async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: BAITULLAH KI KUNJI

Thursday, August 18, 2016

BAITULLAH KI KUNJI

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 21

BAITULLAH KI KUNJI➡

Hijrat se pehle baitullah ki kunji quraish e makka ke kabze mein thi , ye kunji Usman bin Talha ke pass raha karti thi , ye log baitullah ko peer aur jumeraat ke roz khola karte the. Ek din Huzoor salallaho alaihi wasallam tashreef laaye aur Usman bin Talha se darwaza kholne ko farmaya , to Usman ne darwaza kholne se inkaar kar diya , Huzoor ne farmaya : ae usman aaj tu ye darwaza kholne se inkaar kar raha hai , ek din aisa bhi aayega ki Baitullah ki ye kunji mere kabze mein hogi  , main jisey chahunga ye kunji doonga. Usman ne kaha : to us din qaum e quresh halaak ho chuki hogi. Hijrat ke baad jab makka fateh hua aur Huzoor salallaho alaihi wasallam sahaba ke lashkar samet Makka Moazzama mein faatihana daakhil huye to sabse pehle Kaaba Sharif mein tashreef laaye aur isi qaleed bardaar usman se kaha : laao wo kunji mere hawale kar do , naachar usman ko wo kunji deni padi , Huzoor ne wo kunji lekar usman ko mukhatib farmakar farmaya : usman lo qaleed bardaar main bhi tujhi ko muqarrar karta hoon , tumse koi zaalim hi ye kunji lega.
Usman ne dobara kunji li to Huzoor salalallaho alaihi wasallam ne farmaya : usman ! wo din yaad hai jab maine tumse kunji talab ki thi aur tumne darwaza kholne se mana kar diya tha , maine kaha tha ek din aisa bhi aayega ki ye kunji mere qabze mein hogi  aur main jisey chahunga doonga , usman ne kaha : haan Huzoor! mujhe yaad hai aur main gawahi deta hoon ki aap Allah ke sacche Rasool hain.

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam agli pichli baaton ke aalim hain , qayamat tak jo kuch bhi hone wala hai , sab aap par roshan hai , Khuda ne aapko ilm e gaib ata farmaya hai , aap daana e guyoob wa aalim e maa kaana wama yaqoon hain , phir agar koi shaksh yun kahe ki Huzoor ko kal ki baat ka ilm na tha , to wo kis qadar jaahil hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment