async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: MUBARAK RAATO’N KI SHARAI HAISIYAT
Showing posts with label MUBARAK RAATO’N KI SHARAI HAISIYAT. Show all posts
Showing posts with label MUBARAK RAATO’N KI SHARAI HAISIYAT. Show all posts

Sunday, May 22, 2016

MUBARAK RAATO’N KI SHARAI HAISIYAT.

“ALLAH RABBUL IZZAT” nay Makhlooque me baaz ko baaz par fauqiyat bakshi, yani baaz cheezo ki fazilat ko baaz doosri cheezo par zaahir FARMAYA, Maslan sitaray’n hain,laykin chand k samnay unki roshni ma’ad pad jaati hai,yuhi jab suraj tulu hota hai toh chand ki roshni apna wajoood kho baitthi hai. Isi tarekay say baaz dino’n ko b ”ALLAH TA’ALA” nay doosray dino’n par fazeelat BAKSHI hai, yuhi kuch raatay’n b aati hai jinkizaahiri taarikiyo’n k pas-e-parda, anwar-o-tajalliyat ki baarish hoti hai aur BANDO’N ko us say sairab kiya jata hay. Unhi Ba-Barkat raato’n may say “SHAB-E-ME’RAJ” “ SHAB-E-BARAAT” aur “SHAB-E-QADR” hay.

Laykin kuch GUMRAH LOG nay in Mubarak raato’n may I’BADAT karnay aur ROZA rakhnay ko HARAAM-O-BIDDA’AT karaar daytay hai aur kehtay hai ki makhsoos tareekay par NAMAZ padnay ka koi hukm”RASOOLULLAH nay nahi diya. Isliye in raato’n may NAMAZ padhna, din me ROZA rakhna BID’AT hai, aur aisa karnewalo’n ko “ALLAH TA’ALA”AZAAB DAYGA.

“MA’AZ ALLAH”

Aur koi HADEES uskay JAWAZ may pesh ki jaati hai toh kehtay hai ki MO’ZU, MANGHADAT aur ZA’IF hai.DALEEL MAY KUCH NAHI BAS UN GUMRAHO’N KA JABRUTI HUKM MANO.

“MA’AZ ALLAH”

MUSALMANO’N

“SHAB-E-M’ERAJ” MUBARAK raat hai, jiski 27vi SHAB ko “ SIAYYADUL MUSALEEN”(Sallallahualaihiwassallam) ko “M’ERAJ” hui aur “AAP”(Sallallahualaihiwasallam) nay “APNI” sar ki AANKHON se APNAY “RAB” KA DEEDAR KIYA aur usi raat ko “RAB” ki BARGAH say “AAP” ki UMMAT ko NAMAZ jaisi PAKEEZAH aur BUZRUG I’BADAT ka TOHFA MILA.
Toh jis raat may NAMAZ ka tohfa “RASOLLULLAH”(sallallahualaihiwasallam) ko mila,us raat may NAMAZ padhna BI’DAT-O-HARAAM q kar hosakta hai ???????

“ALLAH TA’ALA” k woh BANDAY baday khushnaseeb hai jo in MUBARAK raato’n may khoob NAMAZ padhtay hai aur din may ROZA rakhtay hai.

“HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQUE MUHADDIS DELHVI”Alaihir’rehma nay
(MA’SABTA BIS’SUNNAH MUTRAJJIM P-185/186) par “ALLAMA IBN-E-HAJAR MAKKI” Alaihir’rehma aur “BEHQI” k hawalay se aur “HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI” Alaihir’rehma nay “APNI” kitab (AH’YA’UL ULOOM J-1,P373) par yeh HADEES naqal kartay hay jo : “HAZRAT ANAS” (radiallaanhu) say marwi hai “SAIYYAD-UL-MURSALEEN”(Sallallahualaihiwasallam) nay farmaya “RAJJAB ki 27vi raat may I’BADAT karnay walao’n ko 100 saal I’BADAT ka sawaab milta hai aur jis nay is raat may 12 raka’at NAMAZ is tarah padhi ki har raka’at may SUREH FATIHA k baad QURAN MAJEED say koi SURAT padhay aur 2 raka’at par tashahhud(attahiyat) aakhir tak baad DUROOD SALAM pharay aur 12 raka’at padnay k baad 100 martaba yah Tasbeeh “SUBHANALLAHI WAL HAMDULILLAHI WALA ILAHA ILLALLAHU WALLAHUAKBAR” fir 100 martaba “ASTAGHFIRULLAH” aur 100 martaba “DUROOD SHAREEF” padhay aur subah ko ROZA rakhay fir duniya aur aakhirat k muta’lliq jo (jiaz dua) mangayga “IN SHA ALLAH...ALLAH QUBOOL FARMAYEGA”.

“HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI” Alaihir’rehma “APNI” kitab (“AH’YA’UL-ULOOM, J-1, BAB’US SALAAT”) k aakhir may “SALAAT UR RAGHEEB” par FARMATEY HAIN “YEH AHADEES KHABRAY AHAAD HAIN,LAYKIN HAMNAY BADAY-BADAY U’LMA-E-RABBANEEN KO USPAR AMAL KARTAY DAYKHA HAI”.
GARJAY KI U’LMA AUR AWAAM SAB USPAR AMAL KARTAY HAI AUR U’LMA KA AMAL B HUJJAT HAI.ISLIYE “HAZRAT IMAM BUKHARI” Alaihir’rehma U’LMA K AQWAL PAYSH KARTAY HAIN AUR “IMAM TIRMIZI” alaihir rehma jaise AZEEM MOHADDIS JAGAH-JAGAH FARMATAY HAIN “YAH HADEES ZAIF HAI LEKIN U’LMA KA ISPAR AMAL HAI ISLIYE YEH MAQBOOL HAI” 

Aur yeh b maalum rahay ki HADEES SAHIH, HASAN, ZA’IF. MAUZU sirf sanad k a’itbar say hoti hai,warna NAFS-E-HADEESk a’itbar say ho sakta hai ki jo HADEES ZA’IF ho,woh SAHIH ho aur jo HADEEES SAHIH ho,woh ZA’IF ho.
(Dekho MUQADDAMA TBN-E-SALAH aur MO’ZUAT-E-KABEER WAGAIRAH)

Aur ZA’IF HADEESON par AMAL bil-ittifaq –e-U’LMA FAZAIL-E-AMAL may na sirf mo’tbar hay balki AMAL karna mustahab hai. (Dekho AL HADIQATUN’NADIYA FI SHAREH TARIQATIL MOHAMMEDIYA J-1, P-181 AUR FAT’HUL QADEER KUBAIL FASL HAMLUL JANAZAH WAIGAIRAH)

ZA’IF to ZA’IF hai munkir HADEES b FAZAIL-E-AMAL may bil-ittfiaq mo’tbar hai(mulahayza ho TA’QUBAT-E-SUYUTI FI’AKHRI JANIZ aur FATWA RAZVIYA, J-2).

Aur agar koi HADEES kisi MOHADDIS k Nazdeek SAHIH ,HASAN, ZA’IF ho ya MO’ZU ho to woh unki SANAD k aitbar say hoti hai aur agar FAZAIL-E-AMAAL may ZA’IF HADEESO par AMAL karna NAJAIZ-O-GUNAAH  hai toh FAZAIL-E-AMAAL k munkiro ko chahiye ki puri UMMAT k kisi b MO’TBAR AALIM ka QAUL-E-RAKAYH pesh kare’n.

Aur yeh b koi zaruri nahi ki duniya k saaray “MOHADDISEEN” tamam HADEESO par muttafiq ho aur kisi nay kisi HADEES par kalaam na kiya ho.

Warna bahot saari HADEESE hai (Jaisa ki AHLAY ILM say poshida nahi) baaz k nazdeek SAHI hai aur baaz k Nazdeek ZA’IF hai, hatta koi MO’ZU b hai.

Warna khud ko AHLAY HADEES kehlanaywala yah bataye ki kitni HADEESE hai jin par Duniya k Tamam “MOHADDISEEN” ka ittfaq hai ?????

Agar GUMRAH firqo’n ki baat maan li jaaye toh tamam “KUTB-E-AHADEES” k teen chauthai hisay say haath dhona padega, yaha tak ki “BUKHARI-MUSLIM” b mehfooz na rahaygi “NA’UZBILLAH”
In Tamam baato’n say yah saabit hua ki har ehkaam k alag-alag kamo’n aur usool hai aur FAZAIL-E-AMAL may ZA’IF HADEESO’N par AMAL na sirf yah ki JAIZ hai balki uspar AMAL karna MUSTAHAB hai aur agar koi kehta hai har Hukm k liye SAHIH HADEES ka hona zaruri hai toh uska khudsakta QANOON aur ZAPTA hai MAZHAB-E-ISLAM say koi wasta nahi...

MUSALMANO’N yeh toh un “U’LMA-E-RABBANEEN” k aqwal thay jo AHADEES-E-KAREEMA” k AAMEEN-O-MUHAFIZ hai, jinhonay FAZAIL-E-AMAL k baab may ZA’IF HADEESON par AMAL karnay ko MUSTAHAB bataya aur AMAL b kiya.

Laykin ab khud “SAIYYADUL MURSALEEN”(Sallallahualaihiwasallam) ka farman suno jo FAZAIL-E-AMAAL k talluk say hai aur jo GUMRAH FIRQA in MUBARAK RAATO’N may I’BADAT karnay ko SHIRK-O-BIDA’T qaraar detey hai woh b ALFAZ-E-AHADEES par ghaur kare’n aur agar “ALLAH TA’ALA” taufeeq de to Amal b kare’n aur apni zubaan par lagaam day’n.

SUNO jis HADEES ko “HASAN IBN-E-U’RFA” nay APNAY “JUZW-E-HADEES” may aur “ABU SHAIKH” nay “MUKARIMUL AKHLAQUE” may aur “JAAMI’UL HADEES” may “HAZRAT ABDULLAH IBN-E-ABBAS” (radiallahuanhuma) say aur “IBN-E-HABBAN” aur “HAFIZ ABDUL BIR” nay “KITABUL ILM” may “HAZRAT-E-ANAS” say “DAR-E-QUTNI” aur “MO’HBI” nay “KITABUL ILM” may “HAZRAT-E-ABDULLAH IBN-E-UMAR”(raziallahuanhuma) say RAWAYAT FARMATEY HAI..

Tarjuma : Jisko ALLAH ki taraf say kisi baat may kuch fazeelat pahuchay woh banda apnay yaqeen aur uspar sawaab panay ki ummeed usay uska sawan inayat FARMAYEGA agarchay khabar sahi naho”
aur
“Dar-E-QUTNI” ki Hadees yeh hai
Tarjuma: “ALLAH TA’ALA usay uska sawaab ATA KAREGA agarchay woh hadees Mujhsay marwi ho ya naho”
aur
“HAAFIZ ABDUL BIR” k ALFAZ yeh hai.

Tarjuma: “Agarchay us Hadees ka rawi jhoota ho”                                                             
In IRSHADAD ki roshni may yeh maalum hua ki FAZAIL-E-AMAL k baab may agar kisi MUSALAMAN nay un “HADEESO” par Amal kiya jo DarHaqeeqat ZA’IF hai, par HUSN-E-NIYYAT ki buniyad par usko uska sawaab milega.

Aur agar koi GUMRAH uspar Amal karnay say rokta hai toh us k baaray may “SAIYYADUL MURSALEEN”(sallallahualaihiwasallam) IRSHAD FARMATE HAI’N
Jis HADEES ko “ABU YALA” nay aur “TIBARNI” nay “MO’AJM-E-AUSAT” may “HAZRAT-E-ANAS” (raziallahuanhu) se rawayat kiya ki “RASOOLULLAH”(Sallallaahualaihiwasallam) FARMATE hai’n

Tarjuma: Jis ko ALLAH TA’ALA ki taraf say kisi cheez may fazeelat ki khabar pahuchi aur usnay usko tasleem na kiya toh woh shaks us fazeelat say mehroom rehgaya (MA’KHUZAZ FATWA RAZVIYA J-2)

Zubaan se IMAAN ka dawa kar k jo GUMRAH log awaam ko “SHAB-E-ME’RAJ” “SHAB-E-BARAAT” “SHAB-E-QADR” may bay’dar hokar I’BADAT karnay aur Din may ROZA rakhnay say bayja Koshish kartay hai aur yeh kehtay hai ki “NABI-E-KAREEM” nay nahi kiya. “SAHABA-E-KIRAM” ne nahi kiya.Awaam ko MUSHRIK aur BID’ATI karaar dete hai’n unhay chahiye ki “NABI-E-KAREEM” (Sallallahualaihiwasallam) k in tamam FARAMEEN par agar IMAAN rakhte hai toh Khud apna e’htisab kare’n aur BUGZ-O-INAT ka shikar hokar logo’n ko I’BADATO’N say rokna band karay’n.
Jab ki “SHAB-E-ME’RAJ” “SHAB-E-BARAAT” “SHAB-E-QADAR” k ta’lluq say bahit saari HADEESO par AMAL ki targheeb dilayi gai hai jo “U’LMA-E-AHLE SUNNAT” say aap sunte rehte hai uspar AMAL kare’n.

“ALLAH TA’ALA” ki yeh shaan nahi ki MOMINO’N ki I’BADATO’N ko raigha’n kare’n, albatta HUSN-E-NIYYAT shart hai..

In tamam tauzeehat say agar FAZAIL-E-AMAAL ka munkir na maane toh woh khud apnay ghar ki khabar le.Dekhiye “SIRAT-E-MUSTAQEEM URDU, P-132” us k MUSANNAF DEOBANDI aur GAIRMUQALLIDO’N k pehswa “MOLVI ISMAIL DELHVI” hai.

KASHF-O-ISTIKHARA k Ta’lliuq say tareeka bayaan kartay hue likhte hai “Agar inkay shafay matloob haasil na ho toh usi waqt yaani raat k TEESRAY PEHER ko inkay shafay waqya k liye 2 raka’at NAMAZ padhe aur har raka’at may 3 baar SUREH FATIHA, 3 baar AYAT-AL-KURSI aur 15 baar SUREH-IKHLAS us k baad sar sajday may rakhkar nihayat khushu-o-khuz’u k sath HUSUL-U-KASHF k liye 101 baar YA KHABIRO AKHBIRLI  padhe fir so jaye IN SHA ALLAH khwaab may waqiya ka haal zaahir ho jayega”

Ab UN k motaqid aur pairokar AHLE HADEES (dar haqeeqat GAIRMUQALLID) hi bataye agar “NABI-E-KARIM”(Sallallahualaihiwasalam) say kisi makhsoos tareeqay par NAMAZ padhna manqool hi nahi aur na is silsilay may koi HADEES laik-e-aitbar hai to AAP k peshwa “MOULVI ISMAIL DELHVI” nay jo “HUSUL-e-KASHF” k liye NAMAZ padhnay ka makhsoos tareeqa bataya hai “aaya apni marzi say ya “NABI”sallallahualaihiwassalam say koi HADEES is silsilay may marwi hai???

Agar apni rai say yeh tareeqa bayaan faramaye toh zaahir hai ki yah “DEEN-E-MOHAMMADI”(sallallahualaihiwasalam) may 1 nayi cheez ijaad karna aur BID’AT failana hai aur agar is silsilay may koi HADEES marwi hai ??? to phir woh HADEES ZA’OF-O-SAYHAT wagairah digar ausaf k lihaz say is HADEES ki kya rawaiyyat hai aur kya Duniya k tamam “MOHADDISEEN” ka is HADEES par ittifaq hai????

“MAH-E-RAJAB aur SHABAAN” waigairah may “BUZURGAN-E-DEEN” k naam FATIHA aur ISAAL-E-SAWAB kiya jaata hai
Usko b GUMRAH FIRQA SHIRK-O-BID’AT batata hay “YAH DEEN MAY DAKHALANDAZI KARNA HAI  JO KHULI HUI GUMRAHI HAI”

ISAAL-E-SAWAAB HAQUE HAI AUR AHLAY SUNNAT WAL JAMA’AT KI IJMAI AQEEDA HAI ki maiyyat ko uska sawaab pahuchta hai.

“SHAIKH SADRUDDIN ABU ABDULLAH DIMASHQI”(alaihir’rehma) say “REHAMTUL’UMMAH FI IKTHILAFIL A’IMMA” may likhtay hai..

TARJUMA: “Is par ijma hai ki istighfar, dua , sadqa, hajj aur ghulam azad karna maiyat ko nafa deta hai aur unka sawaab maiyyat ko milta hai.”

Aur khud AHLE HADEES (GIARMUQALLID) k “SHAIKH-UL-FIL KUL”???

“MOULVI NAZEER HUSSAIN” nay “FATWA NAZEERIYA J-1, P-564/565” par likhtay hai
“rajayh qaul yeh hai ki ISAAL-E-SAWAB maiyat ko pahuchta hai  chahay woh TILAWAT-E-QUR’AN ho, SADQA KAHIRAT Wagairah ho ya phir BADNI I’BADAT ho maiyyat ko sawaab pahochta hai yahi qaul daleel ki roo say zyada rajayh hai”.

Aur dono GUMRAH JAMA’ATON k MUSHTARIKA MUJADDID ??? “MAULVI ISMAIL DELHVI” nay na sirf yah ki woh FATIHA ko JAIZ kehte hai balki BUZURGO’N k naam FATIHA karne ka HUKUM b dete hai.

“SIRAT-E-MUATQEEM, Press Deoband, Urdu, P-126 likhte hai
“Taalib ko chahiye k ba wazu dozanu baithkar BUZURGO’N yani HAZRAT MOINUDDIN SANJARI aur QUTUBUDDEEN BAKHTAYAR KAKI wagairah k naam FATIHA padhkar BARGAH-E-KHUDAWANDI may un BUZURGO’N k TAWASSUL aur WASEELA say iltija kar k NIYAZ-E_BAYANDAZ ZARI BAYSHUMAR  kartay hue apnay kaam k FATEH BA’AB k liye Dua kar k ZIKR-E-DOZARBI shuru kare”

NOTE: YAHI “SHAH ISMAIL DELHVI” sahab nay APNI KITAB “TAQWIYATUL IMAAN” may WASEELA wagairah ko SHIRK-o-BID’AT qarar day kar WASEELA k QAILEEN ko MUSHRIK bana chukay hai.

Ab un k naam lewa apnay ko GAIRMUQALLID kehlakar ANDHI TAQLEED karnay walay sochey ki khud un k peshwa SHIRK-O-BID’AT ki kis bahayanak daldal me phasay hue hai.

“ALLAH RABBUL’IZZAT”
APNAY “HABEEB”(Sallallahualaihiwasallam) k tufail BA’BARKAT RAATO’N me baydar hokar “APNI” I’BADAT karne ki Taufeeq ATAA FARMAYE.
“AAMEEN SUMMA AAMEEN”
“BIJAH-E-HABEEBIHIL KAREEM”
(Sallallahualaihiwasallam).