Noor o BAshar Part 1
Masla Noor o BAshar ke waqt hume kuch baate zehan mein rakhni chahiye k hum mein or aap mein ikhtalaf kis baat ka hai phir is masle ko sahi tareekey se samjha ja sakta hai. aap or hum is baat par mutafik hain ke Huzoor Sallaho Alaih wasalam bahsar hai . lekin hum dono mein ikhataf is baatka hai k hum kehte hai k Huzoor Afzalul Bashar honey ke saath saath Noor bhi hai or aap kehte ho ke woh noor nahi hain. lekin aap nein jo apne dalail ke tor par jo ayat pesh ki hai unpar to hum mutafik hai kiun ke hum bhi mante hai ke huzoor bashar hai.isliye aap woh apne aqeeday ko sabitkarne ke liye Huzoor Sallahao Alaih eWasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo na ke bashar honey ki kiun ke Huzoor ke bashar honey par to hum or aap mein itfaq hai. is liye aap ka farz banta hai ke aap apna aqeedah sabit karne ke liye Huzoor Sallah Alaih e wasalam ki noor na hone ki koi daleel pesh karo . or hum Huzoor ke noor hone ki daleelpesh karte hai . umeed hai ke aap ko yeh tajveez achi lagi hogi.
Sabse pehle Allah ne Apne Noor se .. Hamare Nabi (Sallal Lahu Alaihi Wasallam) ke Noor ko paida kiya ... Hadees
Hazrate Jabir (RaziAllahu Anhu) ne Huzoor se jab poocha K Allah Ta'ala ne sabse pehle kis cheez ko paida farmaya .. Ispar RasoolAllah (Sallalahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya “Ae jabir! Beshak Allah ne sabse pehle Apne Noor se ,, Tere nabi ke Noor ko paida farmaya ... !!
Mawahibul Laduniyah Sharif V1 Pg9
Zurqaani Shareef V1 Pg.46
Seerat-e-HalbiaV1 Pg37
Anwaarul Muhammadiya Pg9
Hadees
Huzur Sallal Lahu Alaihi Wasllam ne Hazrat Jibrail (AlaihiSalaam) se Farmaya AE Jibrail! Tumhari Uamr Kyai hai Jibrail (AlaihiSalam) ne Arz kiya Huzuur ! Muje Kuchh Khabar Nai ,, Itna Jaanta Hun Ki Chauthe Hijaab me Ek Noorani Taara ,, 70 Hazaar Baras k Baad Chamakta tha ... Mene uss Taareko 72 Hazaar Martaba Chamakte dekha hai ... Huzoor (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ne yeh sunkar Farmaya Mere Rab ki Izzat ki Kasam ,, Me hi woh Noorani Taara hun ... !!
Ruhul Bayaan, V1, Pg974
Hadees Me Allah ke Noor se hun .. Or Tamam Makhlook mere Noor se hai Or sabse pehle Allah ne Mere Noor ko Paida kiya ... !!
Tirzimi page 201
Hadees Ek Sahabi ne Arz kiya Apko Nubuwat kab mili ... Huzur ne farmaya Me uss Waqt bhi Nabi tha ,, Jab Adam Mitti or Rooh ke Darmiyan the ..!! (Sahiul Isnaad) Or Allah ne hamare Nabi ko Noorul Bashar banakar bheja ,, Jo unhe Bashar na Maane uska bhi Iman kharab ... Or jo apni Tarha Bashar Maane uska to Iman hi Janey ka Khatra. Haddeso se Sabit karta hu ki Hamare Nabi Noor the .
Continue