WAHABIYO DEOBANDIYI LO JAWAB AUR JAO JAHANNAM MEIN YA TAUBA KARO ..
AETRAAZ :- Jashn-e-Eid e MeeladunNabi ﷺ kyu kehte hein Islam mein to sirf 2 Eidey Hein ek Eid-ul-Fitar aur Dusri Eid-ul-Azha ?
Al-jawab :-
Qur'an-E-Majeed Furqan-e-Hameed mein Allah Tabarak Wa Ta'ala Ne Hazrat e Esa Alaihissalam ki Dua ka zikr kiya Irshad-e-Rabbani hota he "
قال عيسى ابن مريم اللهم ربنا انزل علينا مائدة من السمآء تكون لنا عيدا لاولنا و اخر ناواية منك
(Para-7, surah e Maaida,Aayat-114,Ruku-4)
Tarjuma :-
Esa Ibne Maryam ne Arz kiya A Hamare Rab Hum par Aasmaan se Khwaan(Ne'mat) Nazil farma taaki(Us ke utarne ka din) Hamare Liye Eid(Yani khushi ka din) ho jaye hamare Aglo-Peechlo ki aur teri taraf se Nishaani.
Is Aayat E bayyanaat mein Hazrat e Esa Alaihissalam dua farma rahe hein k Mawla Kareem hum par Aasmaan Se Khwaan-e-Ne'mat Nazil farma aur jis din wo khwaan Nazil hoga wo din hamare liye Eid ka din hoga pata chala k jis din koi Ne'mat nazil hoti he wo din Eid yani khushi ka din hota he gaur karne ka Maqaam he k jis din Aasman se khwaan-e-Ne"mat Nazil ho wo din to Eid ka din ho aur jis din Jaan-e-Ne'mat Sallallahu Alaihe wa sallam tashreef Laaye wo din eid ka din kyu na ho,Dusri baat ye he k Eid-ul-Fitar Aur Eid-ul-Azha Mili kis ke Sadqe Mein Agar Huzoor Purnoor Sallallahu Alaihe wa sallam tashreef na laate to na Eid-ul-Fitar Hoti na Eid-ul-Azha. Na Zameen na Aasman,Na Loh na Qalam,
Na Arsh na kursi,
Na Charind na parind,Na Hewaan Na Insan Garz ye k Ye Duniya aur is mein maujud Saari Ne'matey Huzoor Sallallahu Alaihe wa sallam ke Sadqe mein humein Mili to jis Ne'mat Ke Sadqe me Saari Nematey mili un ki Aamad par khushi manana aur un ki Wiladat ya Sa'aadat ke din ko Eid kehna Yaqeenan Jaiz he.
Sahih Bukhari Mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho se riwayat he k ek yahoodi ne un se pucha k kya aap jis din Aayat
" اليوم اكملت لكم دينكم "
Nazil hui us din ko bagaur eid manaate hein ??
Agar Hamari Toraat mein aesi aayat utarti to hum usey Zaroor yaum-e-Eid Bana lete.
Is ke jawab mein Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne farmaya k hum us din aur us jagah ko jahaa ye aayat utri thi khoob pehchaante hein ye Aayat Yaum-ul-Haj aur yaum-e-Jum'a-tul-Mubarak ko Maidan e Arfaat mein utri thi aur hamare liye ye dono din Eid ke din hein.
(Bukhari sharif,Kitab-ul-Eimaan,Baab Zayadat-ul-Eimaan o Nuqsaan 25,Raqam-45)
Is se pata chala k Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ne us din ko eid ka din Qarar diya jis din Takmeel e Deen ki Aayat Nazil hui yani Takmeel e Deen ki Aayat ke Nuzool ke din Ko ba-taur Eid manana Hazrat e Umar RadiyAllahu Anho ke nazdeek Jaiz he kya Hazrat e Umar radiyAllahu anho nahi jante the k Islam mein Sirf 2 Eidey eid-ul-fitar aur Eid-ul-Azha hein phir unhone takmeel e deen ki aayat ke nuzool ke din ko eid kyu Qarar diya. Maalum huwa k jis din Allah Tabarak wa Ta'ala ki janib se koi fazl,
Rehmat aur ne'mat Nazil ho us din ko eid ka din kaha ja sakta he aue ye baat Azhar Minash-shams he k Huzoor Sallallahu Alaihe wasallam ki zaat-e-Baa-Barkat,Allah Ta'ala ka sab se badaa fazl Rehmat aur sab se badi ne'mat he,
Isi liye hum is Azeem-ush-shan Ne'mat ki Aamad ko jashn-e-Eid-e-MeeladunNabi SallAllahu Alaihe wasallam kehte hein....
No comments:
Post a Comment