async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: EK KAAFIRA KA MAKAAN

Thursday, August 18, 2016

EK KAAFIRA KA MAKAAN

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 27

EK KAAFIRA KA MAKAAN➡

Huzoor sarwar e aalam salallaho alaihi wasallam fathe makka ke baad ek din Makka Moazzama ki ek kaafira aurat ke makaan ki deewar se takiya lagakar kisi gulam se guftgu farma rahe the , us makaan waali kaafira aurat ko jab pata chala ki Mohammad (salallaho alaihi wasallam) mere makaan ki deewar se takiya lagaye baithe hain to bugz o adaawat se usne apne makaan ki sab khidkiyan band kar daali taaki Huzoor ki aawaz na sun paaye , usi waqt Jibraeel e Ameen alaihis salaam haazir huye aur arz kiya :
Ya Rasoolallah! Khuda farmata hai ki agarche ye aurat kaafira hai magar aapki shaan badi arfaa o buland hai , chunki us kaafira ke makaan ki deewar ke saath aapki pusht e anwar lag gayi hai isliye Rab tabarak wa ta aala nahi chahta ki ye makaan waali ab jahannam mein jale , us aurat ne to apne makaan ki khidkiyon ko band kiya hai magar humne uske dil ki khidki khol di hai , ye sirf uski deewar se aapke takiya lagakar baithne ki barkat se hai , itne mein wo aurat bechain hokar ghar se nikli aur Huzoor ke qadmon par gir gayi aur sacche dil se kalima pukar uthi
Ash hadu al lailaha il Allah wa ash hadu anna ka Mohammad ur Rasoolullah.

(Nuzhat Ul Majalis jild 2 safaa 78)

Sabaq : Jis aurat ke makaan ki deewar se Huzoor salallaho alaihi wasallam ki pusht e anwar lag gayi wo aurat jahannam ki  aag se bach gayi , to jis khushqismat aur muqaddas khatoon Hazrat Aamina radiallaho ta aala anha ke shiqam e anwar mein Huzoor ne qayaam farmaya ho wo muqaddas khatoon kyon jannat ki maalik na hogi ? Phir kis qadar badbakht hain wo log jo Huzoor ke waalidain moazzamain ke mutalliq kuch ka kuch kehte hain.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

No comments:

Post a Comment