KHAZANA E KHUDA KI CHABIYAN HABEEB E KHUDA K HATH ME
Nabi e Kareem sallallahu alaehi wasallam aese hi jumla ambiya alaehi salaam k nayeb aur khalifa hain jaese ALLAH TA'ALA ne farmaya:
Tarjuma:Farishto se farmaya main zameen me apna nayab bananey wala hoon.(PARA 1< SURAH AL BAQARA, AYAAT 30)
Ambiya alaehi salaam bilkhusoos hamarey nabi sallallahi alaehi wasallam k nayab aazam o khalifa e akbar hain. ALLAH TA'ALA ne farmaya:
Tarjuma:Jisney rasool ka hukum mana beshak usney ALLAH ka hukum maana.(PARA 5, SURAH AL NIS'A, AYAT 80)
Aur farmaya:Tarjuma:Wo jo tumhari ba'eth karte hain wo to ALLAH hi se ba'eth karte hain.(PARA 26, SURAH AL FATEH, AYAT 10)
Aur farmaya:Tarjuma:Aur ae mehboob wo khaak jo tumne phenki tumne na phenki thi balkey ALLAH ne phenki.(PARA 9, SURAH AL ANFAAL, AYAT 17)
Yaani nabi sallallahu alaehi wasallam ki ata'ath aur ap sallallahu alaehi wasallam ki ba'eth ko apni ba'eth aur ap sallallahu alaehi wasallam k kankariyan maarne ko apni taraf mansoob farmakar ap sallallahu alaehi wasallam ki janasheeni aur niyabath per mohar sabat farmayi.
Is mayine per ambiya o aoliya k tasarrufaath o ikhtiyaraath ALLAH TA'ALA ki taraf se khilafath ki haesiyath se honge aur jo kuch inki taraf se hoga wo ALLAH hi ki taraf se hoga.
Inhi ataye ilahi se khazayen ilahi ki kunjiya bhi hain jinkey mutalliq hamara aqeeda hai k ALLAH TA'ALA ne apna khalifa e akbar o nayab e aazam sallallahu alaehi wasallam ko ata farmaya hai.
QURAN ME ALLAH TA'ALA FARMATA HAI:Tarjuma:Wo jo tumhari baeth karte hain wo to ALLAH hi se baeth karte hain inkey hatho per ALLAH ka hath hai.(PARA 26, SURAH AL FATEH, AYATH 10)
Tafseer:
ALLAH TA'ALA hathon se paak hai lekin aayath me nabi e paak sallallahu alaehi wasallam k hathon ko apna hath kaha.Isse saaf zaahir hai k jo ALLAH TA'ALA k hath (KHABZA E KHUDRAT) me hai wo apne nabi e pak sallallahu alaehi wasallam ko ata kardiya hai.ALLAH TA'ALA ne apne hath yaani khabza e khudrat ka yu zikr farmaya.
Tarjuma:Badi barkath wala hai wo jiskey khabze me saara mulk hai.(PARA 29, SURAH AL MULK, AYATH 1)
AUR FARMAYA:
Tarjuma:To paaki hai isey jiskey hath har cheez ka khabza hai.
FAEDA:
Mulk aalam safli aur malkoot o aalam alvi k naam hai. Issey muraad ye hai k har shaey ALLAH TA'ALA k hath me hai aur ALLAH TA'ALA ka hath Hazrath Muhammed Mustafa sallallahu alaehi wasallam ka hath jaesa k pehli ayath me saaf bataya.
ALLAH TA'ALA far misl o tamseel se paak aur manza hai.
Chunanchey farmaya:Is jaesa koi nahi.(PARA 25, SURAH AL SHURA'A, AYATH 11)
Lekin bawajood iskey badar me huzoor sallallahu alaehi wasallam ne kuffar per kankariyan phenki to inhey bhi apni taraf mansoob farmaya.
Tarjuma:Aur aye mehboob wo khaak jo tumne phenki tumne na phenki balkey ALLAH ne phenki.(PARA 9, SURAH AL ANFAAL, AYATH 17)
Isiliye hamara aqeeda nabi e pak sallallahu alaehi wasallam k liye ataye ilahi ka hai aur ataye ilahi k yahoodi munkir the.
NABI E PAK SALLALLAHU ALAEHI WASALLAM KO ATAYE ILAHI
ALLAH TA'ALA NE IRSHAD FARMAYA:TARJUMA:Yu arz kar ae ALLAH Mulk k Maalik tu jisey chahe sultanat de aur jusey chahe sultanat cheen le.
SHAAN E NUZOOL:
Fateh Makka k waqt syed ul ambiya sallallahu alaehi wasallam ne apni ummat ko mulk faras o rom ki sultanant ka wa'ada kiya to yahood o munafiqeen ne isko bahot bayeed samjha aur kehne lagey kahan Muhammed (sallallahu alaehi wasallam) aur kahan Faras o rom k badey mulk, wo badey zabardast aur nihayat mehfooz hain.
Isper yeh ayath naazil huyi aakhirkaar huzoor sallallahu alaehi wasallam ka wa'ada pura hokar raha.(KHAZAEN UL IRFAN)
Faeda:is shaane nuzool me sirf iran o rom ka zikr hai. Ghazwa o khandaq k maoqey per is se badhkar mazda sunaya.
Goya yeh ayath naazil hi isliye huyi hai k ALLAH TA'ALA ghaeron se mulk cheen kar apne Habeeb e akram sallallahu alaehi wasallam aur ap sallallahu alaehi wasallam ki ummat ko ata farmayega.
Huzoor nabi kareem sallallahu alaehi wasallam ne kasra ko khath likha to isney ap sallallahu alaehi wasallam ka khath mubarak phaad daala issey qabal isney khwaab me dekha k issey khazano ki kunjiyaan mujhe (HUZOOR) ko ata ki gayi hain iska munafiqeen ne faoran inkar farmadiya aur sahaba kiraam sunkar khush hogaye.
Aajtak wahi virasat jaari hai aur hum ahle sunnat aese mazda se khush hain aur mukhalifeen ko badsutoor munafiqeen ki tarah inkaar hi inkaar hai.
TARJUMA:Yeh wo baagh hai jiska waaris hum apne bando me se isey ata karenge jo parhezgaar hai.(PARA 16, SURAH MARYAM, AYAT 63)
TAFSEER:Hujjat ul haq Syedna abdul haq muhaddis e dehelwi rehmatullahi alaey iski tafseer me farmate hain k hum is jannat ka waaris Muhammed Mustafa sallallahu alaehi wasallam ko banatey hain pas inki marzi jisey chahe de aur jisey chahey na de. Duniya o aakhirat me wahi sultan hain inhi k liye duniya hai aur inhi k liye jannat, dono k maalik wahi hai.
(AKHBAAR UL AKHYAAR, PAGE 216)
Ek din huzoor sallallahu alaehi wasallam k darbaar me hazrath talha radi allahu anhu haazir the to ap sallallahu alaehi wasallam ne inhe farmaya:
Ae Talha (radi allahu anhu) kal tumharey liye jannat mere zimey hai.
(Al Tabrani)
A'ala wajoob per dalalath karta hai jissey ikhtiyare nabi sallallahu alaehi wasallam ka aqeeda hatami aur yakeeni ho jata hai. Isliye agar nabi sallallahu alaehi wasallam koi ikhtiyaar nahi rakhte(MAAZ ALLAH) phir khud per kisi dusrey k liye bahisht dene ko wajib kharaar de rahe hain. Maanna padega k huzoor sallallahu alaehi wasallam mukhtar e kul hain
ATAYE CHASHME JANNAT:
Jab muhajireen mecca maozama se hijrat karkey madina aaye yaha ka paani shor tha muhajireen ko pasand na aaya. Bani ghaffar k ek aadmi ki milak me ek shireen chashma tha jiska naam "ba'er roma" tha wo is kunwey ki ek mashk neem sa'a me farukhat kiya karte the.
Huzoor maalik e jannat sallallahu alaehi wasallam ne is shaks se farmaya
Ye chashma mere hath chasma e jannat k aoz bech daal.
Inhone arz ki huzoor meri ma'ash(ROZI ROTI) isi chashma se wabasta hai. Mere baal bache isi chashme ki amadni se parwarish paatey hain mujhme taaqat nahi hai.
Yeh khabar Hazrath Osman ghani radi allahu anhu ko pahochi ap radi allahu anhu ne chashme k maalik ko raazi karliye aur isko 35hazaar dirham me khareed liya phir khidmat e nabavi sallallahu alaehi wasallam ki khidmat me arz ki,
Huzoor agar main is chashme ko khareed kar waqaf kardu to kya sarkaar sallallahu alaehi wasallam mujhe bhi iskey aooz jannat ka chashma ata hoga.
Huzoor sallallahu alaehi wasallam ne farmaya haan, Hazrath osman radi allahu anhu ne arz ki maine ba'er roma khareed liya hai aur musalmano k liye waqaf kardiya hai.
(Tabrani)
Hazrath osman ghani radi allahu anhu ne rasool allah sallallahu alaehi wasallam se do martaba jannat ko khareeda. Ba'er roma k din aur Jaesh e asra k din.
(Al Hakim)
Jannat wahi bech sakta hai jo jannat ka maalik ho, malik ki taraf se isko ismey tasarruf ki ijazath ho.
Huzoor sallallahu alaehi wasallam ka hazrath osman ghani radi allahu anhu k hath jannat ka bechna aur hazrath talha radi allahu anhu k liye jannat ka zima lena is amar ko wazeh kar raha hai k ALLAH TA'ALA ne jannat huzoor sallallahu alaehi wasallam ki malkiyath me dedi hai.
AQEEDA HAZRAT ALI RADI ALLAHU ANHU
Aap bhi hazrat osman radi allahu anhu k is fazal k mua'taraf the. Aapse jab hazrat osman radi allahu anhu k mutalliq sawaal hua to aapne farmaya osman(radi allahu anhu) wo hain jo zunnurayen k laqab se pukarey jaate hain. Huzoor sallallahu alaehi wasallam ne apni do sahebzadiyo ka nikah aap hi se kiya.
Aur huzoor sallallahu alaehi wasallam ne hazrat osman radi allahu anhu k liye jannat ka zima bhi liya hai.
(ABU NAYEEM)
TARJUMA:
Aye mehboob beshak humne tumhe beshumaar khubiyaan ata farmayi.
(PARA 30, SURAH AL KAOSAR, AYATH 1)
IMAM AHMED RAZA KHAN REHMATULLAHI ALAEY NE ISKI MANZOOM TAFSEER FARMAYI:
انا اعطيناك الكوثر
SAARI KASRATH PAATEY YEH HAIN
RAB HI MA'ATTI YEH HAIN QASIM
RIZZAQ USKA HAI KHILATE YEH HAIN
INKEY HATH ME HAR KUNJI HAI
INKEY HATH ME HAR KUNJI HAI
SUBHAN ALLAH
Baaz log lafz e kaosar se dhoka dete hain k issey sirf haoz e kaosar muraad hai. Bukhari shareef me hai al kaosar se muraad "khaer kaosar" muraad hai aur haoz e kaosar bhi ismey daakhil hai.
Ilm tafseer ka qaeda hai k quraan ka wo mayeena jo aam ho aur har shaey ko shamil ho wahi muraad lena behtar hai. Kaosar k mayeeney “Khaer Kaseer” k hain yaani bahot zyada bhalayi aur behtari.
Yahan issey kya muraad hai “ALBAHRA ALMUHEETH” me iskey mutaalliq chabbees (26) akhwaal zikr kiye gaye hain aur aakhir me isko tarjeeh di k is mayeeney k tehet me har qism ki deeni o duniyavi daolaten aur mayeenavi nematen daakhil hain jo k aap sallallahu alaehi wasallam ko ya ap sallallahu alaehi wasallam k tufayel me ummat marhooma ko milney wali thi.
In nemato me se ek bahot badi nemat hauz e kaosar bhi hai.
MUQALIFEEN KA AETRAAF:
Maolvi shabbier ahmed osmani tarjuma quran mehmood al hasan deobandi k hashiyey me tehet ayath haza wahi lika jo upar yaani issey pehle k part me maojood hai.
HAMAREY AKABIR
Hamarey akabir ahle sunnat yahi farmatey hain. Chunanchey imam ismail haqi hanafi rehmatullahi alaeh tafseer “ROOH UL BAYAAN” me likhte hain.
Zyada zahir yeh hai k kaosar me tamaam zahiri aur batini nematey daakhil hain pas nemat zahira se duniya aur aakhirat se khaer kaseer muraad hai aur nemat batina se uloom e laduniya muraad hai.
Syed ul mufreen allama mehmood aloosi iskey tehet tafseer “ROOH UL MA’AANi” me farmate hain k kaosar se muraad khaer kaseer aur duniya o akhirat ki tamaam nemate hain. Tamaam muhaq’qiqeen k nazdeek a’ayat mubaraka k yahi mafhoom hai k ALLAH TA’ALA ne huzoor sallallahu alaehi wasallam ko khaer kaseer aur duniya o akhirat ki tamaam nemato ka ikhtiyaar ata farmadiya hai aur iski tayed bukhari shareef ki is hadees se bhi hoti hai k
Huzoor sallallahu alaehi wasallam ne farmaya:
Mujhe roye zameen k tamaam khazano ki chabiyan dedi gayi.
HADEES 1:
Hazrath um darda radi allahu anhu se marvi hai k ka’ab ehbaar se pucha gaya k tum turiyath me huzoor sallallahu alaehi wasallam ki nemat kis tarah paate ho farmaya
Muhammed rasool ALLAH hain aur apko chabiyan ata huyi.
(RIWAYATH BEHAQQI O ABU NAYEEM FI DALAYEL AL NABUWAH)
(MULKHASAN KHASAYES KUBRA, JILD 1, PAGE 11)
(DUR E MANSHOOR, JILD 2, PAGE 32)
FAEDA:
Yeh hawala turiyath shareef ka hai aur ilm al usool ka qaeda hai k turiyath k ghaer mehroof aur ghaer mansooq hawalajath khabil e hujjat hain bilkhusoos jo huzoor sallallahu alaehi wasallam k sahaba se marvi hai to khabil e khubool hai. Hazrath ka’ab ehbaar saqqa aalam yahood hain daolath islaam se nawazey gaye.
Insey suqqa raviya sahabiya hazrath umme darda radi allahu anhu riwayath farma rahi hain to khabil hujjat hai. Hadees taweel hai humne bakhadrey zaroorat naqal kiya hai. Turiyath o injeel o zuboor asmaani kitaabey hain to yeh hawala bhi irshad e rabbani me daakhil samjha jayega mazeed is tarah k hawalajath aayenge.
(INSHA ALLAH)
HADEES 2:
Hazrath jabir radi allahu anhu farmatey hain k hum khandaq khodney me masroof the achanak ek bada pathar nikal aaya jasper channi aur hathoda kuch asar na karta tha. Sahaba kiraam ne arz ki ya rasool allah sallallahu ek pathar ki chattaan nikal aayi hai jis ki waja se khandaq ki khudayi me rukawat ho rahi hai. Huzoor sallallahu alaehi wasalaam tashreef laaye hathoda hath me lekar bismillah padhkar ek zarb lagayi to wo pathar ek tahayi reza reza hokar bikhar gaya aur farmaya allahu akbar mujhe mulk e sham ki kunjiyaan ata ki gayi, khuda ki qasam maine bilashuba sham k surkh mehellath ko is zarb me dekhliya hai. Iskey baad dusri zarb lagayi to dusri tahayi todkar farmaya ALLAHU AKBAR mujhe faaris ki kunjiya ata ki gayi, khuda ki qasam maine madayen k safed kangarey is ghadi dekhe hain.
Iskey baad ap sallallahu alaehi wasallam ne madayen k kagaro ki nishaniyan batayi isper hazrath salman farsi radi allahu anhu ne arz ki khuda ki qasam wo kangarey aese hi hain jaese ap sallallahu alaehi wasallam ne bayaan farmaye hain. Iskey baa dap sallallahu alaehi wasallam ne teesri zarb lagayi to teesra hissa bhi reza reza hogaya aur farmaya ALLAHU AKBAR mujhe yaman ki kunjiyan ata ki gayi bakhuda asna’aa k darwazo ko yaha se dekh raha hoon.
(BUKHARI O NISAYI, MADARIJ AL NABUWAT, PAGE 294, JILD, 2)
MUNAFIQEEN NE NA MANA:
Nabi e pak sallallahu alaehi wasallam k is aelaan per k ALLAH TA’ALA ne mujhe khazane ata farmaye. Sahaba kiraam radi allahu anhum ne na sirf maana balkey baad me in fatuhaat per huzoor sallallahu alaehi wasallam k ilm ghaeb ki tasdeeq ki lekin munafiqeen na maaney.
Aur aj bhi yahi hai k munafiqo ko huzoor sallallahu alaehi wasallam k ilm ghaeb per aetraaz hai aur wo maante nahi, jis tarah sahaba ne mana Alhamdulillah ahle sunnat ka aqeeda sahaba ka hi aqeeda hai na k munafiq ka aur hamey mushrik o biddati kehte hain wo hadees padhey aur apna jayeza le k wo kiskey sath aur kiski tarah hain.
Munafiq kehte the k Muhammed rasool ALLAH sallallahu alaehi wasallam ki ajeeb batey to dekho k wo tumhe dilaasey de rahe hain aur khaali waeda kar rahe hain aur sath hi kehte hain k madina k mehellath khaesar o kasra tumharey khabze me ayenge aur apna yeh haal hai k khandaq khod rahe hain aur tumhara haal yeh hai k dar k maarey khandaq se bahar nahi ja sakte yeh sirf dhoka hai.
HADEES 3:
Hazrath Abu huraera radi allahu anhu se marvi hai k huzoor sallallahu alaehi wasallam farmate hain
Main khwaab me tha k tamaam khazayen zameen ki kunjiyaan laayi gayi aur mere dono hatho me rakhdi gayi.
(MISHKATH, PAGE 512)
Yeh riwayath in kitabe ahadees me hain jinper munkireen kamalat e Mustafa sallallahu alaehi wasallam apne mazhab ka daar o madaar samajte hain.
(BUKHARI, JILD 2, PAGE 1038,1080)
(DALAEL AL NABUWAH ABU NAYEEM, PAGE 30)
(SAHIH MUSLIM, JILD 1, PAGE 224)
Yahi riwayat sah sitta ki aur sahi nisayi ne bhi isey riwayath kiya hai aur
(KANZUL UMMAL, PAGE 42, 129, JILD 2) me bhi riwayath mazkoor huyi.
HADEES 4:
Hazrath ummul momineen syeda Ayesha siddiqua radi allahu anhuma farmati hain rasool allah sallallahu alaehi wasallam ki sifath o sana injeel pak me maktoob hai.
(HAKIM O SAHA O IBN E SAAD O ABU NAYEEM)
HADEES 5:
اعطيت مالم يعط احد من الانبياء قبلى حضرت بالرعب و اعطيت مفاطيح الارض
Hazrath syedna ali murtuza karam ullah wajha ul kareem se marwi hai k huzoor maalik o muqtar farmate hain:
Mujhe wo ata hua jo mujhse pehle kisi nabi ko na mila, rua’ab se meri madad farmayi gayi (k mahina bhar ki rah per dushman mera naam e pak sunkar kaanpe) aur mujhe saari zameen ki kunjiyaan ata huyi.
(AHMED O IBN e ABI SHAYEBA)
FAEDA:
Al arz ism jins hai jo saato tabqaat ko shamil hai. Quran majeed me bhi har jaga asmaan k seghe jama (AL SAMWAAT) se istemaal huye hain aur zameen k liye “ALARZ” ka lafz hai. Isper tamaam ahle islaam mutaffiq hain k issey saton tabqaat muraad hain yaha bhi aese hai. Ab mayiney yeh hua k ap ﷺ ko sato zameeno ki chabiyaan ata huyi.
HADEES 6:
MUSNAD AHMED O SAHIH IBNE HABBAAN O ZIYS MUQADDASI O SAHI MUQTAR DALAYEL UL NABUWAT LAABI NAYEEM BASANAD SAHIH me hai.
Hazrath jaber bin Abdullah رضى الله عنه se marwi hai k nabi e paak ﷺ farmate hain:
Duniya ki kunjiyaan ablaq ghodey per rakhkar meri khidmat me jibraeel lekar aaye isper nazuk resham ka zeyn posh ba naqsh o nigaar pada hua tha.
Imam ahmed musnad aur tabraani ma’ajam kabeer me Hazrath Abdullah bin Omer رضى الله عنه se raavi hai k huzoor ﷺ farmate hain:
Mujhe har cheez ki kunjiyaan ata huyi so in paanch k yaani ghuyub e khamsa.
Allama Hafni Hashiya jamiya sagheer me farmate hain:
Yaani phir ye paanch bhar ata huyi inka ilm bhi diya gaya.
Isi tarah allama jalaal uddin suyooti ne bhi khasa’es kubra me naql farmaya.
Allama madabi sharah fateh ul mubeen, Imam ibne hajar makki farmate hain yahi haq hai.
Yaani yahi mazmoon ahmed o abu ya’ali ne hazrath Abdullah bin masood رضى الله عنه se riwayath kiya hai:
HADEES 7:
Huzoor ﷺ farmate hain:
Roz e qayamat sira’at k paas ek men’mber bichaya jayega phir ek farishta aakar iskey pehle zeeney per khada hoga aur nida karega,
Ae girwaye musalmanan! Jisney mujhe pehchana isney pehchana aur jisney na pehchana to main malik e darogha e dozakh hoon. ALLAH TA’ALA ne mujhe hokum diya hai k jahannum ki kunjiyaan muhammed ﷺ ko dedu aur muhammed ﷺ ko hokum hai k abubakar siddique رضى الله عنه ko du.
Haan Haan gawah hojao, haan haan gawah hojao.
Phir ek farishta dusrey zeeney per khada hokar pukarega aye girwah e muslimeen jisney mujhe pehchana usney jaana aur jisney na jaana to main Rizwaan darogah e jannat hoon. Mujhe ALLAH TA’ALA ne hokum diya hai k jannat ki kunjiyaan muhammed ﷺ ko dedu aur muhammed ﷺ ka hokum hai k abubakar siddique رضى الله عنه ko du. Haan haan gawah hojao, Haan haan gawah hojao.
(AZ IBNE ABDULLAH KITAAB BIHAJAL MAJALIS, ALAMAN O AL’ALI, PAGE 56,57)
HADEES 8:
Hafiz Abu sayeed abdul malik bin osman radi allahu anhu “KITAAB SHARF UL NABUWAH” me Hazrath abdulallah bin abbas radi allahu anhu se raawi hai k huzoor ﷺ farmate hain:
Roz e qayamat ALLAH TA’ALA sab aglon pichlon ko jama farmayega aur do men’mber nor k laakar arsh k daaye baaye bichaye jayenge inper do shaks chadhenge, daaye wala pukarega aye jama’at e makhlooq! Jisne mujhe pehchana usney pehchana aur jisney na pehchana to main Rizwan daroga beshat hoon mujhe ALLAH TA’ALA ne hokum diya hai k jannat ki kunjiyan muhammed ﷺ ko sapard karu aur muhammed ﷺ ne hokum diya hai k abubakar o omer ko du k wo apne dosto ko jannat me daakhil karey sunte ho gawah hojao.
Phir daaye wala pukarega aye jama’ate makhlooq! Jisney mujhe pehchana usney pehchana aur jisney na pehchana to main malik e daroga dozakh hoon mujhe ALLAH azwajal ne hokum diya hai k dozakh muhammed ﷺ ko sapard karu aur muhammed ﷺ ne hokum diya hai k abubakar o omer ko du k wo apne dushmano ko jahannum me daakhil Karen sunte ho gawah hojao.
Is hadees ko abubakar shafa’yi ne ghaelaniyat me riwayath kiya:
Roz e qayamat nida ki jayegi kaha hain ashaab e muhammed ﷺ. Pas khulfa رضى الله عنهم laaye jayenge ALLAH TA’ALA insey farmayega tum jisey chaho jannat me daakhil karo aur jisey chaho chod’do.
(AL AMAN O AL’ALI, PAGE 57)
HADEES 9:
Imam ahmed raza khan faazil e barelwi rehmatullahi alaey “TAJALLI AL YAQEEN, PAGE 42” me likhte hain k ba’az riwayat me hai k haq azwajalla apne habeeb kareem ﷺ se irshad fermata hai:
Aye muhammed ﷺ tum mere nor ka nor ho aur mere raaz k raaz aur meri hidayat ki kaan aur meri ma’arfat k khazane, maine apna mulk e arsh se lekar tehet ul sira tak sab tum per qurban kardiya, aalam me jo koi hai sab meri raza chahte hain aur main teri raza chahta hoon aye muhammedﷺ.
HADEES 10:
Hazrat anas radi allahu anhu se marwi hai k huzoor ﷺ farmate hain:
Main sabse pehle qabar se baahar aaunga jab log uthaye jayenge aur main unka peshwa hu jab wo haazir bargah honge aur main inka khateeb hoon jab wo dam ba khud honge aur main inka shafi’yi hu jab wo mehboos honge aur main khushkhabri dene wala hoon jab won a umeed honge. Izzat aur kunjiyaan is din mere hath me aur lawa alhamd is din mere hath hoga.
(KAZALIKA FI DALAYEL AL NABUWAH LAABI NAYEEM, PAGE 28)
Imam ahmed raza khan rehmatullahi alaey ne farmaya Alhamdulillahi rabbil a’alameen shukar us kareem ka jisney izzat dena is din k kaamo ka ikhtiyar is pyaar raoof ur raheem ﷺ k hath me rakha.
Shaikh Muhaqqiq maolana abdul haq muhaddis e dahelwi rehmatullahi alaey Madaraj al nabuwat me farmate hain:
Yaani is din zaahir hoga k aaj ka din hazrath muhammed e arbi ﷺ hi ka din hai aur inka hokum rabb ul a’alameen ka hukum hai.
Taqwiyatul Imaan fasal saani ishraak fil ilm k shuru me likha hai k jiskey haath me kunji hoti hai qufal usi k ikhtiyaar me hota hai jab chahe to kholey jab chahe na khole.
Bhola nadaan likhne to to likh gaya magar...
KYA KHABAR THI INKHELAAB ASMAAN HO JAYEGA
DEEN E NAJDI PAYEMAAL E SANIYAAN HO JAYEGA
Ghareeb miskeen kya jaanta tha k wo to khandaq baad yeh kehne ko hai k jiska naam muhammed ya ali hai wo kisi cheez ka mukhtar nahi.
Yaha isi k khaol se tamaam aalam per muhammed rasool allah ﷺ ka ikhtiyaar sabit hojayega. Bechare miskeen k dhayaan me is waqt yahi loge pittal ki kunjiyaan thi jo jamia masjid ki sidhi per basathi paise paise bechte hain. Iskey khwaab me bhi yeh khayal na tha k Muhammed ﷺ k rab ne is badshah e jabbar jallel ul iqtedaar e a’azam ul ikhtiyaar ﷺ ko kya kya kunjiyaan ata farmayi hain.
HADEES 12:
Mujhe sureh baqara ki pichli ayath k khazana haye arsh se thi ata huyi aur yeh khaas mera hissa tha aur sab ambiya alaehi salaam se juda aur mere ikhtiyaar me hongi jannat ki kunjiyaan.
(RAWA ABU NAYEEM)
HADEES 13:
Sahih bukhari shareef ki hadees mash’hoor hai Huzoor ﷺ ne farmaya k ALLAH ata karta hai aur main taqseem karta hoon.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 439)
(BUKHARI, JILD 4, PAGE 36)
Imam tahavi rehmatullahi alaey k alfaaz yu hai
ALLAH TA’ALA har shaey ata fermata hai aur main hi har shaey taqseem farmata hoon.
(TAHAVI SHAREEF, JILD 4, PAGE 34)
Rasool e akram sallallahu alaehi wasallam ne farmaya k main qasim o khazan hoon aur ALLAH TA’ALA deta hai.
(BUKHARI, JILD 1, PAGE 439)
AKHWAAL E ASRAAF:
1) Allama ali qari sharah shifa me farmate hain:
Huzoor ﷺ ne farmaya mujhe zameen k khazano ki kunjiyaan dedi gayi phir mere hath me rakhdi gayi yaani mere tasarruf aur meri ummat k tasarruf me kardi gayi.
(SHARAH SHIFA, JILD 1, PAGE 218)
2) Hazrath sheikh muhaqqiq farmate hain:
Huzoor ﷺ k khususiyaath me se ye hai k apko khazano ki kunjiyaan dedi gayi inka zahir to yeh hai k rome o faras k salateen k khazane sahaba k khabze me aaye aur baatin to yeh hi hai k aalam ki jinso k khazaney muraad hain k sabka rizq ap ﷺ k dast e iqtedaar me de diya gaya aur zaahir o baatin ki tarbiyat sab ap ﷺ ko dedi gayi jaese ghaeb ki kunjiyaan ilm e ilahi me hain inkey siwa koi nahi jaanta rizq k khazano ki kunjiyaan aur inko taqseem karna is syed ul ambiya k khabze me rakha.
(MADARAJ AL NABUWAT, PAGE 139, JILD 1)
3) Hazrath sheikh muhaddis e dehelwi hadees ki sharah me likhte hain:
Beherhaal khazaen maenavi me asmaan o zameen aur mulk o malkoot ki tamaam chabiyaan shamil hain takhsees sirf zameen ki nahi.
(ASH’ATULMA’AATH, JILD 4, PAGE 605)
4) Share’ey alaehi salaam ko ye haq haasil hai k wo jisko chahey khaas kardey.
(MADARAJ, JILD 1, PAGE 157)
5) Allama ibne hajar makki fatawa hadeesiya me farmate hain:
Aoliya k makhlooq ko nafa’a pahochaney se yeh bhi hai k inki barkat se logo per bearish hoti hai aur fasaad dafa hota hai warna zameen fasid hojaye.
(FATAWA HADEESIYA, PAGE 221)
6) Allama ahmed saavi tafseer saavi me farmate hain:
Pas jisne gumaan kiya k nabi aur logo k barabar hain kisi cheez k malik nahi na inse nafa pahochta hai na zahir taor per na baatin per to wo kaafir hai aur iski duniya o aakhirat barbaad hai.
(AZ SAAWI, JILD 1, PAGE 158)
7) Hazrat shaikh shahab uddin muhaddis khafaji hadees muftah naqal karne k baad likhte hain:
Ismey daleel hai k ALLAH TA’ALA ne huzoor ﷺ ko haqeeqatan khazayen ki chabiyan bakhshi.
8) Yahi imam isi hadees ki sharah me farmate hainL:
Al mawahib lil duniya me hai k is se ijnaas e aalam k khazayen muraad hain isi muqdaar me jo talab karte hain isliye k ism e ilahi yeh sirf hazrath muhammed Mustafa ﷺ ko ata karta hai aur ye murad lena k issey anasar muraad hain yeh sahih nahi.
(NASEEM UL RIYAAZ, JILD 2, PAGE 209)
9) Ibne hajar makki radi allahu anhu farmate hain:
Beshak nabi ﷺ ALLAH azwajal k khalifa hain. ALLAH TA’ALA ne apne karam k khazane aur apni nemato k khwaan huzoor ﷺ k dast e khudrat k farman rawa aur huzoor ﷺ k zer hokum wazeer irada o akhtiyaar kardiye hain k jisey chahe ata farmate hain aur jisey chahe nahi dete.
(ALDARA AL MUNAZZAM, PAGE 42, TABA MISR)
10) Hazrath anas رضى الله عنه se marwi hai k huzoor ﷺ farmate hain
Main sabse pehle qabar se bahar aunga jab log uthaye jayenge aur main inla peshwa hu jab wo haazir baargah honge aur main inka khateeb hu jab wo dum bakhud honge aur main inka shafi hu jab wo mehboos honge aur main khushkhabri dene wala hu jab won a umeed honge. Izzat aur kunjiyaan us din mere hath me aur lawa al hamd us din mere hath hoga.
(KAZALIK FI DALAYEL AL NABUWAH, LAABI NAYEEM, PAGE 28)
IMAM AHMED RAZA alaehi rehma ne farmaya Alhamdulillahi rabbil a’alameen shukar hai us kareem ka jisney izzat dena usdin k kaamo ka ikhtiyaar us pyaare rauf ur raheem ﷺ k hath me rakha.
Shaikh muhaqqiq maolana abdul haq muhaddis dehelwi rehmatullahi alaey madarij ul nabuwath mer farmate hain:
Us din zahir hoga k aaj ka din hazrath muhammed arabi ﷺ hi ka din hai aur inka hokum rab ul aalameen ka hokum hai.
12) Hazrat Abdullah bin abbas رضى الله عنه se marvi hai k huzoor ﷺ ne farmaya:
Mujhe sureh baqara ki pichli ayath k khazana haye arsh se thi ata huyi aur ye khaas mera hissa tha aur sab ambiya alaehi salaam se juda aur mere ikhtiyar me hongi jannat ki kunjiyaan.
(Abu Nayeem)
QASIM RIZZAQ ALLAH
Sahih bukhari ki hadees mash’hoor hai k huzoor ﷺ ne farmaya k ALLAH TA’ALA ata karta hai aur main taqseem karta hoon.
(SAHIH BUKHARI, JILD 1, PAGE 439)
Ameer mawiya رضى الله عنه se marwi hai k huzoor ﷺ ne farmaya ALLAH TA’ALA ata karta hai aur main taqseem karta hoon.
(BUKHARI, PAGE 21)
(MISHKAAT, PAGE 16)
(TAHAWI SHAREEF, JILD 4, PAGE 36)
(TAHAWI SHAREEF, JILD 4, PAGE 34)
Thursday, November 12, 2015
KHAZANA E KHUDA KI CHABIYAN HABEEB E KHUDA K HATH ME
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment