Part 43 wahabi najdi ki haqiqat
Hadees
hle iraq ke shuhda
Hazrat Ali radi Allah anho ko bayan kerte hoey suna:
Aey Ahle iraq!
Anqareeb tum mein se 7 admi azrah ke muqam per qatal hongy unki misaal as'haab e khadood (khandqoon wale) ki hogi. Pas hajr bin adi aur un ke as'hab qatal ho gaey.
Hazrat Ayesha radi Allah anha ne farmaya, mein ne Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko bayan kerte suna ke "anqareeb azrah mein kuch log qatal hongy jin ki khatir Allah aur asman wale ghussay ho jaen gay.
Ye Hazrat Muawiya radi Allah anho ke hukam per hamla kerne walon ke hath se shaheed hoey.
Al.bidaya wan.nahaya, Vol 6, Page 306
Baghdad ki khubiyaan
Younun bin abdul aala al'sadfi ne bayan kiya ke imam shafa'I ne mujh se pocha ke tu ne Baghdad dekha hai?
Mein ne kaha nhe
To aap ne farmaya tu ne duniya nhe dekhi. Aur imam shafa'i ne farmaya mein jis sheher mein bhi gia hoon mein ne ussay safar shumaar kiya hai, magar baghdad ko mein ne safar mein shumaar nhe kiya, mein jab is mein dakhil hua to mein ne issay watan shumaar kiya
Aur baz ne rawayat kiya ke duniya aik jungle hai aur Baghdad us ka sheher hai.
An alaihe ne bayan kiya ke mein ne talb e hadees mein ahle Baghdad se ziyada aqal'mand nhe dekha aur na un se achha aram wala dekha ha
i.Ibn mujahid ne bayan kiya hai ke mein ne khawab mein abu umroo bin al'ala ko dekha to mein ne pochha Allah ta'ala ne tumaray sath kiya salook kiya hai? Tu us ne mujhe kaha is baat ko chhorro jo Baghdad mein sunnat aur jama'at per qaiym raha aur mer gia to wo jannat mein mutaqil ho gia.
Abu bakr bin ayash ne bayan kia ke islam Baghdad mein hai. Ye aik shikari hai jo admiyoun ka shikaar kerta hai aur jis ne issay nhe dekha us ne duniya nhe dekhi
.
Abu muawiya ne bayan kiya ke Baghdad duniya aur akhirat ka ghar hai.
Baz ne rawayat kiya hai ke islam ki khubiyoun mein se Baghdad mein jumah ke din aur Makkah ki namaz e traweeh aur taraswas ka eid ka din bhi hai
Aur khateeb Baghdadi ne bayan kiya ke jo shakhs Madinat al'islam (Baghdad) mein jumah ke din hazir hoga Allah ta'ala us ke dil mein islam ki azmat ko barha dega kiyoun ke hamaray mashaiykh ka qol hai ke Baghdad mein jumah ka din aur doosry shehroon mein eid ke din ki tarah hai.
Aur aik shakhs ne bayan kiya ke mein mawazbat se jameha Mansoor mein Jumha parhta tha mujhe aik (masla) paish aa gia to mein ne doosri masjid mein namaz parh li to mein ne khawab mein aik shakhs ko kehte dekha tu ne sheher ki jameha masjid mein namaz parhi aur bila'shuba is mein her jumah ko 70 wali namaz parhte hain.
Aik shakhs ne bayan kiya ke mein ne Baghdad se muntaqil hona chaha to mein ne khawab mein aik shakhs ko kehte dekha; kiya tu aise sheher se muntaqil hona chahta hai jis mein Allah ke 10 hazar wali hain.
Jab kisi shakhs ka ilm hijaz, paidaish iraqi aur namaz shaami ho to wo kaamil ho jata hai.
(aise he baahut se fazail Baghdad ke bayan hoey hain)
Al.bidayah wan'nahaya Vol 10, Page 128,129
Hadees
Imam Mehdi ki khidmat mein Shaam Ke Abdaal aur Iraq ke ulma o fuzla groh dar groh hazir ho ker bait krain gay.'
Ahmad bin humble Musnad jild sadas, page 317
Sahih Ibn Hibban vol 15 page 59
Sunnan Abi dawood vol 4 page 464
([1]) في (ط) : إذ مرت به .
([2]) في (أ ط) : فأخبر النبي صلى الله عليه وعلى آله وسلم .
([3]) في المطبوعة : العليا .
([4]) أخرجه الحاكم في المستدرك ، كتاب معرفة الصحابة ، ذكر فضائل القبائل ، (4 / 73 ، 74) ، وهذا الحديث فيه محمد بن ذكوان ، ضعيف ، لكن الحديث يقوى بمجموع الشواهد التي ذكرها المؤلف .
No comments:
Post a Comment