Page 12
Khaas sifat hui jis ko khudai lazim hai jab to nabi ke liye uska manne wala kafir mushrik hua aur usne wahi was'at wahi sifat khud apne muh iblees ke liye sabit mani to saaf saaf shaitan ko khuda ka sharik thahra diya| musalmano kya ye Allah az-wa-jal aur uske rasool sallallahu alaihi wasallam dono ki touhin na hui zaroor hui|
Allah ki touhin to zahir hai ke uska sharik banaya aur woh bhi kise iblees lain ko! aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki touhin yun ke iblees ka martaba itna badha diya ke woh to khuda ki khas sifat me hisse dar hai aur ye isse aise mahroom ke unke liye sabit maano to mushrik hojao? musalmano kya khuda aur rasool ki touhin karne wala kafir nahi zaroor hai |
Kya jisne kaha ke baaz ulum e gaibiya muraad hai to usme Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki kya takhsis hai aisa ilm e gaib to zaid aur umr balke har sabi aur majnoon bakle jami haiwanaat bahaayem ke liye bhi hasil hai
Kya usne Mohammad rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ko sarih gaali na di ?
Kya nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ko itna hi ilm e gaib diya gaya tha jitna har paagal aur choupaye ko haasil hai |
Musalman musalman? Ae Mohammad Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke ummiti? Tujhe apne deen aur imaan ka waasta , kya is na-paak mal'un gaali ke sarih gaali hone me tujhe kuchh shubah guzar sakta hai , maazAllah ke Mohammad Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki azmat tere dil se aisi nikal gai ho ke us sadid gaali me bhi unki touhin na jaane aur agar ab bhi tujhe aitabar na aaye to khud un hi bad goyo se puchh dekh ke aaya tumhe aur tumhare ustaadon pirjiyon ko kah sakte hain ke aye fala tujhe itna hi ilm hai jitna suwar ko hai tere ustaad ko aisa hi ilm tha jaise kutte ko hai tere pir ko isi qadr ilm tha jis qadr gadhe ko hai ye mukhtasar tour par itna hi hoke us ilm me ullu gadhe kutte suwar ke ham safar dekho to woh usme apni aur apne ustaad pir ki touhin samjhte hain ya nahi kat'an samjhenge aur kaabu paaye to sar hojaye fir kya sabab hai ki jo kalma unke haqq me touhin aur qasre shaan ho Mohammad rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki touhin na ho kya unki azmat unse bhi gai guzri hai kya isi ka naam imaan hai?
Haash-Allah kya jisne kaha kyuke
No comments:
Post a Comment