Shaadi Ki Pehli Raat
Shaadi karna Sunnat hai aur Islam ka ek hissa hai. Isliye har insaan ko shaadi karni chahiye. Agar koi shaadi nahi kar raha hai ya der se kar raha hai, toh yeh Islam ke khilaf hai. Jin logon ki shaadi hone wali hoti hai, unmein se bahut se logon ke dimaag mein yeh sawal hota hai ke shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tareeka kya hai. Hum yahan pehli raat ke baare mein kuch baatein karenge, lekin yeh baatein sirf Islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiye aur na koi galat comment kariye. Hamara maksad sirf logon ko Islam ka tareeka batana hai jo is baare mein kam jaankari rakhte hain.
Shaadi Ke Baad Pehli Raat Ka Tareeka
Shaadi ke baad jab ladka apne kamre mein jaaye, toh sabse pehle salam kare, kheriyat maalum kare, aur thodi baat karne ke baad ladki ke peshani (forehead) ke baal dheere se haath se pakad kar yeh dua padhe:
Hadees Dekhiye:
Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne irshad farmaya: "Jab koi shakhs nikah kare aur pehli raat (Suhag Raat) ko apni dulhan ke paas jaye, toh narmi ke saath uski peshani ke baal apne haath mein le kar yeh dua padhe:
"Allahumma inni as'alu-ka min khairiha wa khairi ma fiha wa khairi ma jabal-taha 'alaihi wa a'udhu bika min sharriha wa sharri ma fiha wa sharri ma jabal-taha 'alaihi."
Tarfama: "Allah humari shaadi ko kaamyaab kare, humein khushi aur barkat de, aur humein apne Habib Sallallahu Alayhi Wasallam ki Sunnat par amal karne ki taufiq de. Ameen."
(Abu Dawood: Jild 2, Safa 150)
Namaz aur Dua
Agar wuzu na ho, toh wuzu karna zaroori hai, aur phir 2 rakat nafl namaz shukrana padhein. Namaz is tareeqe se padhein ke ladka imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho kar namaz padhe.
Namaz ki niyat: "2 rakat namaz nafl shukrana ki liye Allah Ta'ala ke rukh mein, Kaaba ki taraf, Allaho Akbar."
Namaz ke baad shaadi ke saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada karein aur yeh dua karen: "Aye Allah, humari shaadi ko kaamyaab banaye, aage bhi hansi khushi rakhe, humein nek aur farmabardar aulad de."
Sohbat Ki Dua
Jab ladka aur ladki shaadi ke baad sohbat ke liye ready ho, toh unhe yeh dua padni chahiye:
"Bismillah, Allahumma jannib nash-Shaitana wa janni bish-Shaitana ma razaqtana."
Tarfama: "Allah ke naam se, Aye Allah, hamare beech shaitaan ko door kar de, aur hamari aulad ko shaitaan ke nuksan se bachaye."
(Bukhari Shareef, Jild 3, Safa 85; Tirmizi Shareef, Jild 1, Safa 557)
Galatfehmi Ka Izala
Kuch log samajhte hain ki jab aurat se pehli baar sohbat kiya jaye toh khoon aana zaroori hai. Yeh khoon sirf is liye aata hai kyunki shaadi ke baad ladki ka Parda-e-Ajmat (Hymen) phat jata hai, lekin agar khoon nahi aata, toh isse uski sharafat par shak nahi karna chahiye.
Parda-e-Ajmat kabhi bhi kisi natural wajah se fat sakta hai, aur agar is waqt khoon aata hai, toh yeh is baat ka saboot nahi hai ki ladki badchalan hai. Isliye, jab tak koi sharai saboot na ho, ladki ko aise galatfehmi se bachana zaroori hai.
(Tanwirul Absar, Fatwa-E-Razviya Jild: 12, Safa: 36)
Aakhri Baat
Yeh yaad rakhein ke jo dua "Bismillah, Allahumma jannib nash-Shaitana" hai, woh hamesha padhni chahiye jab bhi shaadi ke baad sohbat ka irada ho. Pehli raat mein peshani ke baal pakad kar dua karna sirf ek martaba karna hai.
(Gunyatuttalebin, Jild 5, Safa 115)
In baaton ko apni shaadi ki pehli raat ke liye apnayein aur hamesha Allah ki madad aur rahmat ke liye dua karein.
5 comments:
Assalamu alaikum
Upar jo masla hai wo bahot ache aur bahot aasan andaz me likha hai
Kisi ki bahot ache rahnumayi ho sakti hai maa shaa allah 👆
Agar book miljaye tu
Inayat hongi
Assalam Walaikum Hazrat
Ye Dono Dua Mujhe Urdu me likh ke bhej dijiye
Hamara Whatsapp no.
7408498180
Ya email address
shansari824@gmail.com
Hai apse guzarish hai ki Ye Dua Mujhe mail ya whatsapp ke Zaria bej dijiye
Qareena e zindagi naam se kitab hai hindi Urdu me har jagah mil jayega
Muafi chahta hun aap ka comment nahi dekha tha main ab agar aap ko chahiye ho Urdu me dua to aap bataiye
Post a Comment