Part 33 wahabi najdi ki haqiqat
Comment: Tareekh gawah hai ibn wahhab aur uske sathi saud ne apni talwar sirf musalmanoon per uthai hai kabhi kisi non muslim ke khilaaf in ka hath nhe uthha hai. Abi haal he mein he in Saudi kharjiyoun ne libya ki aik muslim riyasat ke khilaaf dehshatgardoon ki Natto aur America ki madad se baghawat barpa ker di aur wahan musalmanoon ka qatl e aam kiya. Is se pehle Saudi kharjiyon ne America ki madad se Iraq ke muslim mulk ko tabah o barbad ker diya. Aur in dinoon Saudi kharji iraq mein dehshatgardoon ki madad ker ke shaam Syria mein baghawat kra rahe hain. Aur doosri taraf America ko isharay de rahe hain ke woe iran per hamla ker de. Aur doosri taraf aaj tak Saudi Arabia ke kharjiyoun ne aaj tak philistine ki kabhi weapon se na madad ki na apne log wahan jahad ke liye bhejay. Is se kharji zehniyat ka pata chalta hai. Aur abi Pakistan mein najd ke shykh tauseef ur rahman ne kaha hai ke Kashmir ka jahad kuffer ki jung hai aur us ne kaha ke data darbar shirk ka markaz hai. Asan lafzoon mein is ne butparastoon ko chhorr diya aur musalmanoon per hath uthha liya.
6: Mashraq ki janib se kuch log niklain gay
Abdullah bin dhil khawaysra Madina ke mashraq ki wadi najd ke banu tamim ke qabeelay se nikla tha aur kharjiyoun ke sardaroon mein abu bilal mirdas bhi shamil tha. Aur kharjiyoun ko bani tamim ne welcome kiya tha.
7: Farmaya Unki nishani sar mundana hai ya farmaya: sar mundaey rakhna hai
Ibn wahhab apne pairokaroon ke sar mundata tha hatta ke woe auratoon ke sar mundane ki koshish kerta tha jis per aik aurat ne usko ye keh ker la'jawab ker diya tha ke mardoon ki darhyaan bhi mundwa do kion ke auratoon ke sar ke baal mardoon ki darhyoun ki manind hote hain
8: us ka zahoor us waqt hoga jab logoon mein firqa bandi ho jaey gi
Aur ye group tab nikla tha jab Hazrat Ali Aur Hazrat Ameer Muawiya radi Allah anhum ke darmiyan firqa bandi hoi thi to is group ne kharooj kiiya tha. Aur ye ussi ki pusht aur dost thy jis ne gustakhi ki thi matlab zil khwaisra tamimi ki nasal se
8: inhain 2 jamatoon mein se wo jama'at qatal kray gi jo haq ke ziyada qareeb hogi,
Hazrat ali radi Allah anho ne in ko ahle iraq ke sath mil ker qatal kiya tha. Aur ahle iraq wali jama'at he haq ke ziyada qareeb thi aur Hazrat Ali ka markazi koofa tha. Aur ahle iraq aur koofa waloon ne kharjiyoun shaitan ke seengoon ko qatal kiya tha to yahan un logoon ka dawah ghalat sabit ho jata hai ke Koofa he najd hai jahan se fitnay niklain gay jab ke koofa, ahle iraq ne fitnoon ka khatma kia tha.
9: anqareeb akhri zamanay mein aise log zahir hoon gay ya niklain gay jo no'umer aur aqal se koray hoongay
Aaj kal salafi, wahhabi, ahle hadees isi zumray mein ate hain kion ke in ki aksariyat young logoon per mushtamil hai jo apne waldain ko mushrik kehte hain aur ahadees ki ghalat taweelain kerte hain aur kehte hain ke Qur'an o Hadees khud parho scholars ne jo books likhi hain un ko na parho kion ke woe sahih nhe hain.
10: ahadees bayan krain gay lakin imaan in ke apne halq se nichaey nhe utray ga
Aaj kal aik firqa nikla howa hai jo sirf Qur'an o Hadees ki baat kerta hai. Aur is firqay ka bacha bacha azeem ulma ki tasdeeq ki gai sahih hadees ko bhi dhaeef aur fabricated qarar deta hai. Aur in se koi bhi baat krain gy to ye hadees ki kitaboon se hawale dene lagte hain. Isi wajah se is firqay ne apna naam he ahle hadees rakh liya hai
Ibn kathir likhte hain:
Jab hazrat Ali radi Allah anho ke khilaaf ye log apne bughaz o inaad ka izhaar ker rahe thy. Wo waqiya youn paish aya ke is doran aik kharji kharra hogia is ne apne kanoon mein ungliyan dal ker ye ayat karima parhna shuru ker di aur beshak wahi ki gai tumari taraf aur tum se agloon ki taraf ke aey Sunne wale ager tu ne Allah ka shareek kiya to zaroor tera sab kiya dhara zaiya ho jaey ga aur zaroor tu khasaray mein rahe ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 7 page 292