async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: tamheed e imaan shareef hissa 2
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 2. Show all posts
Showing posts with label tamheed e imaan shareef hissa 2. Show all posts

Wednesday, November 18, 2015

24

Page 24

Allah gawahi deta hai Ke nabi ki shaan me be adabi ka lafz kalma-e-kufr hai aur us ka kehne wala agarche lakh musalmani ka muddayi carod bar ka kalma goho, kafir ho jata hai aur  farmata hai:

Aur agar tum un Se puchho to. Beshaq zarur kehenge Ke hum  to yonhi hansi  khel me the tum farma do kya allah aur us ki ayate aur us Ke rasool Se thatha karte the bahane na banao tum kafir ho chuke apne imaan Ke baad!

Ibne abhi shiba-aur-ibne al-manzar aur ibne abhi hatim aur abul-shaq imaan muzahid talmid  khas sayyadna abdullah bin Abbas radi allahu anhu Se riwayat farmate hai:

Yani kisi shakhs ki utani gum hogayi uski talash thi rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ne farmaya utani fala jungle me fhala jagah hai us par ek munafik bola Mohammad sallallahu alaihi wassallam batate hai Ke utani fala jagah hai mohammad gaib  kya Jane ?

Is par Allah az-wa-jal  ne ye ayate karima utari Ke kya Allah aur rasool Se thatha  karte ho bahane na banao tum musalman kehla kar is lafZ ko kehne Se kafir hogaye (dekho tafsis imaam bin zarir matba misr  jild  Dom 105 tafsis dare-mansur imaam jalaludin suyuti jild suwwam safa 258)

Musalmano! Dekho Mohammad rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ki shaan me itni gustaki karne Se Ke woh gaib kya Jane kalma goyi kaam na ayi  aur Allah ta'ala ne saaf farma diya Ke bahane na banao tum Islam Ke baad kafir ho gaye yahan Se woh Hazrat bhi sabak len   jo

23

Page 23

Munafikin jab tumhare huzoor hazir hote hain kehte hain hum  gawahi dete hain beshaq huzoor yakeenan khuda Ke rasool hain aur Allah khub janta hai beshaq tum zaroor us ke rasool ho aur Allah gahahi deta hai Ke beshaq ye munafikin zaroor jhute hain

Dekho kaisi lambi choudi kalma goyi kaisi kaisi taqeedon Se muakid kaisi kaisi kasamon se muiyad hargiz mojbe irlam na hui aur Allah wahid e-kahhar ne un ko jhuta kizzab  hone ki gawahi di to

ka ye matlab gadhna sarhatan Quran azim ka radd Karna hai!
Haan Jo kalma padhta apne ap ko musalman kehta ho hum  use musalman Janenge ! Jab tak  us Se koi kalma koi harkat koi fel  manani Islam na sadir  ho
baad sadar-aur-manafi hargiz kalma goyi kam na degi!

Tumhara rab az-wa-jal  farmata hai:

Khuda ki kasme rakhte hai Ke unhone nabi ki shan me gustaki na ki aur albatta beshaq woh ye kufr ka bol bole aur musalman hokar kafir ho gaye!

Ibne zarir-aur-tibarani-aur-abu-al-shaq-aur-ibne  mardoya abdullah bin Abbas radi  allahu anhu Se riwayat karte hain! Rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ek ped Ke saaye me tashrif farma the irshad farmaya ankarib ek shashk ayega Ke tumhe shaitan ki ankho Se dekhega woh aaye to us Se baat na karna kuch der na hui thi Ke ek karanji ankho wala samne  Se guzra rasool Allah sallallahu alaihi wassallam ne use bula kar farmaya tu aur tera rafik kis baat par meri shan me guataki Ke lafz bolte hai
woh gaya aur apne rafik ko bula laya! Sab ne akar kasme khayi Ke hum ne koi kalma huzoor ki shaan me be adbi ka na kaha is par Allah az-wa-jal   ne ayate utari Ke khuda ki kasam khate hain Ke inhone gustaki na ki aur beshaq zarur woh ye kufr ka kalma bole aur Teri shaan me be Adbi karke Islam ke Baad kafir ho gaye! Dekho

22

Page 22

Zaban Se kalma rat lene ka naam reh jaye bas kalme ka naam leta ho fir chahe khuda ko jhuta kizzab kehe chahe rasool ko sadi sadi galiyon de.
Islam kisi tarah na jaye

ye musalmano Ke dushman Islam Ke adu awwam ko chalne aur khudaye wahid kahhar ka deen badalne Ke liye chand shaitani makar pesh karte hain!
Makar-e-awwal Islam naam kalmagoyi ka hai! Hadis me farmaya

Jis ne la hi laha illallah keh liya jannat me jaye ga! Fir kisi qoul ya fel ki wajah Se kafir kaise ho sakta hai?

Musalamano! Zara hoshiyar khabardar us makar malun ka hasil ye hai Ke zaban Se lai laha  illallah keh Lena Goya khuda ka beta ban jana hai admi ka beta agar us Se galiyan de jhotiyan mare kuch kar e us ke bete hone Se nahi nikal sakta yuhi jis ne lai laha illallah keh liya Ab woh chahe khuda ko jhuta kazzab kahe chahe rasool ko sadi sadi galiyan de us ka Islam nahi badal sakta is makar ka jawab ek to ayat-e-karima

Me guzra!
Kya log is ghamand me hain Ke nire adaye Islam par chhod diye jayenge aur imtihan na hoga Islam agar faqat kalma goyi ka naam tha to woh beshaq hasil thi fir logo ka ghamand kya galat tha jis Se quran-e-azim radd farma raha hai nej:

Tumhara rab az-wa-jal farmata hai :

Ye gawar kehte hain hum imaan laye
tum farma do imaan to tum na laye haan youn kaho Ke hum  mati-ul-islam hue imaan abhi tumhare dilon me kahan dakhil hua,
aur farmata hai

21

Page 21

Bhaiyo! Alim ki  izzat to us bina par thi Ke woh nabi ka  waris hai nabi ka waris woh Jo hidayat par ho aur jab gumrahi par hai to nabi ka waris hua ya saitan ka?

Us waqt us ki tazim nabi ki tazim hoti| Ab us ki tazim saitan ki tazim hogi! Ye is Surat me hai Ke alim kufr Se niche kisi gumrahi me ho
jaise bad-mazhabon ke aulama,  fir us ka kya puchhna Jo khud kufr e shadid me ho use alim-e-deen janna hi kufr hai na Ke alim-e-deen Jan kar us ki tazim!
Bhaiyo! Ilm us waqt nafa deta hai ke deen Ke sath ho warna pandit ya padri kya apne yaha Ke alim nahi! Iblis kitna bada alim tha fir kya koi musalman us ki tazim karega? Use to muallamul-malkut kehte hai yani farishton ko ilm sikhata tha!
Jab Se usne Mohammad rasool Allah sallahu alaihi wassallam ki tazim Se muh modha! Huzur ka noor Ke peshani Adam alaihi sallam me rakha gaya us se  sajda na kiya us waqt se lanat-e-abdi ka touq us Ke gale me pada,
dekho jab Se us ke shagirdane rashid  us Ke sath kya barttao karte hain humesha us par lanat bhejte hain!
Har  ramzan me mahina bhar uSe janziro me jakadte hain.  qiyamat Ke din khichkar jahannam me dhakelenge yaha Se ilm ka jawab bhi wazeh ho gaya aur ustazi ka bhi
bhaiyo carod (100 laakh baar) afsos hai us adaye musalmani par Ke Allah wahid-e-kahhar aur Mohammad rasool Allah sayyadul abrar sallallahi alaihi wassallam Se ziyadah ustad ki waqt ho Allah aur rasool Se badh kar Bhai ya dost ya duniya me kisi ki mohabbat ho! Aye rab! Hume sachcha imaan de sadka apne Habib ki sachchi izzat sachchi rehmat ka aameen!

M,Aan-e-deen-aur-dushman ne  deen ke khud inkar zaruriyate deen rakhte hain aur sarih kufr karke apne uper  Se naam kufr mitha ne ko islam-aur-quran-aur-khuda-aur-rasool-aur-imaan Ke sath tamsakhar karte aur barahe agwa aur talbis-aur-siwa-e-iblis woh bate banate hain Ke kisi tarah zaruriyat e deen manne ki khud uthjaye Islam faqat tote ki tarah

20

Page 20

Woh jin par touret ka  bujh rakha gaya fir unhone us Se na uthaya un  ka haal  us gadahe ka  sa hai jis par kitabe ladi hon
kya buri misaal hai un  ki jinhone khuda ki ayato jhutlaya aur Allah jalimon ko hidayat nahi karta aur
farmata hai:

Unhe padh kar suna khabar us ki jise hum  ne apni ayaton ka ilm diya tha woh un  Se nikal gaya to shaitan us Ke piche Laga Ke gumrah ho gaya aur hum chahte to us ilm Ke ba.as us Se gire Se utha lete magar woh to zamin pakad gaya aur apni khawahish ka  pairo ho gaya to us ka  haal kutte ki tarah hai to us par humla kare to zaban nikal kar haanpe aur chodh de haanpe  ye un ka haal hai jinhone humari ayaten jhutlayen to humara ye irshad bayan kar ye shayad log sochen kya bura haal hai un  ka  jinhone humari ayate jhhutlayi aur apni hi jaano par sitam dhate  the jis Se khuda hidayat.
Kare wahi rah PAYE aur jise gumrah kare to wahi sarasar nuqsaan me hain

Yani hidayat kuch ilm par nahi khuda Ke ikhteyar hai!
Ye ayaten  hai aur hadisen Jo gumrah Aalimon ki muzammat me hain un ka to ye shumar hi nahi yahan tak  Ke ek hadis me hai. duzakh Ke farishte but parasto Se pehle unhe pakdenge ye kahenge  kya hum  but poojne walon Se bhi pehle lete
To jawab milega

Janne wale aur anjan  barabar nahi

19

Page 19

Aur un  Ke sath wale ne kiya Ke mere liye apni koum Ke saaf dushman ho gaye aur tinka todh kar in Se judayi karli aur khol kar keh diya Ke hum Se tum Se kuch ilaqa nahi
hum tum  Se kitayi bezar hain tumhe bhi aisa hi karna chahye!
Ya tumhare bhale ko tum Se farma rahe  hain
mano to tumhari khair hai na mano to Allah ko tumhari kuch parwah nahi jahan woh mere dushman hue un  Ke sath tum bhi sahi, me tamam jahan Se  gani hun aur tamam khubiyan se  mousuf,

YE TO QURAAN E AZIM KE AHKAM THA:

Allah ta'ala jis Se balayi chahega un  par amal ki toufik dega magar yahan do firqe hai jin ko un ahkam me uzr pesh aate hai!

Awwal be-ilm nadan un  Ke uzr do kism Ke hai! Uzr awwal fhalan to humara ustad ya buzrugo ya dost hai us ka jawab to Quran-e-Azim ki mataahid ayat Se sun chuke Ke rab az-wa-jal ne bar bar batkarar sarahtan farma diya Ke gazab-e-ilahi Se bachna chahte  ho to us baab me apne baap ki bhi riayat na karo! Uzr Dom sahab ye badgo log bhi to molvi hai bala molviyon ko kya kafir samjhe ya buri  Jane is ka jawab

TUMHARA RAB AZ-WA-JAL FARMATA HAI:

Bala dekh to jis ne  apni khawahish ko apna khuda bana liya aur Allah ne ilm hote saate usse  gumrah kiya aur us Ke kaan aur dil par muhar laga di aur us ki ankh par patti chada di to kon use rah par laye  Allah Ke baad, to kya tum dhayan nahi karte aur farmata hai :

18

Page 18

Surat se nafrat karoge, us ke saaye se door bhaagoge, us ka naam sunkar gaiz laaoge jo us ke liye banaawaten gadhe, us ke bhi dushman hojaaoge, fir khuda ke liye maan baap ko ek palle me rakho aur Allah waheed e kahhar aur muhammad rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki izzat aur azmat par imaan ko dusre palle me, agar musalman ho to maan baap ki mohabbato himayat ko Allah aur rasool ki mohabbat aur khidmat ke aage naachiz jaanoge to waajib waajib waajib, laakh laakh waajib se badh kar waajib ke un ki badgo se wo nafrat aur doori aur gaiz aur judaai ho ke maan baap ke dushman dahindah ke saath us ka hazaron hisse na ho  ye hain wo log jin ke liye un saat nematon ki basharat hai
Musalmano tumhara ye zalil khair khwah ummid karta hai ke Allah waaheed e kahhar ki un aayat aur us bayaan shafi waazehul bayanaat ke baad us baare me ap se zyadah arz ki haazat na ho tumhare imaan khud hi un badgoyon se wahi paak mubarak alfaz bol uthenge jo tumhare rab az-wa-jal ne quran e azeem me tumhare sikhne ko qoum e ibrahim alaihissalam se naql farmaye

Tumhara rab az-wa-jal farmata hai :

Beshak tumhare liye ibrahim aur uske saath waale musalmano me achhi res hai, jab woh apni qoum se bole beshak ham tumse bezaar hain
Aur un sab se jisko tum khuda ke siwa pujte ho  ham tumhare munkir huwe aur ham me aur me dushmani aur adawat hamesha ko zaahir hogai jabtak tum ek Allah par imaan na laao beshak zarur un me tumhare liye umda res thi us ke liye jo Allah aur qayamat ki ummid rakhta ho aur jo muh fere to beshak Allah hi be parwah saraha gaya hai
Yaani woh jo tumhe ye fsrmata hai ke jis tarah mere khalil

17

Page 17

Karna chahye yani Jo khud ko jhuta kehe use gumrah kya Mani gunahgar bhi na kaho,

Kya jis ne ye sab to us makzabe khuda ki nisbat bataya aur yahi khud apni taraf Se bawafa us be mana iqrar Ke kadrah alal kazab ma imtina alwaqa masla itifakiya hai saaf sarih keh diya Ke waqu e kizab Ke mana durust ho gaye yani ye baat thik ho gayi Ke khuda Se kizb waqae hua! Kya ye shakhs musalman reh sakta hai!
Kya Jo Aise ko musalman samjhe khud musalman ho sakta hai! Musalmano khudarah insaaf imaan naam ka hai ka tha tasdike ilahi ka tasdik ka sarih mukhalif kya hai takzib takzib Ke kya Mani hain kisi ki taraf kizb mansub karna!
Jab sarhatan khuda ko kizb keh kar bhi imaan baki hai! Tamheeda Jane imaan kis janwar ka naam hai khuda Jane majus aur hunud aur nasara aur yuhud kya kafir hove in me to koi saaf saaf apne mabud ko jhuta bhi nahi bataa haan mabud e barhaq ki baaton Ko youn nahi mante ke inhe is ki  baate hi nahi jante ya tasleem nahi karte aisa to duniya Ke parde  par koi kafir sa kafir bhi shayad na nikle Ke khuda ko khuda manta uske kalma ko us ka kalma janta aur sirf be dharak kehta ho Ke us ne jhut kaha us Se waqu e kizb Ke Mani durust ho gaye garz koi zee insaaf shakh nahi kar sakta Ke in tamam badgoyon ne muh bar kar Allah aur  rasool ko galiyan di hain Ab yahi waqt imtihane ilahi hai wahid e kahhar jabbare az jalaalahu Se daro aur woh ayato ke uper guzri peshe nazar rakh kar amal karo!
Ap tumhara imaan tumhare dilo me tamam badgayoin Se nafrat bhardega hargiz Allah aur rasool Allah sallahu alaihi wassallam ke mukabil tumhe in ki  himayat na karne dega!
Tum ko un  Se ghin ayegi na Ke un  ki  pach kare Allah aur rasool Ke mukabil un  ki galiyo mein mehmal aur behuda tavil gade lillah insaf!
Agar koi shakhs tumhare maa baap ustaadon peeron ko galiyan de aur na sirf zabani balke likh kar chhape  shaye  kare
kya tum us ka  sath doge ya us ki baat banane ko tavile gadege  ya us Ke bakne Se be parwahi karke  us Se badsurat saf rehga! Nahi nahi agar tum me insani  gairat insani  hamiyyat maa baap ki ijzaat hurmat azmat mohabbat kar naamo Nishan bhi laga  reh gaya ho to us badgo dushmani ki

16

Page 16

Bala dekh tu jis ne apni khawahish ko apna khuda bana liya to kya tu us ka jimma legaa ya tujhe guman hai  Ke un  mein Se kuch sunte ya aqal rakhte hain
woh to nahi magar jaise choupaye balke woh to un Se bhi badh kar  gumrah hai!

In badgoyon ne choupayon ka ilm to ambiya alaihissalam Ke ilm Ke barabar mana!
Ab in Se puchiye kya tumhara ilm ambiya ya khud huzoor sayyedul ambiya alaihissalatu wassalam Ke barabar hai
jahiran us ka dawa na karenge aur agar keh bhi de Ke jab choupayon Se barabari karadi.
ap to dopaye hain barabari mante  kya mushkil hai
to youn  puchiye tumhare ustado Peeron mullane mein koi bhi aisa guzra Jo tum Se ilm me ziyadah ho ya sab ek barabar ho akhir kahi to fark niklega to un Ke woh ustad wagaira to un  Ke iqrar Se ilm me choupayon Ke barabar aur ye un  Se ilm me kam hain jab to un ki  shagirdi ki aur Jo masaavi Se kam ho dusre Se bhi zarur kam hoga
to ye Hazrat khud apni takrir ki rooh se choupayon Se badh kar gumrah huge aur in ayato Ke masdaq thahere 

Musalamo ye halaten to in kalmaat ki thi jin me ambiya e Kiraam aur  huzoor pur noor sayyadul Alam alaihissalatu wassalam par haath saaf kiye  gaye  sirf in ibarat ka kya puchna jin me asala bil  kasad rabbul ijzat ajjallahu ki izZat par hamla kiya gaya ho khudara insaf kya jis ne kaha Ke mai ne kab kaha hai ke mai wankue kazbe bari ka katil nahi hun yani woh shashk us ka katil hai Ke khud bil  fail e jhut hai jhut bole jhut bolta  hai is ki nisbat ya fatwa dene wale ko. Agarche us ne tavile aayat me khata ki magar taham us ko kafir ya biddati zal kehna nahi chahiye  jis ne kaha Ke us ko koi shakht kalma  na kehna chahiye  jis ne kaha Ke us me takfir ulma salaf ki tazim ati hai hanfi safayi par tan aur tazlil nahi kar sakta yani khud ko mazAllah jhuta kehna bahut Se ulma e salaf ka bhi mazhab tha
ye iqtelaf hanfi safayi ka sa hai
kisi ne hath naf Se uper  bandha kisi ne niche aisa hi us Se bhi samjho Ke kisi ne khuda ko sachcha kaha kisi ne jhuta lehaza Aise ko tazlil aur  taqfeeq Se mamun

15

Page 15

Bartta? Is ki wajah kya hai? kul ilm to kat.an. Ap sahebo ko bhi nahi
Aur  baaz me ap ki kya takshis? Aisa ilm to ullu gadahe kutte suwar sab ko hasil hai to chahiye Ke un sab ko alim o fazil o chuni  o Chuna kaha jaye
fir agar ap is ka iltezam karen Ke haan hum sab ko Ulm kehgen to fir ilm ko ap Ke kamalat me kya shumar kiya jata hai jis amr me momin balke insaan  ki bhi khususiyat na ho gadahe kutte suwar sab ko hasil ho
Woh ap   ke kamalat Se kyon huwa ?
Aur  agar iltezam na kiya jaye to ap hi ke bayan Se ap me aur gadahe kutte suwar me wajah fark bayan karna zarur hai! faqat
Muslamano! Youn dariyaft karte hi baunahi tala saaf khul jayega Ke un badgaoiyo ne Mohammad rasool Allah sallallah u alaihi wassalam ko kaisi sarih shadid gali di aur un Ke rab Ke Quran majid ko ja-baja kaisa radd o batil kardiya musalmano khas us badgo aur us Ke sathiyoSe puchon, un  par khud un  ke iqrar Se Quran s majid ki ye ayat chaspan huwi ya nahi!

Tumhara rab az-wa-jal farmata hai :

Aur beshak zarur ham ne jahannam ke liye faila rakhe hain ,
Bahut se jin aur aadmi un ke woh dil hain jun se haq ko nahi samjhte aur woh aankhen jun se haq ka rasta nahi sujhte aur woh kaan jun se haq baat nahi sunte, woh choupaiyon ki tarah hain bakle un se bhi badh kar behke huwe wahi log gaflat me hai pade hain"
Aur farmata hai :

14

Page 14

Hain to is me huzoor aur digar anmbiya ki kya taksis hai aisa ilm to zaid aur umr balke har sabi aur majnun
Balke jami haiwanat bahayem
Ke liye bhi hasil  hai kyunki
Har  shashk ko kisi na kisi baat ka ilm  hota hai
To chahiye  ke sab ko Aalim  kaha jaye.
Fir agar khud is ka iltezaam karle ke haan mai sab ko Aalim kahunga to fir ilm ko minjumla kamaalaate nabviya shumaar kyo'n kiya jata hai...

Jis  amr me momin balke  insaan  ki bhi khususiyat na ho woh kamaalaate nabuwat Se kab hosakta hai.?

Aur agar iltezaam na kiya jaye to nabi aur gair nabi me wajah farq bayan karna lazim hai,

aur agar tamam Uloom muraad hain ! Is tarah Ki ek fard bhi kharij na rahe  to us ka butlaan dalile  nakli aur aqli se sabit hai !
Inteha!

Pas sabit huwa Ke khuda ke Woh sab aqawal  uski  isi dalil se  batil hain..

muslamano! dekho ke is badgo ne faqat Muhammad Rasoolullah sallallahu alaihi wassallam hi ko gaali na di balke un ke Rab Ke kalamo'n ko bhi batil aur mardud  kardiya!

musalamano ! jis ki zara-at  yahan tak puhunchi Ke Rasoolullah  sallahu alaihi wassalam ke ilm e gaib ko pagalo aur janwaro ke ilm  Se milade aur imaan aur islaam aur insaniyat sab Se Aakhe'n band kar ke saaf keh de  Ke nabi aur janwar me kya fark  hai...

use se kya tajjub Ke khuda ke kalamo'n ko radd kare
batil bataye pase pusht dale zere paa male balke Jo ye    sab kuch kalamullah Ke saath kar chuka
wahi Rasoolullah sallallahu alaihi wassalam  Ke saath us gaali par zura.at kar sakega magar haan usse dariyaft karo Ke ap ki ye taqrir khud ap aur ap ke Asateza me jari hai ya nahi?

Agar nahi to kyu??

Aur agar hai to kya jaawab hai?

Haan in badgoyo,n se kaho!

kya Aap Hazraat apni taqrir ke tour par Jo ap ne Muhammad sallallahu alaihi wassalam ki shaan me jaari ki khud apne Aap dariyaft ki ijaazat de sakte hain Ke ap sahebo'n ke Aalim fazil molvi mula chuni  chuna  fala fala kyo'n kaha jata hai
Aur haiwanat aur bahayem masalan kutta suwar ko koi un Alafaz se tabir  nahi karta
in munasib Ke ba.as Aap ke Atabaa aur aznaab Aapki tazeem o takreem o toukir kyo'n karte dast o paa par bosaa dete hain..

aur janwaro'n maslan ullu, gadahe, Ke saath koi ye  bartaao nahi barttaa??..

13

Page 13

Har shakhs ko kisi na kisi aisi baat ka ilm hota hai jo dusre shakhs se makhfi hai to chahiye ke sab ko aalim ul gaib kaha jaye fir agar zaid iska iltezaam kar le ke han mai sab ko aalim ul gaib kahunga to fir ilm e gaib ko min jumla kamaalate nabiyon sumaar kyu kiya jata hai jis umr momin balke insaan ki bhi khususiyat na ho wo kamalate nabuwat se kab ho sakta hai aur agar iltezaam na kiya jawe to nabi gair nabi me wajahe fark bayaan karna zaroor inteha kya rasoollallah sallallahu alaihi wasallam aur jaanwaron paaglo me fark na janne wala Huzoor ko gaali nahi deta kya usne Allah az-wa-jal ke kalaam ka sarahan radd wal bataal na kar diya dekho

Tumhaara rabb az-wa-jal farmata hai

Aye nabi Allah ne tumko sikhaya jo tum na jante the aur Allah ka fazl tum par bara hai/
yahan na malum baaton ka ilm ata farmane ko Allah az-wa-jal ne apne habib ke kamaalat aur madayeh me sumaar farmaya aur farmata hai

Beshak yakub hamare sikhaye se ilm wala hai "

Aur farmata hai ,

Malaika ne ibrahim alaihissalam ko ek ilm wale ladke ishaak alaihissalam ki basharat di "

Farmata hai ,

Hamne khizr ko apne paas se ek ilm sikhaya.  wagairah, ayaat jinme Allah ta'ala ne ilm ko kamaalate anmbiya me gina ab zaid ki jagah Allah az-wa-jal ka naam e paak lijiye aur ilm e gaib ki jagah matlake ilm jiska har choupate ko milna aur bhi jaahir hai aur dekhiye ke is badgoi Mustafa sallallahu alaihi wasallam ki taqrir kis tarah kalamullah az-wa-jal ka radd kar rahi hai yaani ye bad goo khuda ke mukaabil khada ho kar Kah raha hai ki ap yaani nabi sallallahu alaihi wasallam aur digar annbiya alaihissalam ki zaat e moqaddasa par ilm ka itlaaq kiya jaana agar ba qoul e khuda sahi ho to dariyafat talabiye amar hai ki is ilm se muraad baaz ilm hai ya qul ulum agar baaz ulum muraad