✨SACCHI HIQAYAT✨
🍁HISSA AWWAL🍁
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
HIQAYAT NO. 2
YEMEN KA BAADSHAH➡
Kitabul mustazarif aur Huzzatullahi alal aalameen aur taareekh e ibn e aaskir mein hai ki Huzoor salallaho alaihi wasallam se ek hazaar saal peshtar yemen ka baadshah Tubba awwal himyari tha. Ek martaba wo apni saltanat ke daure ko nikla. Baarah hazaar aalim aur hakeem aur ek lakh battis hazaar sawar aur ek lakh teraah hazaar pyadah apne humraah liye aur is shaan se nikla ki jahaan bhi pahunchta uski shaan o shauqat e shahi dekhkar makhlook e khuda charon taraf se nazara ko jama ho jaati thi. Ye baadshah jab daura karta hua makka moazzma pahuncha to ahle makka se koi usey dekhne naa aaya. Baadshah hairaan hua aur usne apne wazeer e aazam se iski wajah poochi to usne bataya ki is sheher mein ek ghar hai jisey baitullah kehte hain. Uski aur uske khaadimon ki jo yahaan ke baashinde hain tamam log behad taazeem karte hain aur jitna aapka lashkar hai , issey kahin zyada door o nazdeek ke log is ghar ki zyarat ko aate hain aur yahaan ke baashindo ki khidmat karke chale jaate hain. Phir aapka lashkar inke khayaal mein kyon aaye ? Ye sunkar baadshah ko gussa aaya aur kasam khaakar kehne laga ke main is ghar ko khudwa doonga aur yahaan ke baashindo ko qatl karaaunga. Ye kehna tha ki baadshah ke naak , munh, aur aankhon se khoon behna shuru ho gaya. Aisa badbudaar maadda behne laga ki uske pass baithne ki bhi kisi ko taaqat na rahi. Is marz ka ilaaz kiya gaya magar accha nahi hua. Shaam ke waqt baadshah ke saathi aalimo mein se ek aalim e rabbani tashreef laaye aur nabz dekhkar farmaya ki marz aasmani hai aur ilaaj zameen ka ho raha hai. Ae baadshah! Aapne agar koi buri niyat ki hai to fauran usse tauba kijiye. Baadshah ne dil hi dil mein baitullah sharif aur khuddam e kaaba ke muttalliq apne iraade se tauba ki. Tauba karte hi uska wo khoon aur maadda behna band ho gaya aur phir sehat ki khushi mein usne baitullah sharif ko reshmi gilaaf chadaya aur sheher ke har baashinde ko saat saat asharfi aur saat saat reshmi jode nazr kiye.
Phir yahaan se chalkar jab madina munawwara pahuncha to humraahi aalimo ne (Jo aasmani kitaabo ke aalim the) wahaan ki mitti ko soongha aur kankariyon ko dekha aur Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam ki hizratgaah ki jo alaamatein unhone padhi thi unke mutabiq us sarzameen ko paaya to aapas mein ahed kar liya ki hum yahaan hi mar jaayenge,magar is sarzameen ko na chodenge. Agar hamari qismat ne saath diya to kabhi na kabhi jab Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam yahaan tashreef laayenge, humein bhi zyarat ka sharf haasil ho jaayega, warna hamari qabron par to zaroor hi kabhi na kabhi unki jutiyon ki muqaddas khaak udkar pad jaayegi Jo hamari nijaat ke lite kaafi hai.....
Ye sunkar baadshah ne un aalimo ke waaste chaar sau makaan banwaaye aur us bade aalim e rabbani ke makaan ke pass huzoor salallaho alaihi wasallam ki khaatir ek do manzila umda makaan tayyar karaya aur wasiyat kar di ki jab aap tashreef laayein to ye makaan aapki aaramgaah hogi aur un chaar sau ulma ki kaafi imdaad bhi ki, kaha tum hamesha yahin raho. Phir bade aalim e rabbani ko ek khat likh kar diya aur kaha ki mera ye khat us Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam ki khidmat e aqdas mein pesh kar dena aur agar zindagi bhar tumhe Huzoor salallaho alaihi wasallam ki zyarat ka mauqa na mile to apni aulaad ko wasiyat kar dena ki naslan baad naslin mera ye khat mehfooz rakhein. Hatta ki sarkar e aqdas salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein pesh kiya jaaye. Yeh kehkar baadshah wahaan se chal diya.
Wo khat Nabi e kareem salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein ek hazaar saal baad pesh hua kaise hua ? aur khat mein kya likha tha ? suniye aur azmat e Mustafa salallaho alaihi wasallam ka aetraaf farmaaiye. Khat ka mazmoon ye tha :
Kamtareen makhlook Tubba awwal himyari ki taraf se Shafi ul muzneebeen Syed Ul mursaleen Mohammad Mustafa salallaho alaihi wasallam amma baad! Ae Allah ke habeeb main aap par imaan lata hoon aur jo kitaab aap par naazil hogi us par bhi imaan lata hoon aur main aapke deen par hoon. Pas agar mujhe aapki zyarat ka mauqa mil gaya to bahut accha wa ganeemat aur agar main aapki zyarat na kar saka to meri shafaat farmaana aur qayamat ke roz mujhe faramosh na karna. Main aapki pehli ummat mein se hoon aur aapke saath aapki aamad se pehle hi baiat karta hoon. Main gawahi deta hoon ki Allah ek hai aur aap uske sacche Rasool hain.
Shah e Yemen ka ye khat un chaar sau aalimo ki nasl dar nasl jaan ki tarah hifaazat ki jaati rahi. Yahaan tak ki ek hazaar saal ka waqt guzar gaya. Un aalimo ki aulaad is qasrat se badi ki Madeene ki aabadi mein kai guna izaafa ho gaya aur ye khat dast ba dast mey wasiyat ke us bade aalim e rabbani ki aulaad mein se Hazrat Abu Ayyub Ansari radiallaho ta aala anho ke pass pahuncha aur aapne wo khat gulaam e khaas Abu Laila ki hifaazat mein rakha. Jab Huzoor salallaho alaihi wasallam Makka Moazzama se hijrat farma kar Madina Munnawara pahunche aur Madina Munnawara ki Alwadaai ghati Saniyat ki ghaatiyon se aapki oontni namudaar huyi aur Madine ke khushnaseeb log Mehboob e Khuda salallaho alaihi wasallam ka istaqbaal karne ko zook dar zook (bheed ki bheed) aa rahe the. Koi apne makaano ko saza raha tha, koi daawat ka intezaam kar raha tha aur sab yahi israar kar rahe the ki Huzoor salallaho alaihi wasallam mere ghar tashreef farma ho. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : ki meri oontni ki nakeel chod do, jis ghar mein ye thehregi aur baith jaayegi, wahi meri qayaamgaah hogi . Chunaanche jo do manzila makaan Shah e Yemen Tubba ne Huzoor ki khaatir banwaya tha, wo us waqt Hazrat Abu Ayyub Ansari radiallaho ta aala anho ke pass tha. Usi mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ki oontni jaakar theher gayi. Logon ne Abu Laila ko bheja ki jaao Huzoor salallaho alaihi wasallam ko Shah e Yemen Tubba ka khat de aao. Jab Abu Laila haazir hua to Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usey dekhte hi farmaya : Main Mohammad Rasoolullah salallaho alaihi wasallam hoon, Shah e Yemen ka jo mera khat tumhare pass hai, laao. Wo mujhe do, chunaanche Abu Laila ne wo khat diya aur Huzoor salallaho alaihi wasallam ne padhkar farmaya : Nek bhai Tubba ko aafreen wa shaabashi hai.
(Meezan Ul adyaan safa 177)
Sabaq : Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam ka har zamaane mein charcha raha hai. Khushqismat afraad ne har daur mein Huzoor salallaho alaihi wasallam se faiz paaya. Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam agli pichli tamam baatein jaante hain. Ye bhi maaloom hua ki Huzoor salallaho alaihi wasallam ki aamad aamad ki khushi mein makaano aur baazaron ko sajana aur sajawat karna sahaba e qiraam ki sunnat hai. Phir aaj agar Huzoor salallaho alaihi wasallam ki aamad ki khushi mein baazaron ko sajaya jaaye, gharon ki sajawat ki jaaye aur juloos nikaala jaaye to usey bid'at kehne waala khud kyon bid'ati na hoga.
⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔
No comments:
Post a Comment