async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: najd ki haqiqat hissa 1
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 1. Show all posts
Showing posts with label najd ki haqiqat hissa 1. Show all posts

Monday, November 16, 2015

Najd ki haqiqat

Part 11 Wahabi najdi ki haqiqat

بنو تمیم کس نسل سے ہے اور کس قبیلے سے تعلق رکھتی ہے!

بنو تمیم حضرت اسماعیل علیہ السّلام کی نسل سے ہیں اور حضرت اسماعیل علیہ السّلام کی نسل سے ہی مضر تھے۔ اورمضر کی نسل سے ہی بنو تمیم بھی ہیں۔ اور حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے خود کو بھی مضری فرمایا ہے۔اور قبیلہ اسلم بھی حضرت اسماعیل علیہ السّلام کی نسل سے ہیں۔ اور حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے فرمایا ہے کہ مضر اور بیعہ سے شیطان کے دو سینگ نکلیں گے۔ اب یہاں لوگ اعتراض کرسکتے ہیں کہ حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم خود اس قبیلے سے ہیں تو وہاں سے شیطان کا سینگ کیسے نکل سکتا ہے۔ اسکو ہم چھوٹی سی مثال سے سمجھاتےہیں کہ کسی کے سات بیٹے ہوں جن میں سے دو غلط کام کرتے ہوں تو لوگ انکے دو بیٹوں کا نام نہیں لیں گے بلکہ باپ کا نام لیں گے اگرچہ باقی بیٹے اچھے ہوں۔اسی لئے حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے ان کا نام لیا جن سے بہت سی شاخیں چھوٹے بڑے قبیلوں کی صورت میں نکلی کیونکہ اگر حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم ان فتنہ پرست قبیلوں کا نام لے لیتے تو لوگ ان سے نفرت کرنے لگتے اور ان سے بول چال ہی ختم کردیتے۔ اس لئے کچھ چیزوں کو مصلحت کے تحت تھوڑا چھپا دیاگیا لیکن ساتھ بنیاد بھی بتا دی۔

Banu Tamim Hazrat Ismaeel alaihessalam ki nasl se hain aur Hazrat Ismail alaihessalam ki nasl se he Mudar thy Aur Mudar Ki Nasl se he banu tamim bhi hain aur Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne khud ko bhi Mudari farmaya hai. Aur Qabeela Aslam Bhi Hazrat Ismail alaihessalam ki nasl se hai. Aur Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya hai ke Mudar Aur Rabiyya se Shaitan ke 2 seeng niklain gay.ab yahan log aitraz ker sakte hain ke Hazoor Sallallahu alaihe wasallam Khud is qabeelay se hain to wahan se shaitan ka seeng kaise nikal sakta hai. Isko ham chhoti si misaal se samjhate hain ke kisi ke saat bety hon jin mein se 2 ghalt kaam krte hn to log un 2 betoon ka naam nhe lain gy balke baap ka naam lain gy agerchy baqi bety achy hon. Isi liye Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne unka naam liya jin se chhoti barri shakhain nikli kion ke ager Hazoor Sallallahu alaihe wasallam un fitna parast qabeeloon ka naam le lete to log un se nafrat kerne lagte aur log un se bol chaal khatm ker dete isi liye kuch cheezon ko chhupane mein he maslehat thi.

Bani Mudar Ke Hawalay se Ager Koi Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam per aitraz Kray To Uska Jawab Ye below Hadees hai

، عن ابن عمر رضي الله عنهما قال: { إنا لقعود بفناء النبي r إذ مرت بنا ([1]) امرأة، فقال بعض القوم: هذه ابنة رسول الله r . فقال أبو سفيان: مثل محمد في بني هاشم، مثل الريحانة في وسط النتن، فانطلقت المرأة فأخبرت ([2]) النبي r فجاء النبي r يعرف في وجهه الغضب فقال: " ما بال أقوال تبلغني عن أقوام، إن الله خلق السموات

سبعا فاختار العلى ([3]) منها، وأسكنها من شاء من خلقه، ثم خلق الخلق، فاختار من الخلق بني آدم، واختار من بني آدم العرب، واختار من العرب مضر، واختار من مضر قريشا، واختار من قريش بني هاشم، واختارني من بني هاشم، فأنا من خيار إلى خيار، فمن أحب العرب، فبحبي أحبهم، ومن أبغض العرب فببغضي أبغضهم } ([4]) .

([1]) أخرجه الحاكم في المستدرك ، كتاب معرفة الصحابة ، ذكر فضائل القبائل ، (4 / 73 ، 74)

اب ہم دیکھتے ہیں بنو تمیم کا شجرہ نسب سلفیوں کی زبان سے

Bani Tamim Ka Hasb O Nasb
Adnan
Saad

Saad se 2 shakhain

1: Mudar
2: Rabiyya

Mudar Ki Shakhain
1: qabais ailan
2: Tami
3: Khaziha

Rabiyya Ki Shakhain

1: Waiyl
2: Anza

Waiyl Ki 2 Shakhain
1: Thalba
2: Bakr
(Al'Manjd Hissa Tareekh Page 458

Najd ki haqiqat

Part 10 Wahabi najdi ki haqiqat

ALAMA BADRUD DIN AINI ISKI SHARAH MEIN LIKHTE HAIN.
Rabiyya (Abdl Qais) aur Madina ke darmiyan kuffaar ka qabeela Mudar Abad tha aur Rabiyya ke logoon ko Madina aate waqt Mudar Se Guzer ker ana hota tha.  Umdatul qari vol 1 page 305

Comment
Hadees aur Imam ibn hajjar asqalani aur Imam nowavi ki sharah se ye baat pata chali ke qabeela qais mashraq mein ha aur Qabeela qais iraq ke border aur Bahrain mein rehta hai. Ham Bahrain wale qol ko ziyada tarjeeh dain gay kion ke yehi ilaqa Hadees se sabit hai bani rabiyya ki shaakh qabeela abdl qais ka.

Ab aaeye us hadees ko parhte hain jo hamaray daway ko sach sabit kerti hai.

Hadees
Hazrat Ibn Abbas radi Allah anhuma se rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam Ki Masjid mein Jumah Ki namaz hone ke ba'd sab se Pehle Jumah ki Namaz ada ki gai wo (Muqaam) jawathi mein Abdl Qais ki masjid hai. Jawathi Bahrain mein aik jagah ka naam hai.  Sahih Bukhari vol 2 page 1469 Hadees 1504

Comment
Sabit howa ke Bahrain Madina ke Mashraq mein hai aur bani rabiyya ki shaakh qais Bahrain mein rehti hai. Aur Bahrain aur Madinah ke darmiyan jo ilaqa ata hai woe Mudar Qabeela Ka Hai. Aur Yaad Rahe ke Najd ke ilaqay mein he ye Mudar Qabeela ata hai Aur Rabiyya Bahrain ke area mein ata hai aur Bahrain bhi Najd mein he shaamil hai.

Qabeela Qais Bahrain Se Aya Tha

QAIS KA QABEELA BAHUT BARRA QABEELA THA JO Bahrain mein rehtay thy .
al'muwahib laduniya , Page 652 vol 1

Qabeela Rabiyya Bahrain mein hai Jo Madina Ke Bilkul Mashraq Mein hai. More detail reference is below:
"Majmuaz zawaiyd Vol 3 Hadees 6699 Aur Tabarani fil kabeer Vol 18, Hadees 93,95

Ooper ki ahadees se sabit howa ke Mudar Qabeela qabeela Qais ke darmiyan mein hai. Aur ham ne ahadees ki roshni mein dekha ke qabeela qais Bahrain Mein hai. Aur Hadees se sabit howa ke Bahrain Mashraq mein hai. Aur Bahrain ke border se Saudi Arabia ka Najd ka area shuru hota hai Yemen,Madina, shaam aur Iraq Ke darmiyan tak hai.

Ab koi Ye bhi Keh sakta hai ke Bahrain Mojooda Bahrain nahe tha Balke woe koi aur Bahrain tha. Is ke rad ke liye ham ye hawala paish ker dete hain

Bahrain kahan per hai.

Pas hazrat al'ilah bin al'hazrami radi Allah anho ne Hazrat Umer radi Allah anho ki ijazat ke baghair inhain (lashkar ko) samunder mein sawar ker ke Iran le gaey aur Hazrat Umer radi Allah anho is baat ko napasand krte thy kion ke Rasoolallah Sallallahu alaihe wasallam aur Hazrat Abu bakr radi Allah anho ne is mein musalmanoon ki jung nhe kerwai, Pas ye foujain Bahrain se Iran chali gaeen.

Al'bidaya wan'nahaya vol 7 page 117

Iran aur iraq ka border aik doosry ke sath attach hai. Jab ke iran aur Bahrain ke darmiyan samunder ata hai. Aur above isi Bahrain ka zikr howa hai jo mojooda Bahrain hai kion ke samunder in donooon ke darmiyan hai aur boats per jane ka matlab yehi hai ke samunder ke rasty hamla krne ja rahe thy iran per.

Banu Tamim Kis Nasl Se Hai Aur Kis Qabeelay Se Talluk Rakhti Hai

Najd ki haqiqat

Part 9 Wahabi najdi ki haqiqat

Bani Mudar Ki Tareekh ki study kerne se pata chala ke ye qabeela bahut jungju aur fitna fasad wala tha. Ye qabeela hamesha se he hakoomat k khilaaf baghawatain kerne wala tha. Jab bhi moqa milta isko ye baghawat ker deta tha. Na khud jeete aur na doosroon ko jeene dete thy. Aur yahan ye bhi pata chala ke ye log apni hadood ki hifazat ke liye ahle Iraq aur ahle shaam waloon se muqabla kerte nazar aate thy. Matlab wazeha howa ke ye qabeela Najd Mein he rehta tha aur yahan se woe ahle iraq aur ahle shaam se fight kiya kerta tha kion ke Najd ki Hadood shaam aur iraq se lagti hain.

Ab Ham Ahadees Ki Roshni Mein Dekhte Hain Ke Bani Mudar Kahan Rehti Hain Aur Bani Rabiya Kahan Rehti Hai.

ہم ایک لمبی حدیث کا ایک حصّہ بیان کرتے ہیں

Ham aik lambi hadees ka aik hissa bayan kerte hain

Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam! Ham sirf hurmat wale mahinoon mein he aap ki khidmat mein hazir ho sakte hain kion ke hamaray aur aap ke darmiyan ye mudar qabeela ke kuffaar hail hain. Sahih bukhari vol 1 page 13

Hadees
Ibn Abbas radi Allah anhuma se marvi hai wo kehte hain ke wafd abdul qais Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ki Khidmat Mein Aya aur Arz Kiya

Ya Rasoolallah! Ham rabiyya ka qabeela hain aur kuffaar mudar hamaray aur aap ke darmiyan rakawat hain lehaza ham aap ki khidmat mein siwaey sheher e haram ken he aa sakte.. …….  Reference full hadees : Sahih Bukhari, Hadees 1502, Page 1467

تبصرہ

ان احادیث میں بتایا گیا کہ قبیلہ قیس کے مسلمانوں اور مدینہ والوں کے درمیان مضرکا کافر قبیلہ حائل ہے۔ اب ہمیں دیکھنا پڑیگا کہ یہ قبیلہ قیس کے لوگ کہاں

کے رہنے والے تھے۔ قبیلہ قیس بنی ربیعہ کی ایک شاخ ہے،

Comment
Is hadees mein bataya gia ke qabeela qais ke musalmanoon aur madina waloon ke darmiyan mudar ka kafir qabila rakawat hai. Ab dekhna hai ke ye qabeela qais ke log kahan ke rehne wale thy. Qabeela qais bani rabiyya ki aik shaakh hai.

Hadees
Aey Allah! Abdul qais ki maghfirat farma ke ye raza mandi se kisi ke jabr ke baghair musalman ho gaey hain ab ye sharminda hoongy aur na he halaak, Jab ke hamari qaum ke kuch log us waqt tak musalman nhe hote jab tak ruswa aur halaak na ho jaeen, phir Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne Apne Chehray ka rukh morrtay howe qibla ki janib kiya aur farmaya Ahle Mashraq mein sab se behtareen log Banu Abdul qais hain.

Musnad Ahmad bin Humble, vol 7, page 360 Hadees 17983.

Ye wafd Bahrain ka rehne wala tha. Matlab ke Madina ke mashraq mein Bahrain ata hai

Is ki sharah mein ibn hajjar asqalani kehte hain ke
is mein daleel hai ke qabeela abdul qais qabail mudar se pehle musalman hua aur mudar qabeela abdl qais aur madeena ke darmiyan abad tha aur abdl qais ka ilaqa Bahrain aur iraq ki atraaf se is ke sath milne wale ilaqay thy.
Fathul bari vol 1, page 132

AB HAM IMAM NOWAWI KI SHARAH KI ROSHNI MEIN DEKHTE HAIN.
IMAM NOWAVI QABEELA ABDUL QAIS KE BARAY MEIN APNI SHARAH MEIN LIKHTE HAIN.
Ahle Mashraq mein se afzal abdul qais ka wafad tumaray pass pohanch chukka hai. Un mein ashaj asri bhi hain wo ehad torne ya tabdeel krne wale nhe aur na he shak kerne wale hain. Kion ke qaum abi tak musalman nhe hoi yahan tak ke wo un se tanha ho gay hain.  Sharah sahih muslim, vol 1 page 33

Najd ki haqiqat

Part 8 Wahabi najdi ki haqiqat

Aamir bin jaffar abu brawo malaheb al'asta al'kalabi Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ke pass aaya. Aur Aap ko hadya diya' magar Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne Qabool nhe farmaya. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne us per islam paish kiya. Magar us ne islam qabool nhe kiya aur door bhi nhe hua.

Aamir ne darkhawast ki ke ager Aap Sallallahu Alaihe Wasallam as'haab mein se chand admi mere hamrah meri qom ke pass bhej dain to umeed hai ke wo AAP Sallallahu Alaihe Wasallam ki dawat qabool ker lain gay aur Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ki dawat Qabool ker lain gay. Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Mujhe Ahle Najd ka khauf hai. Us ne kaha mein to in ke humrah hoon' phir kaise koi un ke samne aaeyga.  Tabqaat ibn sa'ad vol 1 page 285, 

9: ghazwa za'at ar'riqah Aur Ghazwa e Najd Qabeela moharab kahan per hai
Ghazwa za'at ar'riqah qabeela moharab se hoi jo qabeela ghatfan ki aik shaakh hai,Hazoor Sallallahu alaihe wasallam Nakhl se zaat ar'riqah ki larrai mein gaey wahan ghatfan mile lakin larrai na hoi.

Ghazwa e najd
Hazrat Jabir radi Allah anho farmate hain ke ham ne Aap Sallallahu alaihe wasallam ke sath Najd ki taraf jahad kiya tha.
Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees 1305.

Commentary: Jis Najd ke Liye Dua Nahe Farmai aur Jis Najd ki kisi ne tareef ki aur farmaya ke tum ne jhoot kaha aur jis Najd ke khilaaf ghazwa mein Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne khud shirkat ki aur apne sahaba e karam ko lashkar de ker bar bar bheja ho. Aur jis Najd ke logoon ke khilaaf Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ki zindagi guzar gai woe Najd Saudi Arabia hai is najd ke markazi mein aaj Riyaz ka Main city hai Ham ne Sahih Hadees, Tareekhi waqiyaat aur scholars ke aqwaal ki roshni mein ye sabit ker diya hai ke Najd Iraq Nahe Balke Riyaz Saudi Arabia wala Najd hai. Is Najd se related aur bahut se waqiyaat hain jo ham agay kuch aur topics ke under laeen gay.

TOPIC 2:
Bani Mudar Aur Bani Rabiyya Kaun Hain Aur Kahan Rehte Hain
بنی مضر اور بنی ربیعہ کہاں ہیں اور کہاں رہتے ہیں

Bani Mudar aur Bani Rabiyya Ka Tareekhi Pas manzar
بنی مضر اور بنی ربیعہ کا تاریخی پس منظر

Mudar Bin Nazaar Aur Rabiyya

Iska aik haqeeqi bhai iyaad tha aur 2 illati bhai Rabiyya aur anmaar thy. Jab nazaar bin ma'd ka akhri waqt aya to us ne apne betoon ko wasiyat ki aur apne maal ko un mein taqseem ker diya, apne betoon ko mukhatab ker ke kaha ke:

1: khaimah jo surkh chamrray ka tha aur is tarah ka doosra maal ye Mudar Ka hai, is wajah se Mudar ka naam Mudar al'hamra howa

2: ye mera siyah black shamiyana aur is rang ka mera doosra maal ye Rabiyya Ka Hai, choonke issay siyah gorra horse mila is liye is ka naam Rabiyya tul fars howa.

3: Aur ye khadim aur is ke mushaba mera jo maal hai wo iyyaad ka hai ye bhoray rang ka tha. Chunanchay iyaad ne ablaq janwar aur khhur ghhassi bhairr bakriyaan le lien.

Tareekh Tibri Vol 2 page 41

Surkh Khaimah, dinar aur oont jo surkh thy wo Mudar ko diye aur siyah shamiyana aur siyah gorray horse Rabiyya ko diye in ke baap ne. Tareekh Tabri Vol 1 Page 42

BANI MUDAR KA QABL AZ ISLAM IKHLAQI HAAL

بنی مضر کے قبل از اسلام اخلاقی حالات

Agerchay Quraish ko Makkah mein aik gona Hakoomat Hasil ho gai aur qabail e Mudar atraaf o jawanib Mumalik ko Shaam O Iraq mein aur kuch hijaaz mein bhi muntashir o mutafariq ho gaey aur baz in mein badiya nasheen o khana badosh ho gaey, aur baz asbaab e ishrat aur samaan e tumaddun ki farahmi mein masroof howe, Kabhi ye Fars o Room se Iraq O Shaam ke Maidanoon Mein Larrte Nazar Ate Thy aur kabhi apni hadood ki hifazat ki gharz se apni qaum ko jamah ker ke ahle Iraq o Shaam se Muqabla kerte dekhai dete thy. In larraiyoun mein aur khoon raiziyoun mein kabhi ye maghloob ho ker kharaj guzari per majboor ho jate thy lakin jab kabhi phir koi moqa hath aa jata tha to kharaaj guzari ata'at e shahi se Mun'harif ho ker mukhalifat ker baithte thy. Algharz thanday kalejay na ye khud pani peete thy aur na peene dete thy. Hamesha shahaan e Iraq o Shaam ko istisaal fasaad o itfa naira fitna mein rehna parta tha.  TAREEKH IBN KHALDOON VOL 1 PAGE 31

Najd ki haqiqat

Part 7 wahabi najdi ki haqiqat

Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne ussay islam ki dawat di thi lakin wo dil se musalman nhe hua tha. Ta'ham Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne us ke mazkoora'bala mashwaray ke ba'd Ahle Najd ke Islam lane aur ata'at qabool kerne ke baraey mein andesha zahir kiya tha to Albarah aamir bin maalik ne Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya tha ke Ahle Najd us ke hamsaey hain wo iski baat nhe talain gay.

Al.bidaya wan'nahaya Vol 4, Page 55,56.

3: Sarya abu bakr sadeeq radi Allah anho bani kalab ki janib najd ke muqam per hua.
Sha'ban 7 hijri mein abu bakr sadeeq radi Allah anho dariya ke nawah mein ba'muqaam najd sarya bani kalab hua.
سریہ ابو بکر صدیق رضي اللہ عنہ کلاب کی جانب نجد کے مقام پر ہوا۔
شعبان 7 ہجری میں ابو بکر صدیق رضی اللہ تعالی عنہ کا ضریہ کے نواح میں بمقام نجد سریہ بنی کلاب ہوا۔
Tabqaat ibn sa'ad, vol 1, page 340.

4: Imam bukhari wafad bani hanifa aur qissa samama bin aasaal radi Allah anho k baab mein bayan kerte hain ke Abdullah bin yousuf ne ham se bayan kiya woh kehte hain ke ham se lais bin sa'ad ne bayan kiya woh kehte hain ke mujh se saeed bin abi saeed ne bayan kiya ke us ne Hazrat abu hurayra radi Allah anho se suna woh bayan kerte hain ke
Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ne najd ki janib kuch sawar bhejay jo bani hanifa ke aik admi ko laey jissay samam aasaal radi Allah anho kaha jata tha aur unhoon ne ussay masjid ke aik satoon se bandh diya aur Rasool sallallahu alaihe wasallam ne us ke pass a ker farmaya:

..phir lmba waqia hai.al,bidaya wan'nahaya vol 5 page 79

5:Hazrat abu qatada bin rabai ansari radi Allah anho ka shaban sun 8 ad mein muqaam e khizra ki taraf sarya hai
Ye jagah najd mein banu maharab ki zameen hai.Nabi akram sallallahu alaihe wasallam ne unke hamrah 15 afrad banu ghatfaan ki taraf bhejay .Al'mawahib ladunya vol 1, page 406

:6 سریہ غالب بن عبداللہ اللیثی بجانب المفیعہ:
رسول اللہ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے غالب بن عبداللہ کو بنی عوال اور بنی عبد بن ثعلبہ کی طرف بھیجا جو المیفعہ میں تھے کہ بطن نخل سے النقرہ کی جانب اسی طرف علاقہ نجد میں ہے۔ اسکے اور مدینے کے درمیان آٹھ برد (96میل) کا فاصلہ ہے۔

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne ghaalib bin Abdullah ko bani awaal aur bani abd bin thalba ki taraf bheja jo al'maifha mein thy ke batan nakhl se al'naqra ki janib ussi taraf ilaqa najd mein hai. Us ke aur madina ke darmiyan 8 bard(96 miles) ka fasla hai. Tabqaat ibn sa'ad vol 1, page 241.

:7: سریہ زید بن حارثہ رضی اللہ تعالی عنہ
ید بن حارثہ رضی اللہ تعالی عنہ کا سریہ القروہ کی جانب ہجرت کی اٹھائیسویں مہینے کے شروع جمادی الآخر میں پیش آیا۔ یہ سب سے پہلا سریہ ہے۔ جس میں زید امیر بن کر نکلے، القروہ نجد کی زمین االزبدہ اور الغمرہ کے درمیان ذات عرق کے نواح میں ہے۔

Zaid bin hartha radi Allah anho ka sarya al'qarwah ki janib hijrat ki 28ween mahinay ke shuru jamadil aakhir mein paish aya. Ye sab se pehla sarya hai jis mein zaid ameer ban ker niklay. Al'qarwah najd ki zameen al'zabda aur al'ghamrah ke darmiyan zaat irq ke nawah mein hai.  Tabqaat ibn sa'ad vol 1. page 272

Comment: is sarya se pata chalta hai ke Najd dhaat irq ke nawah mein hai. Matlab jahan dhat irq khatam hota hai wahan se iski hadood shuru hoti hain.

8: Sarya al.munder bin umroo
Rasoolallallah Sallallahu Alaihe Wasallam ki hijrat ke 36wain mahinay safar mein bair e ma'oona ki taraf Al'munder bin umroo as'sa'adi ka sarya hua

Najd ki haqiqat

Part 6 Wahabi najdi ki haqiqat

baab najd ki taraf jo lashkar Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne rawana kia tha.

Hazrat imam bukhari ne is ko jung taif k ba'd zikr kiya hai lakin ahle mughazi ne kaha ke ye lashkar fatah makkah ko jane se pehle rawana kia tha. Ibn sa'ad ne kaha ye 8 ad ke maah shaban ka waqiya hai. Bazoon ne kaha maah ramzan mein ye lashkar rawana kiya tha us ke sardar abu qatada radi Allah anho the. Is mein sirf 25 admi the, jinhoon ne ghatfaan se muqabla mein 200 oont aur 2000 bakriyaan hasil ki.

Sahih bukhari j 8 baab najd ka sarya, hadees 4338

Comment: ghatfaan ussi ilaqay mein hai jo madina se le ker iraq tak ata hai

Banu Hanifa Najd Ki Janib Chand Sawaroon ko bheja
Hazrat abu hurayra radi Allah anho farmate hain ke:
"Nabi e Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne najd ki janib kuch sawaroon ko rawana farmaya to wo bani hanifa ke aik shakhs thamama bin athal(samama bin asal) ko griftaar ker ke le aey aur ussay Masjid e Nabvi ke aik satoon se bandh diya……………………….. baqiya hadees is reference per mulaheza farmaeen.
Sahih bukhari vol 2, page 690, baab 538, 1500

HADEES
Bani tamim ki branch bani amber 
Ibn is'haq ka qol hai ke ayainya bin hisn bin hudhaifa bin badr ko Rasool e Khuda ne bani tamim ki shaakh bani anber se jahaad kerne bheja. Inhoon ne shab khoon maar ker mard qatal ker diye aur auratoon ko qaid ker liya.
Sahih bukhari vol 2, page 687, baab 536

Sahih Hadith # 1 Prophet [salehalawaalihiwasalam] said Najd and Iraq are Two different places
Book 007, Number 2666: (Sahih Muslim)

Abu Zubair heard Jabir b. 'Abdullah (Allah be pleased with them) as saying as he was asked about (the place for entering upon the) state of Ihram: I heard (and I think he carried it directly to the Apostle of Allah) him saying: For the people of Medina Dhu'l-Hulaifa is the place for entering upon the state of Ihram, and for (the people coming through the other way, i. e. Syria) it is Juhfa; for the people of Iraq it is Dbat al-'Irq; for the people of Najd it is Qarn (al-Manazil) and for the people of Yemen it is Yalamlam.

اب ہم تاریخی واقعات سے ثابت کرتے ہیں کہ نجد صرف ایک مخصوص علاقہ ہے اور جس نجد سے حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم کے زمانے میں ہی بہت زیادہ فتنے نکلے تھے کہ حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے اسکے لئے دعا بھی نہیں کی۔ ذرا ان تاریخی واقعات کو دیکھتےہیں

Ab Ham Tareekh waqiyat se sabit kerte hain ke Najd sirf aik makhsoos area hai aur jis Najd se Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ke zamanay mein he bahut ziyada fitnay niklay thy ke Aap Sallallahu alaihe wasallam ne uske liye dua bhi nahe farmai.

Waqiyaat
1: Hijrat ke 25 mahinay mah rabiul awal mein Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ka Najd ki taraf ghazwa e ghutfaan hai jo al'taheel ke nawah mein zawi amer mein hai.

Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko ye khabar pohanchi ke bani thalba wa muharab ki aik barri jama'at ne zawi amer mein jamah ho ke ye qasad kiya hai ke aap ko tamam atraaf se gair lain ye fail bani maharab ke aik admi hai jis ka naam dhator bin al'haris hai.  Tabqaat sa'ad Vol 1, Page 271.

2: Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne 70 admiyoun ki aik jama'at jissay qarah yanni qariyoun ke naam se yaad kiya jata tha. Madina ke girdo nawah mein us waqt tak nazal shuda Qur'an ki taleem ke liye bheji thi lakin jab wo us jagah pohanchay thy jissay bair e ma'oona kaha jata hai to bani saleem ke to bani saleem ne ilm ul Qur'an se unhain roka tha aur jab unhoon ne kaha tha ke ham Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ke hukam se yahan aaeye hain to un dushmanan e islam ne us poori jama'at ko shaheed ker diya. Kaha jata hai aur is ki ta'eed aksar ahle khabar ne ki hai ke abu barah aamir bin maalik bin ja'far ne Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ki khidmat mein hazir ho ker Aap Sallallahu Alaihe Wasallam se arz kiya tha ager Aap Sallallahu Alaihe Wasallam dawat dene waloon ko Ahle Najd ki taraf rawana farmaeen to ussay yakeen hai ke wo islam qabool ker ke Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ke mateeh ho jaeen gay

Najd ki haqiqat

Part 5 wahabi najdi ki haqiqat

Ahadees e Miqaat
Hazrat ibn umer radi Allah anho se rawayat hai ke: Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne ahle Najd ke liye qarn aur Ahle Shaam ke liye Juhfa aur Ahle Madina ke liye Zeel Halifa ko Maiqaat muqarrar farmaya, Hazrat ibn Umer radi Allah anho ka bayan hai ke ye mein ne Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai aur mujhe khaber mili hai ke Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Ahle Yemen ke liye yalmalm hai to  Iraq ka ziker hua to unhoon ne farmaya ke us zamanay mein iraq nhe tha (Yani us zamanay mein Iraq fatah nhe hua tha.).
Sahih Bukhari, Vol 3, Page 1930, Hadees 2200.

Hazrat Ibn Umer Radi Allah Anho se Rawayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ne Ahle Madina ke liye dhul halifa, Ahle Shaam ke liye Juhfa, Ahle Yemen o Tehama ke liye yalmalm, Ahle Taif o Najd ke liye Qarn aur ahle Iraq Ke Liye dhat irq ko miqaat muqarar kiya gia hai.  Siyati fi Musnad Jabir, Hadees 14626

Comment:
Is hadees se saaf pata chalta hai ke Iraq aik alag ilaqa hai aur Najd aik alag ilaqa hai.
Ab is baat ko mazeed is hadees se wazeha kerte hain jis mein Najd ke ghazwa ka zikr aya hai. Miqaat wali aisi ahadees 100 se ziyada hain lakin samajhne ke liye 1 he kafi hoti hai ager aqal ho to.

Hadees:
Ghazwa e najd  Hazrat Abu Hurayra radi Allah anho se pochha gia ke kiya aap ne Hazoor sallallahu alaihe wasallam ke sath khauf ki namaz ada ki hai?

Farmaya: Haan, us ne poochha kab? Unhoon ne farmaya ke ghazwa e najd mein. For full hadees reference is:
Nisai Shareef vol 1 Page 1318, Hadees 1546 baab salatul khauf

Comment:
Ager ye ghazwa Iraq Ke Najd mein hota to basra ya koofa ka naam zaroor ata ya phir tibristan ka naam zaroor ata lakin nahe aya kion ke Hazoor sallallahu alaihe wasallam ne kabhi Iraq Ke khilaaf jung nahe ki thi aur na iraq gaey thy.

Ab jo hadees paish kerne laga hoon wo Najd ko bilkul clear ker dega ke  "Qarn Ash'shaitan kaun sa Najd Hai.

Hadees: Hadees Najd:
Amr ibn Abasa said: ‘Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) was one day reviewing the horses, in the company of Uyayna ibn Hisn ibn Badr al-Fazari. [. . .] Uyayna remarked: "The best of men are those who bear their swords on their shoulders, and carry their lances in the woven stocks of their horses, wearing cloaks, and are the people of the Najd." But Allah’s Messenger (sallallaho alaihi wa sallam) replied: "You lie! Rather, the best of men are the men of the Yemen. Faith is a Yemeni, the Yemen of [the tribes of] Lakhm and Judham and Amila. [. . .] Hadramawt is better than the tribe of Harith; one tribe is better than another; another is worse [. . .] My Lord commanded me to curse Quraysh, and I cursed them, but he then commanded me to bless them twice, and I did so [. . .] Aslam and Ghifar, and their associates of Juhaina, are better than Asad and Tamim and Ghatafan and Hawazin, in the sight of Allah on the Day of Rising. [. . .] The most numerous tribe in the Garden shall be [the Yemeni tribes of] Madhhij and Ma’kul.

’ (Ahmad ibn Hanbal and al-Tabarani, by sound narrators. Cited in Ali ibn Abu Bakr al-Haythami, Majma al-zawa’id wa manba‘ al-fawa’id [Cairo, 1352], X, 43)

Comment
Is hadees mein to her doubt clear ho jata hai ke najd ke log behtareen log hain. Lakin Hazoor Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ke tum ne jhoot bola aur farmaya ke behtareen log Yemen ke hain. Is se bhi Najd ki burai samne aa gai hai. Aur ayainya bin bad al'fazari Iraqi Najd ke Nahe thy balke Mojooda Riyaz wale Najd ke thy. Is hadees ke ba'd kisi scholar ki opinion koi manni nahe rakhti kion ke Allah ke Rasool sallallahu alaihe wasallam ke qol se barh ker kisi ka qol nahe hai. Aur is hadees mein clear indication diya gia hai najd shaitan ka.

Najd ki haqiqat

Part 4 Wahabi najdi ki haqiqat

علامہ کرمانی نے علامہ عینی کا قول نقل کیا ہے

Alama karmani ne alama aini ka qol naqal kiya hai.

Tahama se jo oonchi zameen ka ilaqa hai yehi wo najd hai jo ras al'kufar (kuffar ka sarchashma) aur najd qarn shaitan (gumrah firqoon) ki jaey paidaish hai. (page 35)

Najd qarn ash'shaitan wo khitta e zameen hai jis ki had tahama hijaz se shuru ho ker iraq ke nichaan (ghaur ya dahlan) per khatam ho jati  hai. Page 36

آجکل خود کو ایک نمبر مسلمان کہنے والے علامہ طاہر حنفی فتنی کی نجد کی تعریف علاقہ بیان کرتے ہیں اور کہتنے ہیں کہ یہ فقہ حنفی کے بڑے معتبر عالم ہیں۔ پہلی بات تو یہ ہےکہ یہ لوگ ویسے فقہ حنفی کوگمراہ کہتے ہیں لیکن اپنے مطلب کے لئے منافقین کی اس جماعت نے علامہ صاحب کو معتبر بنالیا۔

اب آئيے دیکھتے ہیں کہ علامہ صاحب نے نجد کا تعیّن کس علاقہ میں کیا ہے

علامہ محمد طاہر فتنی حنفی اس حدیث کا معنی بیان کرتے ہوئے نجد شیطان کی تشریح میں فرماتے ہیں کہ! "ھو اسم خاص لمادون الحجاز ممایلی العراق" یعنی یہ ایک خاص جگہ کا نام ہے جو حجاز کے علاوہ عراق کے ساتھ ملتی ہے۔

(ﻣﺠﻤﻊ ﺑﺤﺎﺭ ﺍﻻﻧﻮﺍﺭ ﺻﻔﺤﮧ ٦٨٠ﺟﻠﺪ ٤۔۔)

ارے جاہلو! عقل سے خالی لوگو! خود کو ایک نمبر گردانتے ہو اور کہتے ہو کہ کسی کی پیروی نہ کرو خود ریسرچ کرو اور خود سمجھو۔گدھو تمہیں اتنی عقل نہیں ہے کہ تم علامہ صاحب کی نجد پر کی گئی تعریف کو بڑے فخر سے بیان کرتے ہو اور اس کو عراق ثابت کرنے کے لیئے ثبوت کے طور پر استعمال کرتے ہو۔ کیا کبھی اس پر غور کیا ہے؟

آؤ میں تم لوگوں کو سمجھاتا ہوں۔علامہ صاحب نے بھی میرے دعوے کی تصدیق کی ہے کہ نجد ایک خاص علاقے کا نام ہے۔ جس کی سرحدیں ایک طرف مدینہ سے ملتی ہیں اور دوسری طرف عراق سے ملتی ہیں۔آسان الفاظ میں عراق اور مدینہ کے درمیان جو علاقہ آتا ہے وہ نجد ہے۔ اس سے ثابت ہوا کہ عراق نجد نہیں ہے بلکہ نجد کی سرحد عراق سے ملتی ہے۔ قیامت کے قریب کم عقل لوگ دین کی باتیں کریں گے۔جو خود بھی گمراہ ہونگے اور دوسروں کو بھی کرینگے۔ اور جیسے یہ کم علم لوگ لوگوں کو گمراہ کررہے ہیں۔ اللہ ان کے شر سے ہر مسلمان کو محفوظ رکھے۔آمین

Alama ahmad khateeb qastalani bukhari ke mustanad sharheen mein se hain. Likhte hain:

علامہ احمد خطیب قسطلانی بخاری کے مستند شارحین میں سے ہیں لکھتے ہیں:

Yanni sar'zameen tahama se le ker iraq tak jo buland ilaqa hai wo najd hai.
Ahmad bin Muhammad khateeb qastalani, irshad us saari jild 2 page 212

امام ابن حجر عسقلانی شرح میقات قرن المنازل:

Imam Ibn Hajjar Al'asqalani Sharah Miqat Qarn Al'munazil
Lakin najd Buland jagah kjo kehte hain ye 10 muqamaat ka naam hai, yahan najd se murad wo najd hai jis ki buland satah ki janib Tehama aur Yemen hain aur past o nashaibi satah ki taraf Iraq aur Shaam waqiya hain.
Fat'hul Bari, Vol 3, Page 375

Miqat wali hadees sab clear ker deti hai ke najd aik hai jis se murad najd riyaz hai. Dekhain!
Qarn ka matlab hai seeng aur Najd Qarn ka matlab howa seeng wala Najd aur Hadees mein bayan howa "Yatlau Qarn Ash'shaitan) Jahan se shaitan ka seeng talooh hota hai. Aur najd ke liye qarn miqaat rakh ker ye saaf farma diya ke yehi shaitan ke seeng wala najd hai. Beshak 12 najd hoon lakin shaitan ke seeng wala jo Najd murad hai wo najd riyaz he hai. Aur isi najd ki hadood Madina Makkah Yemen, Shaam aur iraq tak lagti hain. Aur ooper bayan ki gai jamhoor a'ima aur Tareekh danoon ki tareefoon se wazeh ho jata hai ke Shaam, Iraq, Yemen Makkah aur Madina ke darmiyaan jo ilaqa ata hai ussay Najd kehte hain aur is ka raqba around 12 lakh marabba foot hai.

نجد تاریخ دانوں اور آئمہ کرام کی بیان کردہ تعریفوں سے تو واضع ہوگیا کہ کونسا علاقہ ہے۔ لیکن دلوں میں جو شیطانی لوگ وسوسے ڈال دیتے ہیں ان وسوسوں کو دور کرنے کے لئے اب حدیث سے نجد کی نشاندہی کرتے ہیں

Najd tareekh'danoon aur a'ima ki bayan kerda tareefoon se to wazeha hogia ab Ahadees Se Najd Ki nishandehi kerte hain

Najd ki haqiqat

Part 3 wahabi najdi ki haqiqat

Ibn Hajr said: "al-Khattaabee said: 'the najd in the direction of the east, and for the one who is in Madeenah then his Najd would be the desert of Iraaq and it's regions [baadiya al-Iraaq wa Nawaaheehaa] for this is to the east of the People of Madeenah. The basic meaning of Najd is that which is raised/elevated from the earth in contravention to al-Gawr for that is what is lower than it. Tihaamah is entirely al-Gawr and Mecca is in Tihaamah.'"

Ibn Hajr continues, "by this [saying of al-Khattaabee] the weakness of the saying of ad-Daawodee is understood that 'Najd is in the direction of Iraaq' [min Naahiya al-Iraaq] for he suggests that Najd is a specific place. This is not the case, rather everything that is elevated with respect to what adjoins it is called Najd and the lower area called Gawr."
[Fath al-Baaree 13/58-59]

RESPONSE
Pehle ham Iraq ki definition dekhte hain ke iraq ka matlab kiya hai. Ta ke pata chale ke khatabi ka qol sahih hai ya ghalat

Defination Of Iraq:

Mashoor iraq kahi shehroon per mushtamil hai. Iraqan bol ker koofa aur basra murad lete hain. Iraq ko iraq is liye kehte hain ke ye iraq al'qurbata se makhooz hai, Mashkeezy ke nichay wala sorakh kharz jissay dohra kiya jata hai. (ke arab ki sar'zameen ki nisbat gehrai mein waqiya hai aur satah samunder ke qareeb hai.

Abul Qasmi Zajaji farmate hain ke ibn ehrabi ne kaha hai ke iraq ko iraq kehne ki asal wajah ye hai ke najd ki nisbat past o nasheet ilaqa hai aur samunder ke qareeb hai. Ye iraq al'qurbata se makhooz hai yanni mashkeezay ka nichay wala soraakh.

Alama Yaqoot Hamwi, Ma'jum Al'baldan, Page 93

اس سے واضح ہواکہ عراق پست اور نیچی زمین کو کہتے ہیں جو سطح سمندر کے قریب تر ہو اور نجد ابھری ہوئی زمین کو کہتے ہیں جو ایک دوسرے کے متضاد ہیں، مخالف مطلب ہیں۔ یعنی ایک مشرق ہے اور دوسرا مغرب ہے اور مشرق اور مغرب کو کوئی ملانہیں سکتا ایسا ہی عراق اور نجد کا ہے۔

Is se wazeha howa ke iraq past aur nichi zameen ko kehte hain jo satah samunder ke qareeb ter ho aur Najd ubhri hoi zameen ko kehte hain jo aik doosry ke opposite hain. Jaise mashraq aur maghrib aik nahe ho sakte aise he najd aur iraq aik nahe ho sakte. Ab Ham alama badrud din aini ka qol parhte hain dobara tak e iraq ki tareef aur najd ke ilaqay ka tayyun ho sake

علامہ بدرالدّین عینی عمدۃ القاری شرح صحیح بخاری میں لکھتنے ہیں

ALAMA BADRUD DIN AINI UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI MEIN FARMATE HAIN
Najd arab ka aik ilaqa hai aur Tehama se le ker ker arz e iraq tak ka ilaqa najd hai.
Baz kehte hain ke iraq aur wajra aur ghumratul taif ke darmiyan wala ilaqa najd hai.
Ebab mein likha hai ke ghaur yanni Tehama ke barkhalaf arab ka wo sara buland ilaqa jo Tehama se le ker arz e iraq tak hai Najd hai.

Imam Badrud din Aini , Umdatul Qari Sharah Sahih Bukhari, Vol 1, Page 266

NAJD KO MASHRAQI KE NAAM SE BHI PUKARA JATA HAI.
Ar'riyaz, darriya, ayainya aur iske aas pass ke bashindoon ko tayyeba mein mashraqi ke naam se yaad kiya jata tha jaisa ke sheikh Muhammad bin abdul wahhab najdi ke ustaad sheikh Abdullah bin Ibrahim ke halaat se mazkoor hai ke wo najd ke aik sheher majma, jo ke ayainya aur darriya ke qareeb he hai, ke bashinday thy, ye Madina tayyeba mein muqeem thy aur unhain wahan sheikh mashraqi ke naam se yaad kiya jata tha,

Shykh usman bin basher, unwan al'majd fi Tareekh al'najd page 17

Najd ki haqiqat

Part 2
Wahabi najdi ki haqiqat

(asmahi) kehte hain ke Tehama se bulandi per waqia sar'zameen ka naam najd hai, muhawra hai ke oontni najd mein charti hai aur Tehama mein sairab hoti hai.
Asmahi kehte hain ke mein ne ehrabiyoun se suna ke jab tum bulandi ki taraf jate hoey ajalz ko pichhay chhorr jao to tum najd mein dakhil ho chukay ho. Ajalz qura'teen se ooper hai. Mazeed kaha ke batan wadi rimma se bulandi per waqiya ilaqa ka naam najd hai aur ye zaat irq ki ghatiyoun tak jata hai.

Wo kehte hain ke mein ne bahli se suna hai ke kisra ki khhodi hoi khandaq wala ilaqa najd hai yahan tak ke wo harra tak pohanchta hai. Jab tum harrah mein pohanch jao to hijaz mein dakhil ho chukay ho.

Aik qol ye hai ke najd us areez (tirchhi) jagah ka naam hai jis ki bulandi ki taraf tahama aur yemen hai aur pasti ki taraf iraq o shaam hain.

Sakri kehte hain ke hijaaz ki taraf zaat e irq se paharoon ka shuru hone wala silsala najd ki hadh hai. Yahan tak ke ye silsala phirta howa kohay Madina tayyeba tak pohanch jata hai. Zaat e irq ke paharoon se is taraf tahama tak ka ilaqa hijaz hai.

Jab Tehama ki jehat mein waqiya paharron ko te ker lo to us se aagay samunder tak ka ilaqa ghaur hai aur ghaur aur Tehama aik he cheez hai. Ye bhi kaha jata hai ke saray ka sara najd yamamah ka matehat hai. Ammara bin aqeel kehte hain ke zaat e irq se agay barho to wo najd hai yahan tak ke issay iraq munqattah kerta hai (iraq tak ja ker khatam hota hai)
(Alama Yaqoot Hamwi, Ma'jum Al'baldaan, Vol 5, 263)

Result of Above:
1: Madina tayyeba se mashraq ki janib ajalz ko aboor kerne se balaee ilaqa shuru ho jata hai jo najd ki maghrabi sarhad hai.
2: doosray arab ilaqoon ki nisbat is ki bulandi ziada hai.
3: is ke shamaal mein iraq hai jo is ke nashaibi ilaqa ki taraf waqiya hai
4: najd ki shamali had iraq per ja ker khatam ho jati hai.
5: najd ke balaee ilaqa ki taraf (yemen janoob ki taraf hai) YemeN hai
6: Najd ke mukhtalif aqwaal ka markazi nuqta yehi hai ke Hijaaz,Iraq, Shaam, Yemen Aur Tehama ke wast mein waqiya ilaqa ka naam Najd hai.

علامہ یاقوت حموی ایک اور جگہ نجد کے علاقے کی تعریف ان الفاظ میں کرتے ہیں

Yaqoot hamwi likhte hain> yanni najd us chorri zameen ka naam hai jis ke ooper tahama aur yemen hai. Aur nichay iraq aur shaam,, Hijaz ki taraf se najd ki hadh zaat irq hai jaise jaise paharr Madinah ki taraf ghomta jata hai.. .. iraq ka naam iraq is liye parra ke wo najd se nichay samunder se qareeb hai.

Abu Abdullah yaqoot bin Abdullah al'hamwi, alama ma'jun al'baldan, vol 5, page 262
Abu Abdullah yaqoot bin Abdullah al'hamwi, alama ma'jun al'baldan, vol 4, page 95

Comment:
Is se pata chalta hai ke najd us sarzameen ka naam hai jo tahama aur iraq ke darmiyan hai. Neez ye bhi tasreeh hai ke najd ka ilaqa hijaz se shuru hota hai neez iraq najd ke alawa doosra mulk hai.jo najd ke nichay hai. Is liye is se koi gunjaish nhe ke najd se iraq murad liya gia hai.

Imam Ibn Hajr asqalani ne khatabi ka qol naql kiya hai aur ye ik imam ka qol hai jis ko ham farman e Mustafa Sallallahu Alaihe Wasallam per tarjeeh nahe de sakte. Aeye zara khatabi ka woe qol parhte hain jis ko log ahadees ke muqable mein tarjeeh dete hain

ابن حجر عسقلانی نے خطابی کا قول نقل کیا ہے جس کو ہم فرمان مصطفی صلّی اللہ علیہ وسلّم پر ترجیح نہیں دے سکتے۔ آئیے ذرا خطابی کا وہ قول پڑھتے ہیں جس کو لوگ احادیث کے مقابلے میں ترجیح دیتے ہیں

Continue

Najd ki haqiqat

Part 1
wahabi najdi ki haqiqat


Post pura padhen

نجد کہاں پر ہے اور مشرق سے کون سا علاقہ مراد ہے

نجد کے حوالے سے بحث عام چل پڑی ہے۔ کوئی نجد کو ایک مخصوص علاقہ بتاتا ہے تو کوئی اس کو مخصوص علاقہ نہیں سمجھتا۔جو نجد کو ایک مخصوص علاقہ نہیں سمجھتے انہوں نے بارہ 12 نجدبنا لئے ہیں اور وہ فتنے والے نجد کوعراق کے شہر بغداد،بصرہ اور کوفہ سمجھتے ہیں۔ حالانکہ یہ بارہ نجد والوں کا دعوی کسی بھی حدیث اورتاریخ سے ثابت نہیں ہے۔ جبکہ ایک نجد سمجھنے والوں کا نظریہ احادیث اور تاریخ سے ثابت ہے۔ آج کی اس بحث میں مشرق سے کون سا علاقہ مراد ہے وہ بھی دیکھیں گئے اور یہ بھی دیکھیں گے وہ بادیہ نشین شور مچانے والے بنی مضر اور ربیعہ کے لوگ کون ہیں اور یہ لوگ کس جگہ آباد ہیں۔

آج بنی تمیم کو بھی قرآن و حدیث اور تاریخ میں جا کر دیکھیں گئے۔

ہم قرآن کے نظریہ کے مطابق مشرق اور مغرب صرف سمتوں کا بیان کرينگے کیونکہ قرآن میں دو سمتیں بیان ہوئی ہیں۔ اس لئے پہلے ہم قرآن کا وہ نظریہ پڑھتے ہیں:

MASHRIQ(EAST)

Allah ta'ala qur’an kareem me farmata  hai:-”
wahi mashriq aur maghrib ka maalik hai aur iske siwa koi mabood nahi, to isi ko apna kaarsaaz banaao”
(surah muzammil 9) ”

Aur mashriq aur maghrib sab khuda ki ka hai, to jidhar tum rukh karo udhar khuda ki zaat hai”
(surah baqarah 115)yani in ayaton se ye to saabit hai ki allah poore mashriq(east) aur maghrib (west) ka malik o mukhtar hai.

Lekin aaj ke science ke mutabik direction 4 hain:
1-EAST
2-WEST
3-NORTH
4-SOUTH

Ham Qur'an o Hadees Ko Hujjat Mante hain is liye sirf mashraq aur maghrib ko he lain gay north aur south ka zikr nhe krain gay. Ahadees mein jis mashraq ka zikr aya hai aur jin qabeeloon se shaitan ke seeng niklen ka zikr hai aaj ham uski nishandehi krain gay aur ye bhi sabit krain gay ke woe kis ilaqay mein rehte hain.

آیئے اب سب سے پہلے ہم نجدکے مضمون سے شروع کرتے اور دیکھتے ہیں کہ نجد کا کیا معنی اور یہ کہاں سے لیکر کہاں تک ہے۔ اس حوالے سے ہم احادیث، تاریخ اور علماء کرام کے اقوال کو دیکھیں گے۔

آئیے سب سے پہلے وہ حدیث پڑھتے ہیں جس میں نجد کے لئے دعا نہیں فرمائی گئی :

حضرت عبداللہ بن عمر رضی اﷲ عنہما روایت کرتے ہیں کہ حضور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلّم نے دعا فرمائی: اے اللہ !ہمارے لئے ہمارے شام میں برکت عطا فرما، اے اللہ! ہمیں ہمارے یمن میں برکت عطا فرما، (بعض)لوگوں نے عرض کیا: یا رسول اللہ!ہمارے نجد میں بھی؟ آپ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے (پھر) دعا فرمائی: اے اللہ! ہمارے لئے ہمارے شام میں برکت عطا فرما۔ اے اللہ! ہمارے لئے یمن میں برکت عطا فرما۔ (بعض) لوگوں نے (پھر ) عرض کیا: یا رسول اللہ! ہمارے نجد میں بھی، میرا خیال ہے کہ آپ صلّی اللہ علیہ وسلّم نے تیسری مرتبہ فرمایا: وہاں زلزلے اور فتنے ہیں اور شیطان کا سینگ (فتنہ وہابیّت و نجدیّت) وہیں سے نکلے گا۔
صحیح بخاری 2598/6، حدیث 6681۔

اب نجد کی تعریف پڑھتے ہیں: آسان الفاظ میں نجد ابھری ہوئی زمین کو کہتے ہیں ۔

نجد کی تعریف پڑھنے کے بعد ہم اب دیکھتے ہیں ہیں آئمہ کرام اور تاریخ دانوں نے کہاں سے کہاں تک کے علاقے کو نجد کہا ہے:
سب سے پہلے ہم ابن حجر عسقلانی کا حوالہ دیتےہیں:

Alama ibn hajjar asqalani ka qol hai ke:
Makkah se koofa ki janib ka najd, najd qarn ash'shaitan hai.  Page 36

یہ وہ تعریف ہے جس سے باقی سب آئمہ کرام اور تاریخ دانوں نے اختلاف کیا ہے لیکن اس تعریف کے مطابق بھی نجدمکہ کی حدود ختم ہونے سے شروع ہو کر کوفہ کی حدود جہاں سے شروع ہوتی ہیں وہاں تک کا علاقہ نجد ہے۔اس سے واضع ہوا کہ کوفہ اس نجد میں نہیں آتا جس میں خود کو ایک نمبر مسلمان کہنےوالے بتاتے ہیں اور اس سے ان لوگوں کا یہ دعوی بھی غلط ثابت ہوگیا جو کوفہ کو فتنوں والے نجد میں شمار کرتے ہیں۔

اب ہم وہ تعریف بیان کرنے لگے ہیں جن کو جمہور علماء اور تاریخ دانوں نے بیان کیا ہے۔خیال رہے کہ یہ نجد کی تعریف علاقے کے اعتبار سے ہورہی ہے لغت یا اصطلاحی معنوں میں نہیں ہو رہی۔ مطلب کہ کہاں سے کہاں کے علاقے کو نجد قرن االشّیطان کہاگیا ہے۔

علامہ یاقوت حموی اپنی شہرہ آفاق کتاب معجم البلدان کے صفحہ 263 جلد 5 میں لکھتے ہیں:
Continue