assalamualaikum warahmahtullahe wa barkatahu. Mere pyare sunni bhaiyo or behano hum ek 2re ko roz salam krte hain or jawab bhi dete hain, kya ap jante k assalamualaikum ka mana kya hota hai or ye salam tamam mazhabön k salam se afzal kun hai? To jawab ye hai. Bukhari wa muslim me hazarat abu hurairah radi allahu anhu se riwayat ki k NABI KARIM SALLALAHUALAIHI WASALLAM ne farmaya k jb hazrat aadam alaihissalam ko Allah taala ne paida farmaya , to farmaya dekho wo farishton ki jamaat paithi hai wahan jao or unhen salam kro or un k jawab me ghor kro qki wahi tumhari oulad ka salamo jawab hoga. Chunanchah hazrat aadam alaihissalam wahan gaye or kaha Assalamualaikum - wo sb bole Alaikassalamu warahmatuallah. Ulma frmate hain k salam agr chah ek aadmi ko kre magar 'Alaikum' zameere jama istaamal kre k har shakhs k sath farishte hote hain 'Karaman katbeen ' or muHAfazeen unko bhi salam hojaye chunanchah wo bhi jawabe salam dete hain. Khayal rahe k jama k atlaq kam se kam 3 par hota hai. Tarmzi , abudaud ne hazrat Imran bin Huseen se riwayat ki k ek shkhs NaBI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI khidmat me hazir hua or Arz kya ASSALAMUALAIKUM huzur ne jawab diya or farmaya DAS .fir 2ra aya ,Arz kiya ASSALAMUALAIKUM WARAHMATULLAHE. apne jawab diya or farmaya 20.fir 3ra hazir hua or Arz kiya ASSALAMUALAIKUM WRAHMATULLAHE WABARKATUHU.apne jawab diya or farmaya 30.sharheen hadees farmate hain k pahle ko das nekiyan
milin 2re ko bees or 3re ko 30 milin.
mishkat sharif jild dom safa 397
.
No comments:
Post a Comment