Thursday, June 18, 2015

Wahabi, Salafi, Ahle Hadees Ab "Mohammadi"? – Haqiqat Kya Hai?



Wahabi, Salafi, Ahle Hadees Ab "Mohammadi"? – Haqiqat Kya Hai?



Mukaddima

Aaj kal kuch log apne firqe ko naye naye naamon se pesh kar rahe hain. Pehle Wahabi the, phir Ahle Hadees, aur ab khud ko "Mohammadi" kehne lage hain. Lekin inka asal chehra kya hai? Kya ye waqaiy "Mohammadi" hain, ya sirf ek aur dhoka hai jise logon ke samne pesh kiya ja raha hai?


1. Wahabi – Ibn Abdul Wahhab Najdi ka Fitna

Shuruat me in logon ne khud ko Wahabi kaha. Kehne lage: “Wahhab Allah ka naam hai, hum Allah wale hain.”
Lekin Ahle Sunnat Wal Jama'at ne inka pol khol diya ke:

"Tum 'Wahabi' ho Ibn Abdul Wahhab Najdi ke hawari, na ke Allah ke."

Yani inka talluq us shakhs se hai jise ulema-e-Haram ne bhi gumrah aur fitna parast kaha.


2. Ahle Hadees – Naam ka Faraib

Phir inhone naya laqab apnaya: "Ahle Hadees". Kehne lage:

“Ham wahi jama'at hain jo Sahaba se le kar aaj tak sachi hai.”

Lekin Ahle Sunnat ne wazahat ki ke asal Ahle Hadees woh the jo sirf hadees padhte aur padhate the – unka aqeedah Sunni tha.

Misal: Jaise ek Hafiz sahab apne naam ke saath “Hafiz” lagate hain, to iska matlab yeh nahi ke har “Hafiz” ek naya firqa ban jaye.


3. Ab "Mohammadi" – Naya Mukhauta

Ab inhone khud ko "Mohammadi" kehna shuru kar diya. Lekin kyun?

Ek dafa ek shakhs ne kaha:

“Ibn Abdul Wahhab Najdi ke bete ka naam Mohammad tha, to hume ‘Mohammadi’ kyu nahi kehte?”

Haqiqat:
Ye “Mohammadi” hone ka matlab Nabi Kareem ﷺ ki nisbat se nahi, balki Ibn Wahhab ke bete “Mohammad Najdi” ke firqe se hai.
Yani ek aur fareb, taake aam musalman ko gumrah kiya ja sake.


4. Inke Aqeedon Ki Asliyat

Inka kaam Qur’an aur Hadees ki woh aayatein jo but-paraston ke liye nazil hui, unko Muslim buzurgon aur Auliya par chipkana hai.

Hazrat Ibn Umar (Radiyallahu Anhu) ne farmaya:
"Yeh log Qur’an ki un aayaton ko jo buton ke liye nazil hui, unhe Allah walon par lagate hain."
(Sahih Bukhari, Jild 2, Safa 1024)


5. Imam-e-Ka’ba Ki Gawahi

Imam-e-Ka’ba, Mufti Makka, Allama Ahmad Zaini Dahlan Makki (Ustad-e-Ala Hazrat) farmate hain:
"Ibn Abdul Wahhab ne mushrikeen ke liye nazil ayat ko musalmanon par lagaya."
(Ad-Durar-us-Saniyyah, Safa 47)


6. Inka Nizaam – Riyal Par Mazhab

Ye firqa Saudi Riyal par chal raha hai.
Inka ilm sirf itna hai ke:

  • Qur’an ki aayat buton par utarni ho aur chipkayein Nabi ﷺ ya buzurgon par.
  • Jinko na Ala Hazrat ka ilm hai, na Islam ki samajh.
  • Video banakar sunniyon par jhoot aur ilzaam lagana.

7. Mobahila Ka Challenge

Aaj main in sab jhoote mullahon ko Eid ke baad India me kahin bhi khule aam mobahila ka challenge deta hoon.

Mobahila – Jahan dono taraf ke log Allah ki laanat mangte hain agar woh jhoot bol rahe hon.

Yeh log kabhi khuli munazra ki himmat nahi rakhte. Sirf chhup kar video banakar gumrahi phailate hain.


Natija

(Najdi, Wahabi, Ahle Hadees, Salafi, Mohammadi, Deobandi, Talibani...)
Inka asal mazhab jhoot, fareb aur ta’assub par mabni hai.

Qur’an, Hadees aur Ulema-e-Haq ki roshni me yeh sab firqe gumraah hain.


Aakhri Baat:

"Agar koi shakhs kisi musalman ko kafir kahe, to dono me se ek zarur kafir hota hai."
(Sahih Muslim, Hadees 117)


Talib-e-Dua

Siraj razvi 



No comments: