async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 20

Wednesday, November 18, 2015

20

Page 20

Woh jin par touret ka  bujh rakha gaya fir unhone us Se na uthaya un  ka haal  us gadahe ka  sa hai jis par kitabe ladi hon
kya buri misaal hai un  ki jinhone khuda ki ayato jhutlaya aur Allah jalimon ko hidayat nahi karta aur
farmata hai:

Unhe padh kar suna khabar us ki jise hum  ne apni ayaton ka ilm diya tha woh un  Se nikal gaya to shaitan us Ke piche Laga Ke gumrah ho gaya aur hum chahte to us ilm Ke ba.as us Se gire Se utha lete magar woh to zamin pakad gaya aur apni khawahish ka  pairo ho gaya to us ka  haal kutte ki tarah hai to us par humla kare to zaban nikal kar haanpe aur chodh de haanpe  ye un ka haal hai jinhone humari ayaten jhutlayen to humara ye irshad bayan kar ye shayad log sochen kya bura haal hai un  ka  jinhone humari ayate jhhutlayi aur apni hi jaano par sitam dhate  the jis Se khuda hidayat.
Kare wahi rah PAYE aur jise gumrah kare to wahi sarasar nuqsaan me hain

Yani hidayat kuch ilm par nahi khuda Ke ikhteyar hai!
Ye ayaten  hai aur hadisen Jo gumrah Aalimon ki muzammat me hain un ka to ye shumar hi nahi yahan tak  Ke ek hadis me hai. duzakh Ke farishte but parasto Se pehle unhe pakdenge ye kahenge  kya hum  but poojne walon Se bhi pehle lete
To jawab milega

Janne wale aur anjan  barabar nahi

No comments:

Post a Comment