Khaaq-E-Karbala: Bugz-E-Hussain Rakhnewale Khaarjiyo Padho
Part-7
Is Duniya Me Ahele Bait Se Bugz Wa Inaad Raknewale Aise Bhi Kharji Hai Jo Apne Bugz Wa Inaad Ki Buniyad Par Ye Kahete Hai Ki Hazrat Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladne Ke Liye Gaye The Aur Ladai Ke Zariye Apni Khilafat Manwane Ke Liye Gaye The Magar Aye Itrat-E-Rasool ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Ta'assub Raknewale Kharjiyo Aur Aye Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Yazeed Ki Huqumat Ka Baagi Kahnewale Yazeediyo!! Apni Aakho Se Ta'assub Ke
Parde Utha Kar Dekho Apne Dilo Se Bugz Ke Gubar Ko Mita Kar Socho Apni Aql Wa Hosh Par Se Kharjiyat Ki Pattiya Utar Kar Samzo Ki Agar Imam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ladne Ke Liye Jate To Apne Saath Arab Ke Bahaduro Ka Laskar Le Jate Madina Ke Gaziyo Ki Fauj Le Jate Aur Makka Ke Mujahido Ki Talwar Le
Jate Agar Woh Ladne Ke Liye Jate To Apne Shirkhawar Asgar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Saath Le Kar Na Jate 6 Saal Ki Masum Beti Sakina ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ko Le Kar Na Jate Apni Bahen Zainab ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ko Le Kar Na Jate Woh Ladne Nahi Gaye The Magar Un Ko Majbooran Ladaya Gaya Tha....
Jhagda Khilafat Ka Nahi Tha Kisi Imamat Ka Nahi Tha Jhagda Tha To Islam Ki Sarhado Ko Todne Ka Ladayi Thi To Deen Se Dushmani Ki Aur Tanajha'a Tha To Sari'at-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Se Bagawat Ka Haan Agar Yazeed Ki Huqumat Gair Islami
Na Hoti Aur Us Ka Nizam-E-Huqumat Gair Sharai Na Hota Agar Woh Bhi Sari'at-E-Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Mutabiq Apni Huqumat Ko Chalata Khulfae Rasedeen ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ Ke Naqsh-E-Kadam Par Chal Kar Apni Huqumat Khalis Islami Deeni Aur Sarai Rakhta To Phir Agar Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Us Ki Aur Us Ki Huqumat Ki Mukhalifat Karte Phir Un Par Jo Ilzam Lagaya Jata Woh Durust Hota Aur Jab
Yazeed Ne Aisa Nahi Kiya To Us Ke Baad
Koi Aitraaz Karna Sirf Bad Diyanati Hi Nahi Balqi Be Deeni Bhi Hai....
Imam Aali Makam ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ke Be Saro Saman Aane Par Tanqeed Karne Wale Sawal Karte Hai Aakhir Woh Tanha Kyu Aaye?
Be Saro Saman Kyu Aaye?
Aur Apne Saath Aurto Aur Bachcho Ko Kyu Laye??
Magar Aise Logo Ko Malum Hona Chahiye Ke Batil Jab Bhi Aata Hai Shaan Wa Saukat Ke Saath Aata Hai Takht Wa Taaj Le Kar Aata Hai Jaah Wa Jalal Ke Saath Aata Hai Aur Saaz-O-Saman Le Kar Aata Hai Aur Haq
Jab Bhi Aaya Hai Be Wasila Aaya Hai Be
Saaz Wa Saman Aaya Hai Aur Tanha Aaya Hai....
Chahe Namrood Ke Sahi Darbaar Me Tarikh Ka Beta Ibtrahim ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Ho Ya Fir'aun Ke Samne Imran Ka Farzand Musa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Kuffar-E-Makka Ki Majlis Me Abdullah ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ka Durre Yatim ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ho Ya Yazeed Ke Muqable Me Fatema ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻬﺎ Ka Lakhte Jigar ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ .......
Kisi Bahot Khub Kaha Hai 🏻
Pucho Yazeed Se Tera Raaj Kahan Hai.....?
Wo Khoon Se Aludah Tera Taaj Kahan
Hai...?
Zindah Hai Husain ibne Ali Zindah Hi
Rahega....
Lanat Ke Siwa Teri Yaad Aaj Kahan Hai.?
"Afzal Hai Kul Jahan Me Gharana Hussain Ka
Nabiyon Ka Tajdar Hai NaNa Hussain Ka,
Eik Pal Ki Thi Bas Hukamt Yazeed Ki,
Sadya'an Hussain Ki Hai Zamana Hussain Ka"
----------------------------------------------------
ﺍﻓﻀﻞ ﮨﮯ ﮐﻞ ﺟﮩﺎﮞ ﻣﯿﮟ ﮔﮭﺮﺍﻧﮧ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ -
ﻧﺒﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﺗﺎﺟﺪﺍﺭ ﮨﮯ ﻧﺎﻧﺎ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ،
ﺍﯾﮏ ﭘﻞ ﮐﯽ ﺗﮭﯽ ﺑﺲ ﺣﮑﻮﻣﺖ ﯾﺰﯾﺪ ﮐﯽ -
ﺻﺪﯾﺎﮞ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﯽ ﮨﮯ ﺯﻣﺎﻧﮧ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﺎ۔!!!
----------------------------------------------------
Kaun Hussain....?
Jo Aabid The Aur Aise Aabid Ke
Inteha'i Mazlumi Aur Bekasi Ke Aalam Me Bhi Shab-E-Aashura Ki Sari Raat Apne Kheme Me Ibadate Ilahi Me Guzari Aur Aise Aabid Ki Apne Jisme Paak Par Sayekdo Zakhm Khane Ke Baad Bhi Maidane Karbala Ki Tapti Hui Ret Par Tahe Khanjar Bhi Do Nafl Ada Kar Gaye.
Kaun Hussain....?
Jo Bahadur The Aur Aise Bahadur
Ke Be Sar-O-Saman Hone Aur Teen Din Ke Bhuke Hone Ke BaWajood Bhi 20000
Dusmano Ke Muqable Me Subah Se Le Kar Zuhar Tak Date Rahe Aur Aise Bahadur Ke Jin Par Teero Ka Meh Barsa Nezo Ki Barish Hui Barchiyo Ke Badal Chaye Aur Talwaro Ke Tufan Uthe Magar Aap Ke Pa'o Me Jarrah Bhar Bhi Laghzis Nahi Aayi Aur Aakhri Dum Tak Sabit Kadam Rahe.
Kaun Hussain....?
Jo Sakhi The Aur Aise Sakhi The Ki
Dast-E-Karbala Me ALLAH Ki Raah Me Apne Bete Akbar Ko Qurban Kar Diya Apne Masoom Bachche Asgar Ko Apni Jholi Me Dum Todte Dekha Apne Bhai Ki Amanat Kasim Ke Sar Ko Pamal Karwaya Apni Bahen Ke Jigar Ghose Aaun-O-Muhammad Ki Lasho Ko Khoon Me Tadapte Dekha Apne Bhai Abbas Ke Baazu Kalm Hote Hue Dekhe Aur Phir Sab Se Aakhir Me Apne Bimar Bete
Aabid Ko Apni Ladli Beti Sakina Ko Apni
Pyari Bahen Jhainab Ko Bilkul Besahara
Chod Kar Apni Jaan Bhi Sakhawat Kar Di.
Jo Dahekti Aag Ke Sholo Par Soya Woh
Hussain.
Jisne Apne Khoon Se Alam Ko Dhoya Woh Hussain.
Jo Jawan Bete Ki Mayyet Par Na Roya Woh Hussain.
Jisne Sab Kuch Kho Ke Phir Kuch Bhi Na
Khoya Woh Hussain.
Jisne Apne Bachcho Ki De Di Sakhwat Woh Hussain.
Hash Kar Jis Ne Pi Liya Jame Sahadat Woh Hussain ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ
Masjide Nabvi ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Me
Namaz Ho Rahi Thi Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Jama'at Kara Rahe The Aur Muqtadi Hazrate Siddiqe Akbar Farooqe Azam Usmane Gani Aur Ali E Murtaza ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻬﻢ ﺃﺟﻤﻌﻴﻦ The Aur Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ki Umar 6 Saal Thi Woh Madina Munawwara Ki Galiyo Me Khel Rahe The Khelte khelte Masjide Nabwi Me Aaye To Dekha Nana Mustafa ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Sajde Me Hai To Imam Husain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ne Chalang Lagayi Aur Nabi Ke Kandho
Par Sawar Ho Gaye ....
Arshwale Hairan Rahe Gaye Fariste Dum Ba
Khud The Aur Hoore Mahawe Hairan Magar
Rooh-E-Fitrat Muskura Rahi Thi Jibra'il ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﺴﻼﻡ Pukar Utthe Maula Ye Kya Hai?
Bachcha Imam Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Imam Ul Ambiya ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke
Kandhe Par Sawar Sawar Ho Gaya ALLAH Ta'ala Ne Farmaya
"Jibra'il Khamosh!!! Aaj Jis Bachche
Hussain ﺭﺿﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻰ ﻋﻨﻪ Ko Tum Sajde Me Mere Mustafa ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ke Kandho
Par Dekh Rahe Ho Isi Bachche Hussain Ko Maidan-E-Karbala Me Neze Par Chad Kar Qura'n Padhte Bhi Dekh Na
Reference:
Khaaq-E-Karbala
Musannif Allama Iftkhar Ul Hasan Sahab
No comments:
Post a Comment