Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه
Dusri martaba jab ziyarate haramain shareefain ke liye Madina Tayyaba mai hazir hue, to shauqe deedar mai muwajahe shareef ke saamne khade ho kar rote rahe.
Durood o salaam pesh karte rahe aur yeh ummed lagaae khade rahe ke aaj Huzoor zaroor nigaahe karam farmayenge aur apni ziyarat se zaroor musharraf farmayenge .
Lekin uss shab ziyarat na ho saki. Aapka dil bahut toota aur usi toote hue dil ke saath ek Kalaam aapne likha.
Jis ke pehle chand ash'aar yeh hain-
Wo sue lalazaar phirte hain , tere din aey bahaar phirte hain..
Us gali ka gada hu main jis mein ,
maangte taajdar phirte hain..
Isi maqta me apni qalbi aarzu poora na hone ki taraf isharah karte hue badi aajzi wa inkisari ke sath dard bhare andaz me aap ne farmaya.
"Koi kyu puche teri baat RAZA ,
tujhse kutte hazaar phirte hain"
Ye naat likh kar muwajahe shareef ke samne dast basta khade hokar apni qalbi kaifiyat huzoor ke samne arz kardi.
Phir aaqa ne karam farmaya aur aisa karam farmaya ke aalame khawab mai nahi balke aalame mushahidah mai bachashme sar bedaari ki halat me usi raat apni ziyarat se musharraf kardiya.
SubhanAllah
Phir aalahazrat ne apne isi chain aur qaraar ko apne ek shair me yun bayan farmaya.
Ek tere rukh ki raushni chain hai do jahan ki,
Anas ka anas usi se hai jaan ki wo hi jaan hai..
#Sawanae Aalahazrat.
Shaan e Imam e Ahle Sunnat Mujaddid e Deen o Millat Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan رضي الله عنه
Imaam Ahmed Raza ne 1330H mai Quraane hakeem ka tarjuma farmaya jo Kanzul Imaan Fi Tarjamatil Quraan ke naam se mashoor hai.
Urdu tarajime Quran ki saff me kanzul imaan ko imtiyaazi haisiyat haasil hai.
Kanzul imaan ke husne tarjuma par Huzoor Muhaddise Aazam likhte hain -
"Jis ki na koi misaal arbi zubaan mai hai na faarsi mai aur na urdu mai us ka ek ek lafz aisa hai ke dusra lafz us jagah par laya nahi jaa sakta.
Ba zaahir to ek tarjuma hai magar dar haqeeqat Quraan ki sahi tafseer, balki sach to yeh hai ke urdu zaban me Quraan hai"
Maulana Kausar Niyazi -
" Imam Ahmed Raza Ne Ishq Afroz Aur adab aamoz tarjuma kiya hai. Yeh imaan parwar tarjuma ishqe Rasool ﷺ ka khazeena aur ma'aarife islami ka ganjeena hai".
⏩Khidmat quraane paak ki wo lajaawab ki,
Raazi RAZA se Saahibe Quraan hai aaj bhi.
#Sawanae Aalahazrat.
Ahle Imaan Tu Kyu Pareshaan Hai
Rehbari Ko Teri Kanzul Imaan Hai
Har Kadam Par Yeh Tera Nigehbaan hai
Ya Khuda Yeh Amaanat Salamat Rahe.
ameen
No comments:
Post a Comment