Islamic Historical Facts – Ek Karwi Haqiqat Jo Har Musalman Ko Jaani Chahiye
1922 tak Arab Shareef mein Turkey ki hukumat thi, jise Khilafat-e-Usmania ke naam se jana jaata tha. Jab bhi duniya ke kisi kone mein Musalmano par zulm hota, Turkey uska muqabla karta. America ko agar kisi se sabse zyada khauf tha to wo Khilafat-e-Usmania se tha — kyunki unhe maloom tha ke jab tak ye Khilafat hai, wo Musalmano ko kabhi ghulam nahi bana sakte.
America ne is Khilafat ko khatam karne ke liye sazish shuru ki. Sabse pehle ek shakhs ko khada kiya gaya jo asal mein Christian tha, lekin Arabi itni fasahat se bolta tha ke kisi ko shak bhi nahi hua. Usne Arab ke logon ko gumrah karne ki koshish ki:
"Tum Arabi ho, aur tum par Aajami (Turki) hukumat kar rahe hain?"
Logon ne uski baat nahi maani. Yeh shakhs “Lawrence of Arabia” ke naam se mashhoor hua (aap Google par search kar sakte hain).
Phir America ne ek aur shakhs “Hempher” ko bheja. Uski mulaqat hui Muhammad bin Abdul Wahhab Najdi se — aur ek Arab daku Ibn-e-Saud se. Hempher ne Ibn-e-Saud ko Arab ka hukmaran banane ka lalach diya. Fir Ibn-e-Saud ne Makkah, Madina aur Taif mein Khilafat-e-Usmania ke khilaf jang ched di.
Hazaaron be-gunaah Musalmaan shaheed hue.
Jab Turkey ne dekha ke Ibn-e-Saud Makkah aur Madina jaise paak maqamat par khoon riza kar raha hai, to Turkey ne duniya ke samne elaan kiya:
"Hum paak sarzameen ko khoon se rangeen nahi dekhna chahte. Hum Arab se waapas ja rahe hain."
Yahi tha Khilafat-e-Usmania ka aakhri marhala, jiske baad Ibn-e-Saud Arab ka Badshah bana, aur pehli baar 1400 saal ki tareekh mein Hijaz-e-Muqaddas ka naam badal kar “Saudi Arab” rakha gaya — apne khandaan ke naam par!
Badal diye gaye haram ke darwazon ke naam.
Jannat-ul-Baqi aur Jannat-ul-Mualla mein sahaba aur Ahle Bait ke mazarat par bulldozer chalaya gaya.
Jin jagahon par kabhi Yahud-o-Nasara qadam nahi rakh sakte the, unhe aane ki ijazat mil gayi.
Ibn-e-Saud ke Badshah banne par America, Britain, aur dusre kafir mumalik ke wazir-e-azam usko mubarakbaad dene Arab aaye.
Woh Arab jo kabhi Yahud-o-Nasara ko hila deta tha, aaj unke ishaaron par nach raha hai.
Allama Iqbal ne ishi fitna ka dard apne kalam me is tarah bayaan kiya:
"Woh faaqa kash jo maut se darta nahi zara,
Rooh-e-Muhammad iske dil se nikaal do
Fikr-e-Arab ko de kar farangi t'agha'yulat
Islam ko Hijaz-o-Yaman se nikaal do!"
Aaj bhi waqt hai — Haq aur Tarikh ki is saazish ko samajhiye, aur Islam ke asal rooh ko pehchaniye.
No comments:
Post a Comment