hadees 2200.
Hazrat Ibn Umer Radi Allah Anho se Rawayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne Ahle Madina ke liye dhul halifa, Ahle Shaam ke liye Juhfa, Ahle Yemen o Tehama ke liye yalmalm, Ahle Taif o Najd ke liye Qarn aur ahle Iraq Ke Liye dhat irq ko miqaat muqarar kiya gia hai. Siyati fi Musnad Jabir, Hadees 14626
Comment:
Is hadees se saaf pata chalta hai ke Iraq aik alag ilaqa hai aur Najd aik alag ilaqa hai.
Ab is baat ko mazeed is hadees se wazeha kerte hain jis mein Najd ke ghazwa ka zikr aya hai. Miqaat wali aisi ahadees 100 se ziyada hain lakin samajhne ke liye 1 he kafi hoti hai ager aqal ho to.
Hadees:
Ghazwa e najd Hazrat Abu Hurayra radi Allah anho se pochha gia ke kiya aap ne Hazoor sallallahu alaihe wasallam ke sath khauf ki namaz ada ki hai?
Farmaya: Haan, us ne poochha kab? Unhoon ne farmaya ke ghazwa e najd mein. For full hadees reference is:
Nisai Shareef vol 1 Page 1318, Hadees 1546 baab salatul khauf
Comment:
Ager ye ghazwa Iraq Ke Najd mein hota to basra ya koofa ka naam zaroor ata ya phir tibristan ka naam zaroor ata lakin nahe aya kion ke Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne kabhi Iraq Ke khilaaf jung nahe ki thi aur na iraq gaey thy.
Ab jo hadees paish kerne laga hoon wo Najd ko bilkul clear ker dega ke "Qarn Ash'shaitan kaun sa Najd Hai.
Hadees: Hadees Najd:
Amr ibn Abasa said: ‘Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) was one day reviewing the horses, in the company of Uyayna ibn Hisn ibn Badr al-Fazari. [. . .] Uyayna remarked: "The best of men are those who bear their swords on their shoulders, and carry their lances in the woven stocks of their horses, wearing cloaks, and are the people of the Najd." But Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) replied: "You lie! Rather, the best of men are the men of the Yemen. Faith is a Yemeni, the Yemen of [the tribes of] Lakhm and Judham and Amila. [. . .] Hadramawt is better than the tribe of Harith; one tribe is better than another; another is worse [. . .] My Lord commanded me to curse Quraysh, and I cursed them, but he then commanded me to bless them twice, and I did so [. . .] Aslam and Ghifar, and their associates of Juhaina, are better than Asad and Tamim and Ghatafan and Hawazin, in the sight of Allah on the Day of Rising. [. . .] The most numerous tribe in the Garden shall be [the Yemeni tribes of] Madhhij and Ma’kul.
’ (Ahmad ibn Hanbal and al-Tabarani, by sound narrators. Cited in Ali ibn Abu Bakr al-Haythami, Majma al-zawa’id wa manba‘ al-fawa’id [Cairo, 1352], X, 43)
Comment
Is hadees mein to her doubt clear ho jata hai ke najd ke log behtareen log hain. Lakin Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke tum ne jhoot bola aur farmaya ke behtareen log Yemen ke hain. Is se bhi Najd ki burai samne aa gai hai. Aur ayainya bin bad al'fazari Iraqi Najd ke Nahe thy balke Mojooda Riyaz wale Najd ke thy. Is hadees ke ba'd kisi scholar ki opinion koi manni nahe rakhti kion ke Allah ke Rasool sallallahu alaihe wasallam ke qol se barh ker kisi ka qol nahe hai. Aur is hadees mein clear indication diya gia hai najd shaitan ka.
No comments:
Post a Comment