Page 13
Har shakhs ko kisi na kisi aisi baat ka ilm hota hai jo dusre shakhs se makhfi hai to chahiye ke sab ko aalim ul gaib kaha jaye fir agar zaid iska iltezaam kar le ke han mai sab ko aalim ul gaib kahunga to fir ilm e gaib ko min jumla kamaalate nabiyon sumaar kyu kiya jata hai jis umr momin balke insaan ki bhi khususiyat na ho wo kamalate nabuwat se kab ho sakta hai aur agar iltezaam na kiya jawe to nabi gair nabi me wajahe fark bayaan karna zaroor inteha kya rasoollallah sallallahu alaihi wasallam aur jaanwaron paaglo me fark na janne wala Huzoor ko gaali nahi deta kya usne Allah az-wa-jal ke kalaam ka sarahan radd wal bataal na kar diya dekho
Tumhaara rabb az-wa-jal farmata hai
Aye nabi Allah ne tumko sikhaya jo tum na jante the aur Allah ka fazl tum par bara hai/
yahan na malum baaton ka ilm ata farmane ko Allah az-wa-jal ne apne habib ke kamaalat aur madayeh me sumaar farmaya aur farmata hai
Beshak yakub hamare sikhaye se ilm wala hai "
Aur farmata hai ,
Malaika ne ibrahim alaihissalam ko ek ilm wale ladke ishaak alaihissalam ki basharat di "
Farmata hai ,
Hamne khizr ko apne paas se ek ilm sikhaya. wagairah, ayaat jinme Allah ta'ala ne ilm ko kamaalate anmbiya me gina ab zaid ki jagah Allah az-wa-jal ka naam e paak lijiye aur ilm e gaib ki jagah matlake ilm jiska har choupate ko milna aur bhi jaahir hai aur dekhiye ke is badgoi Mustafa sallallahu alaihi wasallam ki taqrir kis tarah kalamullah az-wa-jal ka radd kar rahi hai yaani ye bad goo khuda ke mukaabil khada ho kar Kah raha hai ki ap yaani nabi sallallahu alaihi wasallam aur digar annbiya alaihissalam ki zaat e moqaddasa par ilm ka itlaaq kiya jaana agar ba qoul e khuda sahi ho to dariyafat talabiye amar hai ki is ilm se muraad baaz ilm hai ya qul ulum agar baaz ulum muraad
No comments:
Post a Comment