Meelad un Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam -Hadith ki Roshni mein
Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ke Youm-e-Wiladat (Milad) ki tazim kiya karo:
Rasoollallah Sallalalahu Alalhi wasallam khud Apney Milad ke din khas Roza rakh kar Allah ka Shukr Ada kartey they aur wo bhi every week aur Aajkal kuch nadan saal mein ek baar us Din ki Tazim karney walo ko Gumraah kahtey hain, kam se kam jo uski tazim na karey wo khamosh rahey:|
Hadith: Abu Qatada Ansari radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alalhi wasallam
se pucha Peer ke din ( yani monday) ke rozey ke barey mein (yani aap us din roza kyun rakhtey ho) to Aap Sallalalahu alalhi wasallam
ne farmaya ki main us din Paida hua tha (ذلك يوم ولدت فيه ) aur us din mujh par wahi nazil huyee thi.
Sahih Muslim, 2747
Milad ki khushi mein Ghulam aazad karney par Kabr mein Abu Lahab ka bhi Azab halka hua:
Urwa radi Allahu anhu se rivayat hai ki Sobiya Radi Allahu Anha Abu lahab ki Ghulam (Khadima)thi (jab Rasoollallah sallallahu alaihiwasallam ke paida honey ki khabar usney di to) Abu Lahab ne usko Azad kar diya tha,usney Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam
ko doodh pilaya tha jab Abulahab mar gaya to usko kisi azeez ne marney ke baad khwab mein burey haal mein dekha, usney kaha ki jabse main tumse Juda hua hu kabhi Aaram nahi mila Ek zara sa pani (Peer ke din) mil jata hai wo bhi isliye ki mainey Sobiiya ko |
(wiladat ke khabar dene ki khushi mein)Aazad kar diya tha.
Sahih Bukhari, vol 6, 5101 (Ref: Sahih Bukhari, vol 7,Tashreeh 5372)
Agar koi ye kahey ki ye naya amal hai pahley nahi hota tha usey ye Hadith jarur parhni chahiye
Hadith: Jarer bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jo Shaksh Islam mein achchi baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga,
aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga -
( Sahih Muslim, 6800 & jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 570)
Milad ki Mehfil ya Julus mein Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam
ka zikr hota hai:
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se aur Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi
Wasallam ne farmaya jab koi jamaat Allah ka zikr karti hai to farishtey unko gher lete hain, aur Rahmat Un par cha jati hai,
aur un par taskeen nazil kar di jati hai phir Allah apni majlis mein unka zikr karta hai -
jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Hadith 1302
Jo log ye kahtey hain ki Rasoollallah ne us din Duniya se parda kiya tha to uska gam kyu nahi kartey to uska jawab ye hai ki khud Rasoollallah sallalllahhu alaliihi wasallam ne 3 din se ziyada Sog karney ko mana kaha ( sirf aurat apney khawind ke marney par 4 mahiney 10 din sog kar sakti hai) hai aur iska dusra jawab ye hai ki |
Rasoollallah Sallallahu Alalihi wasallam apni barazakhi hayat mein bhi Zinda hain aur uska sabut in sahi haidth se milta hai :
Hadith: Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tum mein se koi mujhe salam karta hai to Allah taala meri rooh ko wapas lauta deta hai aur main uskey salam ka jawab deta hu
Sunan Abu Dawud, Vol2, 273
Jumaa ke din mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Hamara Durud parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar diya hai.
Sunan Abu Dawud, Vol 1 1035
Jo log puchtey hain ki Sahaba radi allahu anhu ne Milad kyun nahi manaya wo pahley in sawalon ka jawab de de, unhey khud uska bhi Jawab mil jayega:
1.Kya Rasoollallah Sallalhu Aalihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi zer, zabar aur tashdeed (punctuation) wala Quran use kartey they...?? Quran bina zer, zabar aur tashdeed ke nazil hua tha.
2. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahaba radi allahu anhuma Eid ke din galey mithey they ?
3. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma apne Aapko salfi ya Ahl-e-hadith ya taablighi ya barelvi kahtey they Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahaba apney naam ke saath kunniyat (yani walid ka naam) lagatey they na ki Salfi ya aur kuch.
4. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma kabhi tasbeeh ke daney use kartey they ? wo sab apney Haath ki ungliyon par tasbeeh parhtey they
5.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ne Sarey Ramadhan tarweeh ek jamaat ke saath parhi thi ya parhayee thi ??Abu bakr radi allahu anhu ke zamaney tak log alag alag aur giroh giroh taraweeh parhtey they aur Hazrat umar radi allahu anhu ne sabko ek jamaat ke saath ada karney ka hukm diya aur ye bhi kaha ki نعم البدعة هذه kya hi Achchi Bidat hai
(Sahih bukhari, Vol 3, 2010)
6.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi Quran ka Urdu ya English Tarjumah parha ?? Hona to ye chaiye tha ki jisey Quran ko samajhna ho wo Arbi sikhta aur usey samajhta kyunki Rasoollallah Sallalhu Alihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne Quran kareem ko Arbi mein parha aur usi language mein samjha.
7. Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur sahabaa radi allahu anhuma ne kabhi internet par Dawat aur tablig ki thi.??
8.Kya Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Jumaa ke din Do Azan di jati thi ??... Rasoollallah Sallalhu Alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar radi allahu anhu ke zamaney tak sirf ek hi adhan thi .Uthman radi allahu anhu ne Logon ki taadad badney ki wajah se Do Adhan karwayee.
9. Kya Rasoolallah Sallallhu Alaihi wasallam ke zamaney mein Quran ko 30 paro mein jamaa kiya gaya tha ????? Abu Bakr radi allahu aur digar sahaba ne Umar radi allahu anhu ke kahney par Quran ko 30 paro mein jamaa kiya
Sahaba Radi Allahu nahuma ne bhi Deen mein naye naye kaam nikaley they jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke zamaney mein nahi hotey they aur usey accept kiya gaya kyunki wo Bidat-e-Hasna (yani achchi Bidat) hai aur Hazrat umar ne to yahan tak kaha tha ki kya hi achchi bidat hai
Ab Aap ye soch rahey hain honegy ki EK Hadith mein ye hai ki Deen mein Achchi achchi baatein nikal saktey hain aur dusri Hadith mein ye hai ki "….. Har Naya kaam Bidat hai aur har bidat gumrahi hai aur har gumnrahi jahannam mein le janey wali hai " to ek baat sun lijiye ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki ek haidth kabhi dusri haidth ya Aayat se nahi takrati bahut se Muhaddesin ka ye Qaul hai ki ye Haidth gumarahi ki bidat ke liye hain ....jisko ek aur Hadith mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne saaf farma diya hai…
"...Jisney Gumarahi ki Bidat nikali jisey Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam pasand nahi kartey to us par utna hi gunaah hai jitna us buraii ke karney walon par..aur is sey unkey gunaahon ke bojh mein bilkul kami nahi hogi."
Jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 573
Is hadith mein Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne lafz Gumrahi ki bidat (بدعة ضلالة ) kah kar Ummat ko ye bata diya ki kuch Bidate Gumrahi ki hain aur Bidat-e-Hasna bhi hain tabhi to Sahaba Radi Allahu anhhuma ne Deen mein Achchi bidat nikali warna sahaba radi allahu anhuma aisa koi kaam nahi kartey jo Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne nahi kiya. Allah knows Best
Milad ki mehfil ya julus mein kya kya hota hai Aao check karey
Milad ki Mehfil ya Julus mein Allah aur uskey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ka zikr hota hai:
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se aur Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi jamaat Allah ka zikr karti hai to farishtey unko gher lete hain, aur Rahmat Un par cha jati hai, aur un par taskeen nazil kar di jati hai phir Allah apni majlis mein unka zikr karta hai -
jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Hadith 1302
Milad Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ki Muhabbat mein manaya jata hai:
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Bedouin Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Afsos ! tumney us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai, usney kaha mainey uskey liye to koi tayyari nahi ki hai lekin main Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat rakhta hun, to Aap Sallallahu
Alaihi wasallam ne farmaya phir tum Qayamat ke din unkey saath rahogey jin se mohabbat kartey ho
Sahih Bukhari, 6167
Milad Sirf or Sirf Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Raza hasil karney ki niyat se manaya jata hai:
Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Amal ka daromadar Niyat par hai aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat karey isliye jiski hijrat (emigration) Allah aur uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Raza hasil karney ke liye ho to usko Allah aur uskey Rasool ki Raza hasil hogi lekin jiski hijrat duniya hasil karney ke liye ho ya kisi aurat se shaadi karney ke iradey se ho to uski hijrat uskey liye hai jiskey liye usney hijrat ki.
Sahih Bukhari, 5070
Milad ki Mehfil ya julus mein Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam par Durud aur Salam parha jata hai
Beshaq Allah Subhanahu aur uskey Farishtey Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par Durud bhejtey hain, Eh Momeeno tum bhi un par Durud aur salam bheja karo.
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56
Ab ye batao ye sab kaaam Apaki nazar mein achchey hain ya nahi….Agar haan to phir is haidth parh lijiye aur us par imaan le aaeeye:
Hadith: Jarer bin Abdullah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Shaksh Islam mein achchi baat nikale phir log iskey baad us par Amal karey to usko itna sawab hoga jitna sab Amal karney walo ko hoga, aur Amal karney walon ke sawab mein kuch kami na hogi aur Jo islam mein buri baat nikale log uskey baad us par amal karey to tamam Amal karney walo ke barabar Gunaah us par likha jayega aur Amal karney walo ka Gunaah kuch kam na hoga -
( Sahih Muslim, 6800 & jamia Tirmidhi, Vol 2, ilm ka Bayan, Haidth 570)