Part 26 Wahabi najdi ki haqiqat
27: Imam Badrud din aini khwarij tamimi per
Ye kharji log najd ke is ilaqa se niklay thy jahan tamimi abad thy.
Umdatul Qari page 490, vol 22
28: Bayan kia jata hai ke ye kalma "la hukmu illallah" sab se pehle banu sa'ad bin zaid bin manat bin tamim ke aik admi ne kaha tha.
Tareekh ibn kathir vol 7, page 292
29: Musaylma kazzab ka fitnah bhi bahut bara fitna tha jo najd mein barpa hua tha. Jis mein 40 hazar najdion ke muqable mein 13 hazar musalman Hazrat Khalid bin walid radi Allah anho ki qayyadat mein niklay aur aroob artadad mein sab se sakht jung najd ki sarzameen per larri gai. 700 sahaba e karam radi Allah anhum ne shahadat paee. Is doran banu hanifa ka aik sardar apni makkari aur chalbazi se kaam lete hoey teh teegh hone se bach gia to jab is ke bach jane ki khabar Hazrat abu bakr radi Allah anho tak pohanchi to aap ne irshad farmaya "kash ke Khalid bin walid inhain bhi teh teegh ker dete wo qayyamat tak apne kazzaboon ki wajah se musibat mein rahain gym ager ye ke Allah ta'ala un ko bacha le
Shykh Muhammad Abdul wahhab najdi, Mukhtasir seerat Rasool , page 28
30: Hazrat abu bakr radi Allah anho ne irshad farmaya "kash ke Khalid bin walid inhain
(Banu Hanifa ke Sardar ko) bhi teh teegh ker dete, wo qayyamat tak apne kazzaboon ki wajah se musibat mein rahain gym ager ye ke Allah ta'ala un ko bacha le
Shykh Muhammad Abdul wahhab najdi, Mukhtasir seerat Rasool , page 28
Comment: Is Mein Allah ke peyary banday Hazrat abu bakr radi Allah anho ne wazeha farma diya ke qayyamat tak Banu Hanifa (Najdi) apne kazzaboon ki wajah se musibat mein rahain gay. Aur banu hanifa Qabeela Rabiyya ki aik shaakh hai. Ab log kahain naa ke Najd Iraq Mein Hai.
31: Banu Tamim Ki Gustakh Aurat
Aik tamimiya aurat se nikah hota hai wo kehti hai ,, aa'uzubillah minka …. Aap farmate hain ke Khuda ki panah mangne wale ko panah hai jao apne ghar jao. Kaha gia ke baz auratoon ne unhain sikhaya tha ke tum ye kehna is se wo khush hongy.
Khulasatul seer, fi ahwaal syed al'bashar Sallallahu alaihe wasallam page 69
32: Ham kehte hain ke Hijaaz ke shehroon ke donoon mashriqoon (shamali aur janoobi) mein Najd ka sheher waqiya hai, iske 2 naam hain , Najd al,hijaaz aur najd al'aariz, yehi se qaramtiya, musaylma kazzab aur wahhabi niklay aur iska darul hakoomat riyaaz hai.
Muhammad Farid Wajdi, daira mu'aarif al'Qur'an al'ashreen , vol 10, page 54, matbooa darul ma'arfa bairut
33: Hazrat Usman radi Allah anho ko Qatal Misriyoun ne kiya. Lakin Hazrat Usam radi Allah ke chehray per thapr marne wala tamimi tha. Hajjaj ne pocha ke tum kaun ho? Us ne jawab diya umair bin zaabi al'tamimi ….. yehi wo shakhs hai jo Hazrat Usman radi Allah anho ke qatal ke bad un ke qareeb aya aur us ne Hazrat usman radi Allah anho ke chehray per thhapar mary, ye sun ker hajjaj ne forum umair bin zabi ke qatal ka hukam diya.
Al'bidaya wan'nahay vol 8 page 20
34: Hazrat Ibn Umer radi Allah Anho se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne irshad farmaya: Qabeela thaqeef Mein aik halakat mein dalne wala shakhs aur aik kazzab hoga.
Jamia Trimdi 3944, 2220
No comments:
Post a Comment