بسم الله الرحمن الرحيم
Nahmaduhu nusalli aala rasoolihil kareem ﷺ
Sunni dawat e islami part 1
Bahut hi sanzida post likh raha hun
Kaafi log mujhse puchhte hain ke s d i me kya kharabi hai
Is liye mai socha mukhtasar 3 post likhta hun aur ek post (mai s d i kyun chhoda aur kaise )
To aaiye start karte hai
Mai s d i ko 3 pahlu se galat dekhta hun
Aur un teeno pahlu me bhi bahut saare pahlu hai
1 s d i ne apni alag pahchan banai sunniyon se hat kar
2 s d i maslak e alahazrat ke khilaf kaam karti
3 s d i ko aulama kis tarah dekhte hain
____________________________________
1 s d i ne apni pahchan alag banai sunniyon se hat kar
Sawal par kaise ?
Jawab se pahle is baat ka khyal rakhe ke ap ye na soche ke yaar fir wahi purani baat
Al jawab
S d i jab wajud me aai us vaqt shakir sahab ne kya kiya
Dawat e islami ka copy hai s d i bas
Jo paghri dawat e islami (d i) wale sar par bandhte the use shakir ne gale me dal liya aur jo d i wale gale me dalte hai use shakir sahab ne sar pe dal diya aur naam bhi wahi sirf sunni jod diya usme to hogaya sunni dawat e islami are wah
Aur ye baat bhi khub yaad rakhne ki hai ke akhir shakir sahab kyun alag huwe d i se aur kyun d i me s jod liye aur to ap jante hain par fir mai batata hun kyun ki ilyas ne us vaqt kaha tha ke hamare tanzeem se wahabi deobandi ka radd nahi hoga ye mukhtasar hai warna ilyas ne jo us vaqt kaha usi par kuchh post ban jayegi
Lehaza ye baat shakir sahab ko nagawar guzri aur wo khud apni tanzeem alag bana liye
Lekin baad me shakir sAhab zaheeruddin ka saath na chhod kar sabit kar diya ke ab d i ajr s d i me koi fark nahi
Mai puchhta hun aakhir kyu ap ne apni alag tanzeem banai aulama se kyu alag hogaye
Kya ap tak nabi kareem ﷺ ki hadees mafhum e hadees sawad e azam ke saath raho
Rasoole Maqbool ﷺ
Ne Irshad Farmaya Ke Meri Ummat Gumrahii Par Jama Nahii Hogi, Jab Tum Ekhtilaaf Dekho To Sawade Aazam (Bade Jamat)Ke Saath Raho.
-ibne Maaja 3950.
Allahu Akbar Allahu Akbar
Mujhe batao kya aulama e ahle sunnat ya awam e ahle sunnat
Ab ab shakir sahab ke najdik sawad e azam na rahe kya jo shakir sahab ne apni alag pahchan banai ?
Ab yahan koi ye nahi kahe ke Bhai s d i bhi ahle sunnat me hi hai
Agar kahenge to mai kahunga Hazrat ap meri baat nahi samjhe
Agar shakir sahab ki tanzeem ahle sunnat ki hi tanzeem hai yani maslak e alahazrat ki hi to shakir sahab apne baat karne ka tarika kyu new izad ki apne kapde kyun alag hai aur sab ke baat karne ka ek hi tarika sab ke kapde ek jaise sab ke sar par sirf Wight amama kyun
Isse sirf ye baat sabit hoti hai ke shakir sahab apne ap ko
Maslak e ahle sunnat (maslak e alahazrat se alag kiye)
Ab yahan ek baat samjh me aagai ke shakir sahab ne s d i ki pahchan sawad e azam se hat kar banai
Abhi baat khatanm na hui
Note
Koi ye na kahe ke bhai ap log ye sab baat 2007 ke pahle kyu nahi bole ?
To mai ap ko bata dun
Pahchan pahnawe aur amal se hoti hai pahnawe ka to hogaya ab alam ka agle post me
Aur haan jab koi new tanzeem aati hai to kuchh mohlat unko diya jata hai ke wo deen ki sahi khidmat kar ke bataye
Shuru me aulama aur awam in baato pardheyan nahi diye ya fir dheyan dekar bhi khamosh rahe ke shayed ye aage chal kar theek hojaye
Lekin paani jab sar ke upar hui tab aulama ne radd kiya
Continue
Visit us maslak e alahazrat zinda baad
http://hashmatinetwork.blogspot.com/?m=0
Whatsapp par judne ke liye rabta karen +966 55 435 6135
Nabi(PBUH) na farmaya
ReplyDeletejo shakhs har waqat wazoo ma rahay ga Allah us ki rozi kushada frmaye ga
Abdur Raoof Raoofi Naats
Assalamualaikum bhai ek baat boli white colour Mere Aqa Ko pasand tha aur aap yeh sun lo SDI ahlesunnat jamaat me aati hai aur Jo kapda kande pe rakte hai Woh bhi sunnat hai khud Sarkar tajushariya ne SDI or di k liye dua ki hai aap Ko Shakir sahab aadab se Lena chahiye Aisa hi nhi unko kaba Shareef k andaar Jane Mila woh mere phir bhi hai par mujhe mere phir dusro k phir aadab karne bole aur agar mujhe
ReplyDeleteSe aap Dil duka ho to mujhe Maaf karna mere bhai
Woh mere phir nhi hai usme Mene galti se likha hu
Delete