Page-003...
Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai:-
"Aye Nabi Beshak Hum Ne Tumhe Bheja Gawah amAur Khushkhabri Deta Aur Darr Sunata Ke Aye Logo Tum Allah Aur Uske Rasool Par Imaan Lao Aur Rasool Ki Tazeem Aur Tauqeer Karo Aur Subah Shaam Allah Ki Paaki Bolo"
Musalmano Dekho Deen-E-Islam Bhejne Quran Utaarne Ka Maqsood Hi Tumhara Moula Tabarak-Ta'ala 3 Baatein Bataata Hai; Awwal Ye Ke 'Log Allah Aur Rasool Par Imaan Laye', Duwwam Ye Ke 'Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Kare', Suwwam Ye Ke 'Allah Tabarak-Ta'ala Ki Ibaadat Mein Rahein'..
Musalmano In Teeno Jaleel Baat'on Ki Jameel Tarteeb To Dekho,
Sabse Pehle Imaan Farmaya Aur Sabse Pichhe Apni Ibaadat Ko Aur Bich Mein Apne Habeeb {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Ko Isiliye Ke Bagair Imaan Tazeem Kar-aamad Nahi Bahutere Nasaara Hai Ke Nabi-E-Kareem {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Aur Takreem Aur Huzoor Par Se Dafaa Etaraazaat Ka Faraane Laeem Mein Tasneef e Kar Chuke, Lekcher De Chuke Magar Jabki Imaan Na Laye Kuch Mufeed Nahi Ke Ye Zahiri Tazeem Hui Dil Mein Huzoor-E- Aqdas {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Sachchi Azmat Hoti To Zaroor Imaan Laate,
Phir Jab Tak Nabi Kareem {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Sachchi Tazeem Na Ho, Umr Bhar Ibaadat-E-Ilaahi Mein Guzaare Sab Bekaar Hai Aur Mardud Hai Bahutere Jogi Aur Rahib Tarke Duniya Kar Ke Apne Taur Par Zikr Aur Ibaadat-E-Ilaahi Mein Umr Kaat Dete Hai Balki Inmein Bahut Woh Hain Jo lailaha illallah Ka Zikr Sikhte Aur Zarbe Lagate Hai Magar Az'anja Ke Muhammad Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ki Tazeem Nahi, Kya Faida Asalan Qabil-E-Qubool Bargah-E-Ilaahi Nahi Allah Azwa-jal Aiso'n Hi Ko Farmaata Hai;
Jo Kuch Aamal Inhone Kiye Hum Ne Sab Barbad Kar Diye Aise Hi Ko Farmaata Hai.
Amal Karein
No comments:
Post a Comment