async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 25 safar dopaher 12 baje

Wednesday, November 11, 2015

25 safar dopaher 12 baje

▶ 25 safar dophair 12 baje din mein Aala hazrat رضي الله عنه ne Hazrat Hujjat ul islam se Surah Ra'ad padhwai jisse bade itminaan aur bagaur aap sunte rahe phir yaseen shareef padhwai 2 baje paani talab farmaya jo pesh kiya gaya paani pee kar kalma e taiyyaba padhne lage kuch deir ke baad sirf isme jalalat (Allah ka naam) ka wird farmaya

▶ Yaani Allah Allah kehte rahe yaha tak ki 2 baj kar 38 min. par daai azal ko labbaik kaha aur unki rooh e paak apne rafik e aala ki bargah mein chali gayi

ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥَ

▶ Dar asal duniya se jaate waqt zaban par Allah ka naam jaari hona yeh Huzoor Saiyyade Aalam ﷺ ke farman ke mutabik hai hadees e paak mein hai Rasool e Khuda ﷺ se pucha gaya ke kaun sa amal sab se zyada fazilat wala hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya " tum duniya se jaate ho aur tumhari zaban Allah ﷻ ke zikr se tar ho"

# mishkaat baab zikrullah jild 2, safah 189

▶ Yeh Aala hazrat رضي الله عنه ka ishq, Aqeeda Huzoor ﷺ se muhabbta ka aalam hai jo aakhri waqt mein bhi Sarkar e Do Aalam ﷺ ke farman par amal kar rahe hai

# Tum kya gaye ke raunak e mehfil chali gayi,
Shero adab ki zulf pareshaan hain aaj bhi.

# Kyo Raza aaj gali suni hain,
Uthh mere dhoom machane waleَ.

▶Gusl shareef me ulmaae izaam sadaat kiraam aur huffaz aali maqaam shareek theay.
Janab sayyed azhar ali sahab ne lehad khodi,
wasiyat ke mutabiq sadrush shariyah maulana amjad ali azmi ne gusl diya,
Hafiz ameer hasan sahab muradabadi ne madad di,
Hazrat maulana hasnain raza , sayyed mahmood jaan sahab,
Sayyed mumtaz ali wa deegar hazraat paani dene me masroof theay,
Hazrat naemuddin sahab muradabadi ne kafan shareef bichaya.
▶Aurton ko ziyarat ka mauqa diya gaya, ghar me aurto'n ki aur bahar mardo'n ki behad kasrat thi aesa josh kabhi na dekha gaya.

▶Kaandha dene ki aarzu me aadmi par aadmi girte,
jo janaaze tak pahunch gae wo hatne ka naam na lete theay janaza har waqt kam az kam 20 kaandho par raha pureay shehar me namaz padhne ki gunjaesh nahi thi.

▶Eidgah ke wasee maidan me namaze janazah hui , baad namaz eidgah me ziyarat karai gai hasbe wasiyat "Tumpe Karodo'n Durood" Waali nazm naat khwan parh rahe theay.
- Wasaya shareef.

رضي الله عنهم

Farsh se matam utha jab tum chale sooe jinaa,
Arsh par dhoome'n machi lo aagaya fakhre zaman..

Kaam woh le hi liya tumko jo raazi kiya.
Thik hai naam e Raza tumpe karooro darood..

No comments:

Post a Comment