Saturday, April 12, 2025

Jo Kaam Allah Ka Hai, Uske Liye Banda Kyun Pareshan Hai?



"Jo Kaam Allah Ka Hai, Uske Liye Banda Kyun Pareshan Hai?"


Dil Se Ek Sawal:

"Kya kabhi tumne koi parinda dekha hai jo subah ghar se nikalte waqt sochta ho — aaj khana milega ya nahi?"
Nahi na?
Kyun?
Kyuki uska yaqeen Allah par hai.
Toh fir insaan — jo Ashraful Makhluqat hai — woh har waqt tension mein kyun rehta hai?


Sawal Uthta Hai:

  • Kya rizq mere haath mein hai?
  • Kya zindagi aur maut ka waqt main tay karta hoon?
  • Kya shadi, aulaad aur unka paalan-poshan mera kaam hai?
  • Agar nahi…
    Toh main in sab cheezon ke liye tension kyun leta hoon. Main in chizo ke liye pareshan kyu hota hun?

1. Rizq ka Zimma Allah ka Hai

Qur’an farmata hai:

"وَمَا مِن دَابَّةٍ فِي الْأَرْضِ إِلَّا عَلَى اللَّهِ رِزْقُهَا"
"Zameen par chalne wali har cheez ka rizq Allah ke zimma hai."
(Surah Hud, 11:6)

Hadees Shareef:
"Agar tum Allah par waise hi bharosa karo jaise karne ka haq hai, toh woh tumhein waise hi rizq dega jaise woh parindon ko deta hai — subah bhookhe nikalte hain aur shaam ko pet bhar ke lautte hain."
(Musnad Ahmad)


2. Zindagi aur Maut ka Faisla Allah ka Hai

"كُلُّ نَفْسٍ ذَائِقَةُ الْمَوْتِ"
"Har jaan ko maut ka maza chakhna hai."
(Surah Aal-e-Imran, 3:185)

"وَمَا كَانَ لِنَفْسٍ أَن تَمُوتَ إِلَّا بِإِذْنِ اللَّهِ كِتَابًا مُّؤَجَّلًا"
"Kisi jaan ka marna mumkin nahi, magar Allah ke hukm se — ek likhi hui muddat ke mutabiq."
(Surah Aal-e-Imran, 3:145)


3. Khushi aur Gham dono Allah ke Qudrat mein hain

"وَأَنَّهُ هُوَ أَضْحَكَ وَأَبْكَىٰ"
"Aur wahi (Allah) hai jo hansata hai aur rulata hai."
(Surah Najm, 53:43)


4. Shadi, Aulaad aur Unka Paalan-poshan bhi Allah ke Hukm se

"يَهَبُ لِمَن يَشَاءُ إِنَاثًا وَيَهَبُ لِمَن يَشَاءُ الذُّكُورَ"
"Woh jise chahta hai betiyan deta hai, aur jise chahta hai bete."
(Surah Shura, 42:49)

"نَحْنُ نَرْزُقُهُمْ وَإِيَّاكُم"
"Hum unhein bhi rizq dete hain aur tumhein bhi."
(Surah Al-Isra, 17:31)


Real-Life Misal:

Ek mazdoor subah apne haathon mein belcha le kar nikalta hai. Na guarantee hoti hai rozi ki, na raahat ki.
Lekin uske chehre par sukoon hota hai, kyun?
Kyuki uska yaqeen hota hai: 'Rizq dena mera kaam nahi, Allah ka hai.'

Ek maa apne bache ko duaon mein Allah ke hawale karti hai.
Kya paalan-poshan uske bas mein hota hai? Nahi.
Uska sirf yaqeen hota hai: ‘Allah mera bhi Rab hai, mere bache ka bhi.’

  • "Allah ka kaam Allah hi karega — uska kaam apne sar mat lo.
  • "Tumhara kaam sirf mehnat hai, nateeja Allah ke taraf se hai."

Tawakkul ka Paighaam:

"وَعَلَى اللَّهِ فَتَوَكَّلُوا إِن كُنتُم مُّؤْمِنِينَ"
"Agar tum momin ho, to sirf Allah par hi tawakkul karo."
(Surah Al-Ma’ida, 5:23)

Hadees:
"Jo Allah par bharosa karta hai, Allah uske liye kaafi hai."
(Sunan Ibn Majah)


Aakhir Mein:

"Aaj se faisla kare — tension nahi, tawakkul! Koshish tumhara kaam hai, nateeja Allah ka."


 Dua:

"Ya Allah! Humein apne faislon par raazi rehne ki himmat de,
Har hal mein Tera shukar karne ki tofeeq de,
Aur humein apne kaam mein lagaye rakh,
Apne kaam Tujh par chhodne ki aadat de."


Tension se nijaat chahiye?
Toh aaj se "Tawakkul ki raah" chune.

No comments: