Page 16
Bala dekh tu jis ne apni khawahish ko apna khuda bana liya to kya tu us ka jimma legaa ya tujhe guman hai Ke un mein Se kuch sunte ya aqal rakhte hain
woh to nahi magar jaise choupaye balke woh to un Se bhi badh kar gumrah hai!
In badgoyon ne choupayon ka ilm to ambiya alaihissalam Ke ilm Ke barabar mana!
Ab in Se puchiye kya tumhara ilm ambiya ya khud huzoor sayyedul ambiya alaihissalatu wassalam Ke barabar hai
jahiran us ka dawa na karenge aur agar keh bhi de Ke jab choupayon Se barabari karadi.
ap to dopaye hain barabari mante kya mushkil hai
to youn puchiye tumhare ustado Peeron mullane mein koi bhi aisa guzra Jo tum Se ilm me ziyadah ho ya sab ek barabar ho akhir kahi to fark niklega to un Ke woh ustad wagaira to un Ke iqrar Se ilm me choupayon Ke barabar aur ye un Se ilm me kam hain jab to un ki shagirdi ki aur Jo masaavi Se kam ho dusre Se bhi zarur kam hoga
to ye Hazrat khud apni takrir ki rooh se choupayon Se badh kar gumrah huge aur in ayato Ke masdaq thahere
Musalamo ye halaten to in kalmaat ki thi jin me ambiya e Kiraam aur huzoor pur noor sayyadul Alam alaihissalatu wassalam par haath saaf kiye gaye sirf in ibarat ka kya puchna jin me asala bil kasad rabbul ijzat ajjallahu ki izZat par hamla kiya gaya ho khudara insaf kya jis ne kaha Ke mai ne kab kaha hai ke mai wankue kazbe bari ka katil nahi hun yani woh shashk us ka katil hai Ke khud bil fail e jhut hai jhut bole jhut bolta hai is ki nisbat ya fatwa dene wale ko. Agarche us ne tavile aayat me khata ki magar taham us ko kafir ya biddati zal kehna nahi chahiye jis ne kaha Ke us ko koi shakht kalma na kehna chahiye jis ne kaha Ke us me takfir ulma salaf ki tazim ati hai hanfi safayi par tan aur tazlil nahi kar sakta yani khud ko mazAllah jhuta kehna bahut Se ulma e salaf ka bhi mazhab tha
ye iqtelaf hanfi safayi ka sa hai
kisi ne hath naf Se uper bandha kisi ne niche aisa hi us Se bhi samjho Ke kisi ne khuda ko sachcha kaha kisi ne jhuta lehaza Aise ko tazlil aur taqfeeq Se mamun
No comments:
Post a Comment