Ek martaba Aala hazrat رضي الله عنه se kisi ne sawal puchha sab se afjal durood shareef kon sa hai aur uss durrod ko wazeefe ke tor padh sakte hai kya ?
Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai sab duroodo se afjal wo durood hai jo sab aamaal se afjal yaani namaz main muqarrar kiya gaya yaani durood e ibrahim
# Fatawa razviya shareef vol.6 safah 183
▶Aala hazrat رضي الله عنه ko ye durood e paak bahot pasand thha kyoki ye durood Allah ﷻ ke naam shuru hota hai
▶Aap kitne bade touheed parast thhe ke Allah wahduhu laa shareeka ki wahdaaniyat unn ke dil mai kaisi rachi basi thhi aur unn ko iss islami aqeede ki hifazat o fikr kitni thhi iss ka andaza iss shair se pata chalta hai
# Laikin Raza ne khatm e sukhan iss pe kar diya,
Khaleeq ka banda khalq ka Aaqa kahu tuje
▶Iss shair mai aap ne huzoor ﷺ ko khalq ka Aaqa to kaha aur sathh hi sathh khaleeq ka banda keh kar aqeeda e touheed ki puri tor par hifazat farmai
# Zikr e khuda aur Aala hazrat safah no. 22
▶Saiyyadi Aala hazrat رضي الله عنه jab hajj aur ziyarat e roza e rasool ﷺ ke liye ghar se nikle tab behtareen kalam likha jiska pehla shair kuch aise hai
# Shukre Khuda ki aaj ghadi uss safar ki hai,
Jis par nisar jaan falaho jafar ki hai
Madeena shareef mai roza e rasool e paak ﷺ aur aap ke mimber shareef ke darmiyan jo tukda jis ko huzoor ﷺ ne jannat ki kiyari farmaya hain uss mai jab Aala hazrat رضي الله عنه ko haazri naseeb hui to fouran Allah ﷻ ki yaad aai aur farmaya
# Jannat main aake naar main jaata nahi koi,
Shukre khuda navaid nazaato jafar ki hain
▶ issi tarah Aala hazrat رضي الله عنه ko peerane peer huzoor gaush e azam رضي الله عنه se be panah aqeedat aur muhabbat thhi jo aap ke kalam main jagah jagah nazar aati hain
# tu ghataye se kisi ke na ghata hai na ghate,
Jab badhaye tuje Allah ta'ala tera
# talab ka munh to kiss qabil hain ya gaush,
magar tera karam qamil hain ya gaush
▶Ye hain Aala hazrat رضي الله عنه ki sachhi Aashiqui, muhababt Allah wa rasool ﷺ aur Allah ﷻ ke nek muqarrab bando ke liye.
Issily ek shayar kya khub likhte hai
# jo sunniyat ki shaan hain jo quam ka imam hain,
Nabi ﷺ ka jo gulam hain Raza ussi ka naam hain
No comments:
Post a Comment