Mazar Par Sajdah Aur Shirk Ke Ilzam Ka Jawab
Sabse pehle yeh samajhna zaruri hai:
Tamam ibaadatein sirf aur sirf Allah Ta'ala ke liye hain. Allah ke siwa koi bhi ibaadat ke laayak nahi.
Isi tarah, Shari'at-e-Muhammadi (Sal Allahu Alaihi Wasallam) mein Sajdah bhi sirf Allah ke liye hai.
Ahle Sunnat Wal Jama'at ka bhi yahi aqeeda hai — Alhamdulillah.
Imam Ahle Sunnat Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan (Alaihir Rahmah) is silsile mein irshad farmate hain:
"Sajdah Allah ke siwa kisi ke liye nahi. Ghairullah ko Sajda-e-Ibadat shirk hai, aur Sajda-e-Ta'zeemi haraam hai."
(Azzubdatuz Zakiyyah, Safa 5)
★ Wahabi firqa, jo 300 saal pehle Yahudi aur Nasrani tasuraat se paida hua, ilzaam lagata hai ke:
➡ Musalmaan mazar par jaakar Ghairullah ko sajda karte hain aur shirk mein mubtala hote hain.
To kya waqai aisa hai?
✏ Is sawal ka jawab dene se pehle ek hadees par ghour farmaiye:
Rasoolullah (Sal Allahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya:
"Mujhe is baat ka khauf nahi ke tum mere baad shirk karoge, magar yeh ke tum aapas mein bughz rakhoge."
(Sahih Bukhari, Jild 2, Hadees 6102)
Aaqa (Sal Allahu Alaihi Wasallam) ne saaf taur par farma diya ke meri ummat shirk nahi karegi.
Yani, jo log Musalmanon par shirk ka ilzam lagate hain, woh khud gumrah hain.
Sajdah ki Haqeeqat:
Sajdah do qisam ka hota hai:
1⃣ Sajda-e-Ibadat
2⃣ Sajda-e-Ta’zeemi
✏ Sajda-e-Ibadat sirf Allah ke liye hai — is ke siwa kisi ke liye karna shirk hai.
✏ Sajda-e-Ta’zeemi pichli shari’aton mein jaayez tha, lekin is Shari'at mein haraam hai.
➡ Sajdah ke liye kuch sharait:
1⃣ Niyat: Har amal ka daromadar niyat par hai.
"Innamal A’maalu bin-niyyaat" – Amal ka daromadar niyat par hai
(Sahih Bukhari, Hadees 1)
2⃣ Saat haddiyan zameen se milna zaruri hai:
Hazrat Ibn Abbas (Radi Allahu Anhu) riwayat karte hain:
"Rasoolullah (Sal Allahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya ke mujhe hukm diya gaya hai ke saat haddiyon par sajda kiya jaye..."
(Sahih Muslim: Hadees 995, Bukhari: Jild 1, Hadees 773)
Yeh haddiyan hain:
- Peshani aur naak
- Dono haath
- Dono ghutne
- Dono paon
✋ Wahabiyaan aur Shirk Ka Ilzam:
Wahabiyon ki aadat hai ke jahan kisi ko jhukte dekha, bas shirk shirk chillana shuru kar diya —
Chahe koi apni car theek kar raha ho, ya mazar par chadar ko bosa de raha ho.
Ahle Sunnat ka aqeeda hai:
Agar lakhon mein koi ek jahil aisa amal karta bhi dikhe, to bhi bina niyat jaane us par shirk ka ilzam lagana jahalat hai.
Har amal ki asal niyat hoti hai:
- Agar koi kahe ke main sajda kar raha tha, to poocha jayega: Ibadat ka ya Ta’zeem ka?
- Agar woh kahe Ta’zeem ka, to use samjhaya jayega ke yeh amal is Shari’at mein haraam hai, aisa na karein.
Magar phir bhi is par shirk ka fatwa nahi lagaya ja sakta.
Ahem Hadees:
Rasoolullah (Sal Allahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya:
"Agar koi apne Musalman bhai ko kafir kahe to dono mein se ek zarur kafir hoga. Agar woh (jise kaha gaya) kafir nahi hai to yeh ilzam dene wale par laut ayega."
(Sahih Muslim: Hadees 117)
Nateeja:
✋ Mazaar par jhukne, ya bosa dene jaise a’maal ko dekh kar bina tehqiq ke kisi Musalman ko kafir o mushrik kehna sakht ghalat hai.
Aisa kehne wala khud kufr ka shikaar ho sakta hai.
Is liye badgumani se bachein, aur Musalmanon par shirk ke ilzaam lagane se hamesha baaz aayen.
No comments:
Post a Comment