async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: tamheed e imaan shareef hissa 1
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 1. Show all posts
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 1. Show all posts

Tuesday, November 17, 2015

12

Page 12

Khaas sifat hui jis ko khudai lazim hai jab to nabi ke liye uska manne wala kafir mushrik hua aur usne wahi was'at wahi sifat khud apne muh iblees ke liye sabit mani to saaf saaf shaitan ko khuda ka sharik thahra diya| musalmano kya ye  Allah az-wa-jal aur uske rasool sallallahu alaihi wasallam dono ki touhin na hui zaroor hui|
Allah ki touhin to zahir hai ke uska sharik banaya aur woh bhi kise iblees lain ko! aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki touhin yun ke iblees ka martaba itna badha diya ke woh to khuda ki khas sifat me hisse dar hai aur ye isse aise mahroom ke unke liye sabit maano to mushrik hojao? musalmano kya khuda aur rasool ki touhin karne wala kafir nahi zaroor hai |
Kya jisne kaha ke baaz ulum e gaibiya muraad hai to usme Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki kya takhsis hai aisa ilm e gaib to zaid aur umr balke har sabi aur majnoon bakle jami haiwanaat bahaayem ke liye bhi hasil hai
Kya usne Mohammad rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko sarih gaali na di ?
Kya nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ko itna hi ilm e gaib diya gaya tha jitna har paagal aur choupaye ko haasil hai |
Musalman musalman? Ae Mohammad Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke ummiti? Tujhe apne  deen aur imaan ka waasta , kya is na-paak  mal'un gaali ke sarih gaali hone me tujhe kuchh shubah guzar sakta hai , maazAllah ke Mohammad Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki azmat tere dil se aisi nikal gai ho ke us sadid gaali me bhi unki touhin na jaane aur agar ab bhi tujhe aitabar na aaye to khud un hi bad goyo se puchh dekh ke aaya tumhe aur tumhare ustaadon pirjiyon ko kah sakte hain ke aye fala tujhe itna hi ilm hai jitna suwar ko hai tere ustaad ko aisa hi ilm tha jaise kutte ko hai tere pir ko isi qadr ilm tha jis qadr gadhe ko hai ye mukhtasar tour par itna hi hoke us ilm me ullu gadhe kutte suwar ke ham safar dekho to woh usme apni aur apne ustaad pir ki touhin samjhte hain ya nahi kat'an samjhenge aur kaabu paaye to sar hojaye fir kya sabab hai ki jo kalma unke haqq me touhin aur qasre shaan ho Mohammad rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki touhin na ho kya unki azmat unse bhi gai guzri hai kya isi ka naam imaan hai?
Haash-Allah kya jisne kaha kyuke

11

Page 11

Jabbar wa azaab e naar me fansa dena kya aqal ki baat hai
lillah lillah zara der ko Allah wa rasool ke siwa sab enawan se nazar uthakar aankhe band karo aur gardan jhuka kar apne ap ko Allah waheed e kahhar ke samne hazir samjho aur nir e khalis sachche islami dil ke saath Mohammad rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki azeem azmat buland izzat rafik wa jaahat jo un ke rab ne unhe baqshi aur unki tazim unki toukir par imaan wa islam ki bina rakhi use dil zama kar insaaf aur imaan se kaho kya jis ne kaha ke shaitan ko ye was'ate nass e sabit hui fakhre aalam ki was'ate ilm ki kon si nas katai us ne Mohammed rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki shaan me gustakhi na ki kya us ne iblees lain ke ilm ko rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke ilm aqdas par na badhaya kya woh rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki was'ate ilm se kafir hokar shaitan ki was'te ilm par imaan na laaya musalmano khud isi badgoh se ila hi ke dekho ke wo ilm me shaitan ke hamsar dekho to woh pupa manta hai ya nahi haala ke use to ilm me shaitan se kam bhi na kaha balke shaitan ke barabar hi bataya fir kam kahna kya touhin na hogi aur agar wo apni baat palne ke is par na gawari zahir na kare agarche dil me kat'an nagawar manega to use chhodiye aur kisi moazzam se kah dijiye aur pura hi imtehan kam sudh ho to kya kacheheri me ja kar ap kisi haakim ko ihne lafzo taabir kar sakte hain dekhiye abhi abhi khula touhin hui aur beshak hui fir kya rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki touhin karna kufr nahi zaroor hai aur bil yakeen hai kya jis ne shaitan ki wa'ate ilm ko nas se sabit man kar HUZOOR aqdas sallallahu alaihi wasallam ke liye was'ate ilm manne wale ko kaha tamam nasus ko radd kar ke ek shirk sabit karta hai aur kaha shirk nahi to kon sa imaan ka hissa hai usne iblees lain ko khuda ka sharik mana ya nahi zaroor mana ke jo baat makhlooq ke liye sabit karna shirk hogi jis kisi ke liye sabit ki jaye kat'an shirk hi rahegi ke khuda ka sharik koi nahi ho sakta jab rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke liye was'ate ilm manni shirk thahrai jis me koi hissa imaan ka nahi to zaroor itni was'ate khuda ki woh

10

Page 10

Wal jaan sallallahu alaihi wasallam khuda raah zara insaaf kar woh saat bahtar hain jo un logo se yak lakht tarke ilaqa kar dene par milte hain ke dil me imaan zam jaye Allah madadgar ho jannat mukaam ho Allah walon me sumaar ho muraad e mile khuda tujhe se raazi ho tu khuda se raazi ho
Ya ye saat bhale me jo un logo se talluk laga rahne par padenge ke zalim gumrah kafir jannami ho akhirat me khwar ho khuda ko iza de khuda dono jahan me lanat kare hayhaat hayhaat kon kah sakta hai ke ye saat achhe hain kon
Keh sakta hai ke woh saat chhorne ke hai magar jaan biradar khali ye ke dono to kaam nahi deta wwahn to imtehan ki thehri hai abhi aayat sun chuke

kya us bhulawe me ho ke bas jabaan se kah kar chhut jaoge imtehan na hoga!

Haan yehi imtehaan ka vaqk hai

Dekho ye Allah waheed e kahhar ki taraf se tumhari janch hai dekho woh farma raha hai ke Tumhare rishte ilaqe qayamat me kaam na aayenge mujhse tod kar kis se jodte ho
Dekho woh farma raha hai ke mai gaafil nahi mai be khabar nahi tumhare aamaal dekh raha hun tumhare
Aqwaal sun raha hun tumhare dilo ki haalat se khabardaar hun dekho be parwahai na karo paraye pichhe apni aaqibat na bigaado Allah aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke muqabil zid se kaam na lo dekho woh tumhare apne shakht aazab se darata hai us ke aazab se kahin. Panah nahi dekho woh tumhe apni rahmat ki taraf bulata hai be us ki rahmat ke kahin hibaah nahi dekho aur gunaah to bade gunaah hote hai jin par Aazab ka istahaqaq ho magar imaan nahi jaata aazab hokar khwah rab ki rahmat habib ki shafa'at se beaazab hi chhutkara ho jayega ya hosakta hai magar ye Mohammed rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki tazim ka mukaam hai un ki azmat un ki mohabbat madaare imaan hai  quran e mazeed ki aayat e sun chuke ke jo is mamle me kami kare us par dono jahan me khuda ki lanat hai dekho jab imaan gaya fir islaa abad la abad tak kabhi kisi tarah hargiz Aslan aazab e sadid se rehai na hogi gustakhi karne wale jin ka tum yahan kuchh paas lehaaz kar do haan apni bhugat rahe hoge tumhe bachane na aayenge aur aaye to kya kar sakte hain fir aison ko lehaaz kar ke apni jaan ko hamesha hamesha gazbe

09

Page 9

Jo tum me in ki dosti karega to beshak woh unhi me se hai beshak Allah hidayat nahi karta zalimo ko
pahli aayato me to in se dosti karne walon ko zalim wa gumrah hi farmaya tha is ayaat e kareema ne bilkul tasfiya farma diya ke jo in se dosti rakhe wo bhi unhi me hai unhi ki tarah kafir hai un ke saath ek rassi me bandha jayega aur woh koda yaad rakhiye ke tum chhup chhup ke in se mel rakhte ho aur mai  tumhare chhupe zahir sab ko khub janta hun ab woh rassi bhi sun lijiye jis me rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki shaan aqdas me gustakhi karne wale bandhe jayenge wal aayaz billah ta'ala

Tumhara rab az-wa'jal farmata hai :

Woh jo rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko iza dete hain un ke liye  dardnak aazab hai
Aur farmata hai

Beshak jo log Allah aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko iza dete hain un par Allah ki lanat hai duniya aur Akhirat me aur
Allah ne unke liye zillat ka aazab taiyyar kar rakha hai Allah az-wa-jal iza se paak hai  use kon iza de sakta hai magar habib sallallahu alaihi wasallam ki shaan me gustakhi ko apni iza farmaya in aayat o se us shakhs par jo rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke bad-goyo se mohabbat ka bartao kare saat kode sabit hue (1) woh zalim hai (2) gumrah hai(3) kafir hai (4) us ke liye  dardnaak aazab hai (5) woh aakhirat me zalil aur khwar hoga (6) us ne Allah waheed e kahhar ko iza di (7) us par dono jahane khuda ki lanat hai
Wal aayaz billah ta'ala

Ae musalmano ae musalmano ae ummati e sayyadul ins

08

Page 8

Rakhtaa ho aur woh sab ki sab un azeem doulato'n par nisaar karde to wallah ke muft paaye:n fir zaid aur umr se ilaaqa e ta'azim aur mohabbat yeh lakht qata kardena kitni badi baat hai jis par Allah ta-ala in be baha nemato'n ka waada farmaa raha hai aur us ka waada yaqeenan sachcha hai|

quran e kareem ki Aadate kareema hai ke jo huqm farmaata hai jaisa ke us ke manne waalo'n ko apni nemato'n ki basharat deta hai na manne walo'n par apne azaabo'n ka tazyaana bhi rakhta hai ke jo past himmat nemato'n ki laalach me na Aaye'n sazaao'n ke dar se raah paaye'n woh azaab bhi sun lijiye

Tumhaara Rab az-wa-jal farmata hai

Aye imaan waalo'n apne baap apne bhai ko dost na banao agar woh imaan par kufr pasand kare'n aur tum me jo un se rafaaqat kare'n aur wahi log sitamgaar hain"

aur farmaata hai

Aye imaan waalo'n! Mere aur apne dushmano'n ko dost na banao , tum chhup kar un se dosti karte ho aur main khub janta hun jo tum chhupaate aur zaahir karte ho aur tum me jo aisa karega woh zaroor sidhi raah se baheka,

tumhaare rishte aur tumhaare bachche tumhe kuchh nafaa na denge |

Qayamat ke deen tum me aur tumhaare pyaro'n me zudayee daal dega ke tum me ek dusre ke kuchh kaam na aasakega aur Allah tumhare aamaal ko dekh raha hai |
Aur farmaata hai:

07

Page 7

Tu na paayegaa unhe jo imaan laate hain Allah aur Qiyamat par ke un ke dil me aiso'n ki mohabbat aane paye jinhone khuda aur rasool sallallahu alaihi wasallam se mukhalifat ki, chaahe woh un ke baap ya bete ya bhai ya aziz hi kyun na hon,
ye hain wo log jin ke dil o me Allah ne imaan naqsh kar diya aur apni taraf ki rooh se un ki madad farmaayee aur unhe baago'n me le jaayegaa | jin ke niche nahere'n bah rahi hain, hamesha rahenge un me Allah un se raazi aur woh Allah se raazi, yehi log Allah wale hain sunta hai Allah wale hi muraad ko pahunche |"

Is Aayat e kareema me saaf farmaa diya ke jo Allah ya Rasool ki janaab me gustaakhi kare musalman usse dosti na karega |

jis ka sarih ye mufaad hua ke jo us se dosti kare woh musalman na hoga |

fir is huqm ka qat-an aam hona bil tasreeh irshaad farmaaya ke baap bete bhai aziz sab ko geenaaya yaani koi kaisa hi tumhaare za-am me muazzam ya kaisa hi tumhe bil taba mahboob ho imaan hai to gustaakhi ke baad us se mohabbat nahi rakh sakte us ki vaqat nahi maan sakte warna musalman na rahega |

moula subhaan-wa-ta'ala ka itna farmaana hi musalman ke liye bas tha magar dekho woh tumhe apni rahmat ki taraf bulata apni Azeem nemato'n ka laalach dilaata hai,

ke agar Allah aur Rasool ki azmat ke aage tum ne kisi ka paas na kiya kisi se ilaaqa na rakha to tumhe kya kya faaide hasil honge |

1) Allah tumhare dilo'n me imaan naqsh kardegaa jis me inshaAllah husne khaatma ki bashaarte jalila hai ke Allah ka likha nahi mitataa

2) Allah ta-ala roohul qudus se tumhari madad farmayega

3) tumhe hameshgi ki jannato'n me lejaayega jin ke niche nahere'n rawan hain

4) tum khuda ke garoh kahelaaoge khuda wale hojaoge,

5) muh maangi muraade'n paaoge balke ummid aur khyaal aur gumaan se Croreo'n darje afazo'n

6) sab se zyada ye ke Allah tum se raazi hoga

7) ye ke farmaata ha main tum se raazi bande ke liye is se zaayed aur kya nemat hoti ke us ka Rab us se raazi ho magar intehaaye banda nawazi ye ke farmaaya Allah un se raazi aur woh Allah se raazi |
         Musalmano! Khuda lagti kahna agar Aadami Crore jaane'n

06

Page-006...

Nafrat Khaao Phir Na Tum Rishte Ilaaqe Dosti Ulfat Ka Paas Karo Na Us Ki Moulviyat Mashikhat Buzurgi Fazilat Ko Khatre Me Laao Ke Aakhir Ye Jo Kuch Tha Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Hi Ki Gulaami Ki Bina Par Tha,

Jab Ye Shakhs Un Hi Ki Shaan Mein Gustakh Hua Phir Hume Us Se Kya Ilaaqa Raha?

Us Ke Jubbe Amaame Par Kya Jayein Kya Bahutere Yahoodi Jubbe Nahi Pehante?

Kya Bahutere Padri, Baa-Kasrat Falsafi Bade Bade Uloom Aur Funoon Nahi Jante, Aur Agar Ye Nahi Balki Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ke Muqabil Tum Ne Us Ki Baat Banaani Chaahi Us Ne HUZOOR {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Se Gustaakhi Ki Aur Tum Ne Us Se Dosti Nibaahi Ya Us Se Har Bure Se Badtar Bura Na Jana Ya Use Bura Kehne Par Bura Maana Ya Usi Qadr Ke Tum Ne Us Agar Mein Be Parwayi Manaai Ya Tumhare Dil Mein Us Ki Taraf Se Sakht Nafrat Na Aayee To Lillah Ab Tum Hi Insaaf Kar Lo Ke Tum Imaan Ka Madaar Rakha Tha Us Se Kitni Door Nikal Gaye..

Musalman'on! Kya Jis Ke Dil Mein Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Hogi Woh Un Ke Badgo Ki Waqt Kar Sakega Agarche Us Ka Peer Ya Ustaad Ya Pisraahi Kyon Na Ho, Kya Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Tamaam Jahaan Se Zyada Pyare Hon Woh Un Ke Gustaakh Se Fauran Sakht Shadid Nafrat Na Karega,

Agarche Us Ka Dost Ya Biradar Ya Pisraahi Kyu'n Na Ho,

Lillah Apne Haal Par Rahem Karo Aur Apne Rab Ki Baat Suno Dekho Woh Kyo'n Kar Tumhe Apni Rehmat Ki Taraf Bulata Hai Dekho:

Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai:

05

Page-005...

Ke Jo Huzoor-E-Aqdas {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Se Zyada Kisi Ko Aziz Rakhe, Harghiz Musalman Nahi...

Musalmano'n Muhammad {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ko Tamaam Jahan Se Zyada Mehboob Rakhna Madaar-e-Imaan Aur Madaar-E-Nijaat Hua Ya Nahi.? Kaho Hua Aur Zaroor Hua...

Yahan Tak To Saare Kalma Goh Khushi Khushi Qubool Karenge Ke Haan Hamaare Dil Mein Muhammed Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Azeem Azmat Hai...

Haan Haan Maa Baap Aulaad Saare Jahan Se Zyada Hamein Huzoor Ki Mohabbat Hai.

Bhaiyon! Khuda Aisa Hi Kare Magar Zaraa Kaan Laga Kar Apne Rab Ka Irshaad Suno..

Tumhaara Rab Azwa-jal Farmaata Hai:-
"Kya Log Is Ghamand Mein Hain Ke Itna Keh Lene Par Chhodh Diye Jayenge Ke Hum Imaan Laaye Aur Un Ki Aazmaish Na Hogi"

Yeh Aayat Musalmano'n Ko Hoshiyar Kar Rahi Hai Ke Dekho Kalma Goyi Aur Zubaani Adduaye Musalmani Par Tumhaara Chhutkaara Na Hoga Haan Haan Sunte Ho Aazmaaye Jaaoge,

Aazmaish Mein Pure Nikle To Musalman Teharoge..

Har Shai Ki Aazmaish Mein Yehi Dekha Jata Hai Ke Jo Baatein Us Ke Haqiqi Aur Waqayee Hone Ko Darbar Hain Woh Us Mein Hai Ya Nahi?

Abhi Quran Aur Hadees Irshaad Farmaa Chuke Ke Imaan Ke Haqiqi Aur Waqayee Hone Ko 2 Baatein Zaroor Hain Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Aur Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Mohabbat Ko Tamaam Jahan Par Taqdeem,

To Is Ki Aazmaish Ka Sahih Tariqa Hai Ke Tum Ko Jin Logon Se Kaisi Hi Tazeem Kitni Hi Aqeedat Kitni Hi Dosti Kaisi Hi Mohabbat Ka Ilaqa Ho,

Jaise Tumhaare Baap, Tumhaare Ustaad, Tumhaare Peer, Tumhaari Aulaad, Tumhaare Bhai, Tumhaare Ahbaab, Tumhaare Bade, Tumhare As.Haab, Tumhaare Moulvi, Tumhare Hafiz, Tumhaare Mufti, Tumhaare Wayeez Wagairaah Wagairaah Kase Baashad,

Jab Woh Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Shaan Mein Gustaakhi Karein Aslan Tumhaare Dil Mein Un Ki Azmat Un Ki Mohabbat Ka Naam Aur Nishaan Na Rahe Fauran Un Se Alag Hojao...

Un Ko Doodh Se Makkhi Ki Tarah Nikal Kar Phek Do..

Un Ki Surat Un Ke Naam Se

04

Page-004...

Mushkkatein Bharein Aur Badla Kya Hoga Ye Ke Bhadakti Aag Mein Pithenge,

Musalmano'n Kaho Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Madaar-E-Imaan Aur Madaar-E-Nijaat Aur Madaar-e-Qubool Aamal Hui Ya Nahi, Kaho Hui Aur Zaroor Hui...

Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai:-
"Aye Nabi Tum Farma Do Ke Aye Logon Agar Tumhaare Baap Tumhaare Bete Tumhaare Bhai Tumhaari Bibiyan Tumhaara Kunba Tumhaari Kamayee Ke Maal Aur Woh Saudagari Jis Ke Nuqsaan Ka Tumhe Andesha Hai Aur Tumhaari Pasand Ke Makaan In Mein Koi Cheez Bhi Agar Tum Ko Allah Aur Allah Ke Rasool {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Aur Us Ki Raah Mein Koshish Karne Se Zyada Mehboob Hai Toh Intezaar Rakho, Yahan Tak Allah Apna Azaab Utaare Aur Allah Ta'ala Behuqmo Ko Raah Nahi Deta...

Is Aayat Se Maalum Hua Jise Dunya Jahan Mein Koi Muazziz Koi Aziz Koi Maal Koi Cheez Allah Aur Rasool se Zyada Mehboob Ho Wo Bargaah-E-Ilaahi Se Mardud Hai,

Allah Use Apni Taraf Raah Na Dega Use Azaab-E-Ilaahi Ke Intezaar Mein Rehna Chahiye,

Tumhaare Pyare Nabi {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Farmaate Hain:-
Tum Mein Koi Musalman Na Hoga Jab Tak Main Us Ke Maa Baap Aulad Aur Sab Aadmiyon Se Zyada Pyara Na Hon...

Ye Hadees Sahih Bukhari Aur Muslim Mein Anas Bin Malik Ansari (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Se Hai Is Mein To Ye Baat Saaf Farmaadi

03

Page-003...

Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai:-

"Aye Nabi Beshak Hum Ne Tumhe Bheja Gawah amAur Khushkhabri Deta Aur Darr Sunata Ke Aye Logo Tum Allah Aur Uske Rasool Par Imaan Lao Aur Rasool Ki Tazeem Aur Tauqeer Karo Aur Subah Shaam Allah Ki Paaki Bolo"

Musalmano Dekho Deen-E-Islam Bhejne Quran Utaarne Ka Maqsood Hi Tumhara Moula Tabarak-Ta'ala 3 Baatein Bataata Hai; Awwal Ye Ke 'Log Allah Aur Rasool Par Imaan Laye', Duwwam Ye Ke 'Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Kare', Suwwam Ye Ke 'Allah Tabarak-Ta'ala Ki Ibaadat Mein Rahein'..

Musalmano In Teeno Jaleel Baat'on Ki Jameel Tarteeb To Dekho,

Sabse Pehle Imaan Farmaya Aur Sabse Pichhe Apni Ibaadat Ko Aur Bich Mein Apne Habeeb {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Ko Isiliye Ke Bagair Imaan Tazeem Kar-aamad Nahi Bahutere Nasaara Hai Ke Nabi-E-Kareem {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Aur Takreem Aur Huzoor Par Se Dafaa Etaraazaat Ka Faraane Laeem Mein Tasneef e Kar Chuke, Lekcher De Chuke Magar Jabki Imaan Na Laye Kuch Mufeed Nahi Ke Ye Zahiri Tazeem Hui Dil Mein Huzoor-E- Aqdas {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam}  Ki Sachchi Azmat Hoti To Zaroor Imaan Laate,

Phir Jab Tak Nabi Kareem {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Sachchi Tazeem Na Ho, Umr Bhar Ibaadat-E-Ilaahi Mein Guzaare Sab Bekaar Hai Aur Mardud Hai Bahutere Jogi Aur Rahib Tarke Duniya Kar Ke Apne Taur Par Zikr Aur Ibaadat-E-Ilaahi Mein Umr Kaat Dete Hai Balki Inmein Bahut Woh Hain Jo lailaha illallah Ka Zikr Sikhte Aur Zarbe Lagate Hai Magar Az'anja Ke Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Nahi, Kya Faida Asalan Qabil-E-Qubool Bargah-E-Ilaahi Nahi Allah Azwa-jal Aiso'n Hi Ko Farmaata Hai;

Jo Kuch Aamal Inhone Kiye Hum Ne Sab Barbad Kar Diye Aise Hi Ko Farmaata Hai.

Amal Karein

02

Page-002...

             Ek Aiteraz Ka Jawab:-
Jab Yeh Risaala "Tamheed-E-Imaan" Mein Ek Shakhs Ne Baar Baar Yeh Padha Ke Tumhara Rab Azwa-jal  Farmaata Hai;
To Us Ne Huzoor AalaHazrath (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ke Kisi Motaqid Se Us Ka Zikr Kiya Ke Moulana Ahmad Raza Khan "Tamheed-E-Imaan Mein Har Jagah Likhte Hain Ke Dekho Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai To Kya Moulana Ka Khuda Jalle-Jalaalahu Nahi Hai.? Unhone Fauran Hi Ye Sawaal Sarkar AalaHazrath Ki Khidmat Mein Irsaal Kar Diya Us Ka Jawab Sarkar AalaHazrath Azeem-ul-Barkat Ne Diya Jo "FATAWA AFRICA" Musannifa Sarkar-E-AalaHazrath, Imaam Ahmad Raza Khan (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Mein Shameel Hai,

Is Fatawe Mein 10 Qurani Aayat Aur 10 Hadees-e-Kareema Se Apni Baat Ko Sabit Kiya Hai..

Quran-E-Paak Mein Sayyedina Nooh [AlaihisSalam] Ne Apne Rab Se Apni Qaum Ki Shikayat Mein Arz Karte Hain Ke Main Ne Unse Kaha Tumhara Rab Bahut Bakshne Wala Hai Tum Us Se Maafi Chaho;

Kya MaazAllah Woh Nooh [AlaihisSalam] Ka Rab Nahi..!

Sayyedina Moosa [AlaihisSalam] Ne Firaun Ko Bataya Ke Allah Woh Hai Jo Tumhara Rab Hai Aur Tumhare Agale Baap Dadao
Ka;

Kya MaazAllah Woh Moosa [AlaihisSalam] Ka Rab Nahi..!

Isi Tarah 10 Quran Ki Aayat Ke Baad Hadees-E-Paak Saboot Pesh Kiye Hain..

Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Farmaate Hain Munafiq Ko Sayyed (Sardar) Mat Kaho Ke Agar Woh Tumhara Sardar Hua To Beshak Tumhare Rab Ka Tum Par Gazab Hua..

Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ne Farmaya Beshak Tumhara Rab Apne Bande Se Bahut Khush Hota hai Jab Banda Kehta Hai illahi Baksh De..

Ye Sirf 2 Quran Ki Aayat Aur 2 Hadees Pesh Kardi Gayi Hai Jis Ko Pura Fatwa Dekhna Ho Woh Fatawa Africa Mein Dekhein..

01

Page 1
                           786
                            92
Huzoor sayyed e Alam mahboob e Rabbul Alameen sallallahu alaihi wasallam ke baare me kya imaan rakhna chahiye
Quran aur hadees ki roushani me
_____________________________

    Tamheed e
                          Imaan

Alahazrat imam ahmed raza qadri
      Prakashit number 53-1997 ई0

                  Razvi kitab ghar
423, matiya mahal, jama masjid, delhi-6
                   Phone 3264524

________________________________
Ye kitaab sarkar alahazrat imam ahmad raza khan radi Allahu anhu ki likhi hui kitaab hai
Ye kitaab new delhi razvi kitaab ghar se hindi me chhapi hai isko roman urdu me fakeer Muhammad Sirajuddeen aur biradar e asgar Aslam khan Hashmati, mumbra Aur Muhammad Farooq Raza, likhen hain isme arabi ibarat nahi dala gaya ap ke aasani ke liye
iske alawa Facebook page tamheed e imaan shareef bhi hamne banaya jiska link is site par mouzud hai
Ye kitaab ek hi hai lekin mai ap ke aasani ke liye 4 hisse me kar diya hun ek hisse me 12 page to 4 hissa me 48 page hogaya
agar ap ko kuchh galat dikhe to ap hame zaroor bataiye