async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Aurat par ghusl kab farz hota hai

Monday, November 9, 2015

Aurat par ghusl kab farz hota hai

Haiz-O-Nifaas Aur M.C. Periods Ka Bayan
Balig Aurat ke aage ke makam se jo khoon aadi taur par nikalta he aur wo bimari ya bachcha paida hone ki wajahse na ho use Haiz kehte he.
Bachcha hone ke bad ho to Nifas kehte he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 61)

Nifas yani wah khoon jo bachcha janne ke bad aata he.
Iski kami ki janib koi muddat mukarrar nahi.
Aadhe se jyada bachcha nikalne ke bad 1 aan bhi khun aaya to wah nifas he aur jyada se jyada nifas ka zamana 40 din-rat he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 63)

Haiz wa Nifas ki halat me Namaz padhna Roza rakhna Haram he.
In dino me Namaze maf he inki kaza bhi nahi.
Rozo ki kaza rakhna farz he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 64)

Istehaza:
Wah khoon jo Aurat ke aage ke makam se nikale aur Haiz wa Nifas ka na ho to ye istihaza he.
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

istehaza me na Namaz maf he Na roza maf he.
Aisi aurat se Sohbat Haram he
(Qanoon-E-Shariat Hissa 1 Safa 65)

"To Aurato se alag raho Haiz ke dino, aur unse najdiki na karo jab tak wo pak na hole.
Fir jub pak ho jaye to unke pas jao."
(Kanzul iman Para 2,Surah Bakar,Aayat 222)

Haiz ki muddat kam se kam 3 din aur 3 rate he.
Yani 72 ghante he aur Jyada se jyada 10 din aur rate he.
(Bahare shariat Jild 1 Safa 42)

Haiz ki Halat me Aurat Se Sohbat Karna Haram Hai
(Tirmizi Jild 1 Safa 136,Bahare shariat)

10 din se kam me khoon aana band ho gaya to jub tak gusl na kare sohbat jaiz nahi
(Bahare shariat Jild 1,Safa 74)

Aurat ko jab haiz ka khoon aana band ho jaye to use Gusl karna farz he
(Kanoon-E-Shariat Jild 1,Safa 38)

Haiz Se Pak Hone Ka Taariqa:
Ummulmomenin Hazrat Aayesha siddiqa radiallahu anha se riwayat he ki
Ek Aurat Rasoolallah Sallalaho Alayhi Wasallam se Haiz ke Gusl ke bare me pucha.
Aapne use bataya:
Yu gusl kare.
aur fir farmaya
Mushk (Kasturi) se basa hua rui ka faya le aur usse taharat hasil kar
Wo samaz na saki aur kaha
Kis tarah Taharat karu?
Huzoor ne farmaya
Subhanallah usse taharat karo
Hazrat Aayesha farmati he
Mene us Aurat ko apni taraf khich liya aur use bataya ki use khoon ke mukam par fere.
(Bukhari sharif Jild 1 Bab 215 Hadees 305 Safa 201)

Note:
is zamane me Mushk milna mushkil he isliye uski jagah Gulab pani ya itra ka faya le. Fir gusl kare.

Agar aam tour par zarurat padhne wale masle masail ap ko janna hai to aaj hi khareediye
Qanoon e shariyat

No comments:

Post a Comment