async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: Eid e Miladun nabi hum kyu manate hai kya quran ya Hadis me ye likha hai..?? 

Thursday, November 19, 2015

Eid e Miladun nabi hum kyu manate hai kya quran ya Hadis me ye likha hai..?? 


????Eid e Miladun nabi hum kyu manate hai kya quran ya Hadis me ye likha hai..?? 

????Pehle yeh jaan lain ke ahl-e-sunnat k nazdeek eid milaad un Nabi manana koi farz ya wajib nahi, yeh aik MUSTAHAB amal hai, jo kare usko Sawab milega aur jo nahi manata usper koi gunah nahi.

????Ab baat yeh aati hai k kya ISLAM humain ijazat deta hai Eid milaad-un-nabimanane ki, ya nahi,

????Iska jawab yeh hai k

Quran-o-hadees ki roshni main Eid-MilaadUn nabi SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM manana bilkul jaiz hai,koi bhi dosre maslake ka aalim aaj tak sharai daleel milaad k HARAM ya najaiz hone ki na aaj tak laa saka hai na la sakey ga.

????Aaiye dekhte hain k Quran aur hadees ki roshnimain milaad manana kaisa

????Quran mainHazoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Ko tamaam jahano k liye Rehmat kaha gaya

(????SuraAmbiya:107)

Aik aur jaga Quran main irshad hua:"ALLAH TA'ALA ki atta kar darehmaton ka khoob charcha karo"

(SuraYounus:58)

Lehaza yeh sabit hua k ALLAH ne Sarkar SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ko tamaam jahano k liye rehmat banaker bheja,aur dusri ayat main khud Allah hi ne farmaya k ALLAH ki atta kerdarehmaton ka khoob charcha karo.

Lehaza yeh sabit hua k milaad mananajayez hai.

????Aik aur sawal jo badAqeeda logo ka hota hai tou wo yeh k milaad main jo kiya jaata hai jaise jaloos nikalna, jhande Lehraana, naatain pedhna yeh quran-o-hadis se sabit nahi ?

???? Iska jawab yeh hai k

Quran-o-hadees se yeh bhi sabit hai,

ALLAH TA'ALA ne Quran main wo waqaya bayan farmaya jab Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ka zikr kiya gaya tou tamaam ambiya ko ikattha kiya gaya aur Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki sifaat ALLAH TA'ALA ne Ambiya ko ikattha kar k KHUD bayan fermayi.(Sura Al-Imran:81)

????Lehaza yeh sabit hua k logoko ikattha kr k HUZOOR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki sifaat bayan karna Quran se sabithai.

MILAAD MAIN JHANDE LAHRANE KA SABOOT

????Hadees Shareef main Aata hai k jab SARKAR SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM Madina shareef main dakhil huye to Aap k hath main sabz jhanda tha,

(????Wafa al wafa,Vol:1, Pg:243)

AAQA kareem SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM har peer shareef ko roza rAkh ker apna yaom-e-wiladat manate"

(????Jamei-ul-Tirimzi V:2 Hadees:745)

Es killawa Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki Paida-ish per Hazrat Jibraeel ALAIHISSALAM ne jhande Gaade,(????Khasais Alqubra,Vol:1, Page:82)

MILAAD PR NAAT PADHNE KA SABOOT

????Hadees main hai k aik SAHABI ney arz ki k mujhe Huzoor SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM ki wo waali naat sunao jo Taorait main hai"

(????Mishkaat shareef, babulfazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)

Is k ilawa badaqeeda yeh sawal boat common kerte hain,

????KYA SAHABA NE KABHI MILAAD MANAYA

Tou yeh jaan lain k sahaba ney bhi milaad manaya jis k hawale yeh hain,

????Hazrat Usman RADIALLAHO ANHU Ne Farmaya"Jo milaad per aik dir-ham kharch karega usko badr k shohda jitna sawab millega

HazratUmar RADIALLAHO ANHU ne farmaya:"Jissne milaad ki Tazeem ki usne deen ko zinda ker dia"

????Hazrat Abu Bakr Siddeeq RADIALLAHO ANHU ne Farmaya:"Wo shaks jannat main mere sath hoga jis ne milaad per aik dir-ham bhi kharch kiya"

????Hazrat Ali RADIALLAHO ANHU ne Farmaya:"Milaad manane wala duniya se Iman ki ne'mat lekar jayega, aur bila hisab jannat main dakhilhoga"

References of Sahaba

(????Ibn-e-Kaseer,

????Maulid-ul-MUSTAFA, Page:29-30)

(????Al-Mustadrak, Pg:327, vol:3)

(????Khasais UlQubra, Page:97, vol:1)

(????Anwar-ul- Muhammadiya, Pg:62)

(????Ibn-e-Kaseer,vol:4, Pg:321)

(Al-Mustadrak, Vol:2,Hadees:4174)

Na Raees Hu Na Ameer Hu,

Na Mai Badshah Na Wazir Hu,

Tera Ishq Hai Meri Saltanat,

Usi Saltanat Ka Faqeer Hu,

Aye JAMAL-E-AHMED-E-MUSTAFA

Huzoor ﷺ (Sallallahu Alayhi Wasallm)

Teri Roshni Ka Aseer Hu,

Mujhe Bakhsh De Mere KHUDA,

Main To MADINE Ka Faqeer Hu!!!!

No comments:

Post a Comment