async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Maah e Ramzan 1

Thursday, November 12, 2015

Maah e Ramzan 1

بسم الله الرحمن الرحيم

Assalatu Wassalamu Alayka Ya RasoolAllah ﷺ

Maah e Ramzaan

Allah Ta'ala farmata hai muttaqi woh hai ke humne jo unhe diya hai usmein se  humari raah mein kharch karte hai.

Aur jo kuch tum kharch karoge Allah subhan wa Ta'ala uski jagah aur dega aur woh behtar rozi dene wala hai.

# Bahar e Shari'at, Jild 5, Safah 2.

Gusl waajib tha isi haalat mein sehri kar ke roza rakhha to roza ho gaya. Magar sara din isi haalat mein guzarna ki Namaze bhi qaza ho to gunaah o haraam hai.

# Bahar e Shari'at Jild 5, Safah 984.

FARISHTE KI LAANAT
SE BACH KE RAHO
HAR PAL HAR KADAM PE
ALLAH ﷻ SE DARO

Allah ta'ala Quran e majeed furqan e hameed mein irshad farmata hai, "Aur kya hi behtar hai woh log jo namaaz parhne wale aur zakaat dene wale, Aur Allah par roz e qayamat par imaan rakhne wale hai, Yahi log hai jinhe hum bada ajr ata karege.

Surah Nisa, Aayat 162.

PAA LO APNI AZADI
MITA LO APNI BARBADI
ALLAH KO YAAD KARO RAMAZAAN KI HAR RAAT
SUNLO HUMARE HUZOOR ﷺ
KI BAAT.
Sehri Khaya Karo Kyoon ki Sehri me Khane ke Har Luqme Ke Badle 60 Baras Ki Muqammal Ibaadat Ka Sawab Milta hai.

# Mishqaat shareef

JAHANNAM KI AAG SE
BACH KE RAHO
ZAKAAT EK FARZ HAI
USSE ADA KIYA KARO

Allah Ta'ala Quran e majeed furqan e hameed mein irshad farmata hai,

وَإِذْ تَأَذَّنَ رَبُّكُمْ لَئِن شَكَرْتُمْ لَأَزِيدَنَّكُمْ ۖ وَلَئِن كَفَرْتُمْ إِنَّ عَذَابِي لَشَدِيدٌ

" aur yaad karo jab tumhare Rab ne suna diya ke agar ehsaan manoge to me tumhe aur doonga aur agar na-shukri karo to mera azaab sakht hai. "

# Surah Ibrahim, Aayat No.7

Iss maah e mubarak mein Allah Ta'ala ka khoob shukar wa ehsaan maano ke tumhara Rabb Azz wa Jall ka farman hai shukar wa ehsaan manne walon ko zyada ata karega.

Hazrat Abdullah Bin Masood رضي الله عنه se riwayat hai farmate hai Nabi e Kareem ﷺ ne humein Huqm diya,

"namaaz parhe zakaat Dein, jisne zakaat na di uski namaz qubool nahi."

# Muslim Shareef, Jild 10, Safah103.

GUNAAH KARNE SE
BACHO HAR BAR
GUNAHGAAR KO ROKO
WARNA KHUD BANJAAOGE
GUNAHGAAR

No comments:

Post a Comment