∗ Eid-e-Miladun Nabi Mubarak Kyu Manate hai? ….
12 Rabiul Awwal Sharif ka wo Mubarak Din hai jisme Aaftab-e-Risalat ne Tulue hokar tamam Duniya ko apni Roshni se Munawwar kar diya. Farjandane Tohid iss Din ko yaad karke Dili khushi ka izhar karte hai. Sham-e-Risalat ke parwane Sarwar-e-Qaynat Ki Muqaddas Sirat, Fazail wa kamalat, Humdo Naat ke Purkaif nagmo se apne Dilo ko Munawwar karke Rub Tala ka Shukriya Karte hai aur Apne Aaqa Ke Darbar me Dilse Durood-o-Salaam pesh karke sa’adat Darren hasil karte hai.
Lekin baj aise Badnasib bhi hai jo Wiladat-e-Rasool par khushi ki iss badi sa’adat se Mehrum hai aur Dusre Musalmano ko bhi Mehrum Karne ki Koshish karte hai.
Quran-e-Muqaddas me Allah irshad farmata hai,
“Yad dilao Unhe Allah tala ke din” -: (Surah Ibrahim)
Issi aayat ke tehat Hazrat Abdullah Bin Abbas farmate hai ke “Ayyamullah se Murada wo din hai jinme Allah Ta’ala ne Apne Bando par inaam aur nemato ki barish farmayi”.
Toh Yakinan Rehmat-e-Aalam ki wiladat se badh kar aur kya neamat ho sakti hai.
Sahibe Tafsire Ruhool bayan farmate hai ki, “Milad Sharif Karna bhi Rasool-e-Akram ki TaZim hai”
-: (Jild 5, Safa 661)
Beshak Milad-e-Mustfa Shab-e-Eid, Shab-e-Meraj, Shabe-Barat yaha tak ke Lailatul Qadra se bhi Afzal hai. Kyunki ye sub Raatein Huzoor hi ke Sadqe aur Tufail me Hum Musalmano ko nasib hui hai. Khushi jahir karne ka waqt Lailatul Qadra he toh Huzoor ke juhnor ka waqt Eid-e-Milad hai. Milaudun Nabi ka Sabut Quran-e-Pak me Para-3, Ruku-16 me bhi saf maujud hai. Jo iska inkar karte hai wo Quran ke Munkir hai.
Allah pak Musalmano ko Milad-e-Mustfa ke tufail har gumrahi se mehfooz rakhe. Aur hum subko Humare Pyare Aaqa Ki Pyari Sunnato par amal karne ki tofik ata farmaye. Allah tala is Mubarak Din Ke Sadke aur tufail hum subki pareshaniya dur farmaye.
Aameen
(Ek Martba Durud-E-Paak Padhe)
No comments:
Post a Comment