Showing posts with label HIQAYAT. Show all posts
Showing posts with label HIQAYAT. Show all posts

Saturday, July 23, 2016

HAZRAT JAABIR RADIALLAHO TA AALA ANHO KA MAKAAN AUR EK HAZAAR MEHMAAN

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 12

HAZRAT JAABIR RADIALLAHO TA AALA ANHO KA MAKAAN AUR EK HAZAAR MEHMAAN➡

Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho ne jung e khandak ke dino mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ke shikam e anwar par patthar bandha dekha to ghar aakar apni biwi se kaha ki kya ghar mein kuch hai taaki hum Huzoor salallaho alaihi wasallam ke liye kuch pakaayein aur Huzoor ko khilaayein ? biwi ne kaha : thode se jau hain aur ye ek bakri ka chota baccha hai , isey zabah kar lete hain , aap Huzoor salallaho alaihi wasallam ko bula laaiye , chunki wahaan lashkar bahut zyada hai isliye Huzoor se poshidgi mein kahiyega ki wo apne humraah dus aadmiyon se kuch kam hi laayein , Hazrat Jaabir ne kaha : accha to lo main is bakri ke bacche ko zabah karta hoon tum isey pakao , main Huzoor ko bula laata hoon. Chunanche Hazrat Jaabir Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein pahunche to kaan mein arz kiya Huzoor mere yahaan tashreef le chaliye aur apne saath dus aadmiyon se kuch kam aadmi le chaliye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne saare lashkar ko mukhatib hokar farmaya chalo mere saath chalo , Jaabir ne khana pakaya hai. Phir Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho ke ghar aakar Huzoor salallaho alaihi wasallam ne us thode se aate mein apna thook mubaraq daal diya , isi tarah handiya mein bhi apna thook mubaraq daal diya , phir huqm diya ki ab rotiyaan aur handiya pakao. Chunanche us thode se aate aur gosht mein thook mubaraq ki barkat se itni barkat paida huyi ki ek hazaar aadmi khana khaa gaye magar na koi roti kam huyi aur na koi boti.

Sabaq : Ye Huzoor salallaho alaihi wasallam ke thook mubaraq ki barkat thi ki thode se khaane mein itni barkat paida ho gayi ki hazaar aadmi sair shikam hokar khaa gaye lekin khaana badastoor waise ka waisa hi raha , kam na hua. Ye Huzoor salallaho alaihi wasallam ki thook mubaraq hai , jo unki misl bashar banne waale hain wo agar kabhi apne ghar ki handiya mein bhi thookein to unki biwi hi wo handiya baahar phenk degi aur koi khaana khaane ko tayyar na hoga , goya unke thookne se thode bahut khaane se bhi gaye.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

SAANP KA ANDAA

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 11

SAANP KA ANDAA➡

Ek sahabi Hazrat Habibullah bin Fadeek radiallaho ta aala anho kahin jaa rahe the ki unka paanw ittefaqan ek zehreele saanp ke ande par padh gaya aur wo pis gaya , uske zeher ke asar se Hazrat Habibullah bin Fadeek radiallaho ta aala anho ki aankhein bilkul safed ho gayi , nazar jaati rahi , ye haal dekhkar unke waalid bahut pareshaan huye aur unhe lekar Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ki kidmat mein pahunche. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne saara kissa sunkar apna thook mubaraq unki aankhon mein daala to Hazrat Habibullah bin Fadeek radiallaho ta aala anho ki andhi aankhen fauran roshan ho gayi aur unhein nazar aane laga. Raawi ka bayaan hai ki maine khud Hazrat Habibullah bin Fadeek ko dekha , us waqt unki umr 80 saal ki thi aur aankhen to unki bilkul safed thi magar Huzoor salallaho alaihi wasallam ke thook mubaraq ke asar se nazar itni tez thi ki sui mein dhaaga daal lete the.

(Dalail Ul Nubuwwa safa 167)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki misl banne waalon ke liye maqam e gaur hai ki Huzoor wo hain jinke thook mubaraq se andhi aankhon mein binaai aur noor paida ho jaaye aur ek ye log hain ki inke thook ke mutalliq railgaadiyon mein ye likha hota hai ki thooko mat issey beemari failti hai , phir marz aur shifa dono barabar kaise ho sakte hain.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

BAKRI ZINDA HO GAYI

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSATAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 10

BAKRI ZINDA HO GAYI➡

Jung e Ahzaab mein Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho ne Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ki daawat ki aur ek bakri zibah ki , Huzoor salallaho alaihi wasallam jab sahaba e qiraam ke saath Hazrat Jaabir ke ghar pahunche to Hazrat Jaabir ne khaana laakar aage rakha , khaana thoda tha aur khane waale zyada the. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : thode thode aadmi aate jaao aur baari baari khaana khaate jaao. Chunanche aisa hi hua ki jitne aadmi khaana khaa lete wo nikal jaate , isi tarah sabne khaana khaa liya. Hazrat Jaabir radiallaho ta aala anho farmate hain ki Huzoor salallaho alaihi wasallam ne pehle hi farma diya tha ki koi shaksh gosht ki haddi na tode , na phenke , sab ek jagah rakhte jaayein jab sab khaa chuke to aapne huqm diya ki choti moti sab haddiyan jama kar do , jama ho gayi to aapne apna dast e mubaraq un par rakh kar kuch padha aapka dast e mubaraq abhi haddiyon ke upar hi tha aur zabaan e mubaraq se aap kuch padh hi rahe the ki wo haddiyan kuch ka kuch banne lagi , yahaan tak ki gosht posht tayyar hokar kaan jhaadti huyi wo bakri uth khadi huyi, Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Jaabir ! Le ye apni bakri le jaa.

(Dalail Ul Nubuwwa jild 2 , safa 224)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam mamba ul hayaat aur hayaat baksh hain , aapne murda dilon aur murda jismon ko bhi zinda farma diya , phir jo log Huzoor ko mar kar mitti mein milne waala kehte hain kis qadar jaahil aur be deen hain.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

BAAL MUBARAK KA KAMAAL

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 9

BAAL KA KAMAAL➡

Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ki reesh mubaraq ke do baal mubaraq Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ko mil gaye , aap un do baalon ko bataur tabarruq ghar le aaye aur badi taazeem ke saath andar ek jagah rakh diye , thodi der ke baad andar se Quran Sharif padhne ki aawazein to aa rahi thi , magar padhne waale nazar naa aate the. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein haazir hokar saara kissa arz kiya to Huzoor ne muskurakar kaha : ye farishte hain jo mere baal ke pass jama hokar Quran Sharif padhte hain.

(Jaami Ul Mojizaat safa 62)

Sabaq : Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam ka har baal mamba ul kamaal hai , aapka baal sharif zyaaratgaah e khalaaiq hai , phir jin logon ke baal moond kar naai naaliyon mein phenk deta hai , wo agar Huzoor ki misl hone ka daawa karne lage to kis qadar zulm hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

HAZRAT E KHAALID KI TOPI

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 8

HAZRAT E KHAALID KI TOPI➡

Hazrat Khaalid bin waleed radiallaho ta aala anho jo Allah ki talwaron mein se ek talwar the , aap jis maidaan e jung mein tashreef le jaate , apni topi ko zaroor sar par rakhkar le jaate aur hamesha fateh hi paakar lautte , kabhi shikasht ka munh na dekhte. Ek martaba Jung e Yarmook mein jabki maidaan e jung garm ho raha tha Hazrat Khaalid radiallaho ta aala anho ki topi gum ho gayi , aapne ladna chodkar topi ki talaash shuru kar di , logon ne jab dekha ki teer aur patthar baras rahe hain , talwar aur neza apna kaam kar rahe hain , maut saamne hai , is aalam mein Hazrat Khaalid ko apni topi ki padi huyi hai . Wo usi ko dhoondne mein masroof ho gaye hain , to unhone Hazrat Khaalid se kaha : janaab topi ka khayaal chodiye , aur ladna shuru kijiye. Hazrat Khaalid radiallaho ta aala anho ne unki is baat ki parwaah na ki aur topi ki badastoor talaash shuru rakhi , aakhir topi unko mil gayi to unhone khush hokar kaha bhaaiyon! jaante ho mujhe ye topi kyon itni ajeez hai ? jaan lo maine aaj tak jo jung bhi jeeti isi topi ke tufail , mera kya hai , sab isi ki barkatein hain. Main iske bagair kuch bhi nahi , agar ye mere sar par ho to phir dushman mere saamne kuch bhi nahi , logon ne kaha : aakhir is topi mein kya khoobi hai ? Farmaya : ye dekho is mein kya hai , ye Huzoor salallaho alaihi wasallam ke sar e anwar ke baal mubaraq hain jo maine isi mein see rakhe hain. Huzoor salallaho alaihi wasallam ek martaba umrah bajaa laane ko Baitullah Sharif tashreef le gaye , sar e mubaraq ke baal utarwaaye to us waqt hum mein se har ek shaksh baal mubaraq lene ki koshish kar raha tha , to maine bhi isi koshish mein aage badhkar chand baal mubaraqa haasil kar liye the , phir isi topi mein see liye , ye topi ab mere liye jumla barkaat o futuhaat ka zariya hai , main isi ke sadqe mein har maidaan ka faateh bankar lauta hoon , phir batao ye topi agar na milti to mujhe chain kaise aata.

(Hujjatallah ul Aalameen safa 686)

Sabaq : Huzoor Sarwar e Aalam salallaho alaihi wasallam hi jumla barkaat o inaamaat ka zariya hain , aapka baal sharif barkat o rehmat hai . Ye bhi maaloom hua ki sahaba e qiraam Huzoor salallaho alaihi wasallam se mutalliq ashiyaa ko bataur tabarruq apne pass bhi rakhte the , jiske pass aapka baal mubaraq hota Allah ta aala usey kaamyaabiyon se sarfaraaz farmaata tha.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

RUKANA PAHELWAAN

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 7

RUKANA PEHELWAAN➡

Bani haashim mein ek mushrik shaksh Rukana naami bada zabardast pehelwaan tha . Uska record tha ki usey kisi ne na giraya tha , wo ek jungle mein jisey izam kehte the raha karta tha , bakriyaan charata tha aur bada maaldar tha . Ek din Huzoor salallaho alaihi wasallam akele us taraf jaa nikle , rukana ne aapko dekha to aapke pass aakar kehne laga Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam ) ! Tu hi wo hai jo hamare laat wa ujja ki tauheen o tehkeer karta hai , apne ek khuda ki badaai bayaan karta hai ? agar mera tujhse talluq rehmi na hota to aaj main tujhe maar daalta (Maazallah). Aa mere saath kushti kar , tu apne khuda ko pukaar , main apne laat o ujja ko pukarta hoon , dekhein to tumhare khuda main kitni taaqat hai ? Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Rukana ! agar kushti hi karna hai to chal main tayyar hoon, rukana ye jawab sunkar awwal to hairaan hua aur phir bade guroor ke saath muqaable mein khada ho gaya.
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne pehli hi jhapat mein usey gira liya aur uske seene par chadkar baith gaye , rukana umar mein pehli martaba girkar bada sharminda hua aur hairaan bhi , bola : Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam) ! mere seene se uth khada ho, mere laat o ujja ne meri taraf dhyaan nahi kiya , ek baar aur mauqa do , doosri martaba kushti ladein , Huzoor seene se uth khade huye aur dobara kushti ke liye rukana bhi utha . Huzoor salallaho alaihi wasallam ne doosri martaba bhi rukana ko pal bhar mein gira liya . Rukana ne kaha : Are Mohammad (salallaho alaihi wasallam) ! Mujhe maaloom hota hai ki mera laat o ujja mujh par naaraz hai aur tera khuda teri madad kar raha hai , khair ek martaba aur aao , abki dafa laat o ujja zaroor meri madad karenge . Huzoor salallaho alaihi wasallam ne teesri dafa ki kushti bhi manzoor farmayi , teesri martaba bhi usey pachaad diya , ab to rukana bada hi sharminda hua aur bola : Ae Mohammad (salallaho alaihi wasallam)! Meri un bakriyon se jitni chahe bakriyaan lelo. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : rukana mujhe tumhare maal ki zaroorat nahi , haan ! musalmaan ho jaao taaki jahannam se bach jaao , wo bola : Ya Mohammad salallaho alaihi wasallam musalmaan to ho jaaoon magar nafs jhijhakta hai ki madina aur nawaah ki aurtein aur bacche kya kahenge , itne bade pehelwaan ne shikasht khayi aur musalmaan ho gaya.....

Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : tera maal tujhi ko mubaraq , ye kehkar aap waapas tashreef le aaye . Idhar Hazrat Abu Baqr Siddique aur Hazrat Umar Faaroque radiallaho ta aala anhuma aapki talaash mein the aur ye maaloom karke ki Huzoor salallaho alaihi wasallam waadi e izam ki taraf tashreef le gaye hain , bechain the ki us taraf rukana pehelwaan rehta hai , mubaada Huzoor ko izaa de . Huzoor salallaho alaihi wasallam ko waapas tashreef laate dekhkar dono Huzoor ki khidmat mein haazir huye aur arz kiya Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam aap udhar akele kyon tashreef le gaye the ? jabki us taraf rukana pehelwaan jo bada zor aawar aur dushman e islam hai rehta hai . Huzoor ye sunkar muskuraaye aur farmaya : jab mera Allah har waqt mere saath hai phir kisi rukana ki kya parwaah , lo us rukana ki pehelwaani ka kissa suno ! Chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam ne saara kissa sunaya , Hazrat Siddique e Akbar aur Hazrat Farooque e Aazam radiallaho ta aala anhuma sun sunkar khush hone lage aur arz kiya : Huzoor wo to aisa pehelwaan tha ki aaj tak usey kisi ne giraya hi na tha, usey girana Allah ke Rasool hi ka kaam hai .

(Abu Daawood jild 2 safa 206)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam har fazl o kamaal ke mamba'a o makhzan hain . Duniya ki koi taaqat Huzoor ke muqaable mein nahi theher sakti , mukhalifeen ke dil bhi Huzoor ke fazl o kamaal ko jaante hain , lekin duniya ke khauf se uska iqraar nahi karte .

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

EK JANTAR MANTAR SE ILAAJ KARNE WAALA

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 6

EK JANTAR MANTAR SE ILAAJ KARNE WAALA➡

Kabeela e Azdashnoot mein ek shaksh tha, jiska naam zamaad tha , wo apne jantar mantar se logon ke jinn bhoot wagairah ke saaye utara karta tha. Ek martaba wo makka moazzama mein aaya to baaz logon ko ye kehte suna ki Mohammad salallaho alaihi wasallam ko jinn ka saaya hai ya junoon hai , zamaad ne kaha : main aise beemaron ka ilaaj apne jantar mantar se kar leta hoon. Mujhe dikhaao wo kahaan hain ? wo usey Huzoor salallaho alaihi wasallam ke pass le aaye. Zamaad jab Huzoor ke pass baitha to Huzoor ne farmaya : Zamaad! apna jantar mantar phir sunana , pehle mera kalaam suno , chunanche aapne apni zabaan e haq se ye khutba padhna shuru kiya :
Alhamdolillahi nahmaduhu wa nastainuhu..........Mohammadan abduhu wa rasooluhu
Zamaad ne ye khutba e mubaraq suna to mabhoot reh gaya , arz karne laga Huzoor salallaho alaihi wasallam ek baar phir padhiye , Huzoor ne phir yahi khutba padha ! Ab zamaad (wo zamaad jo saaya utaarne aaya tha uska apna saaya e kufr utarta hai dekhiye) na reh saka aur bola :
Khuda ki qasam! Maine kai kaahino , saahiron , aur shaairon ki baatein suni lekin jo aapse maine suna hai ye to maan'an ek behre zakh khaar hai . Apna haath badhaiye main aapki baiat karta hoon . Ye kehkar musalmaan ho gaya , Jo log usey ilaaj karne ke liye laaye the hairaan o pareshaan waapas firey.

(Muslim jild 1 safa 320)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam ki zabaan e haq tarjmaan mein wo taseer e paak thi ki bade bade sang dil mom ho jaate the. Ye bhi maaloom hua ki hamare aaqa ko jo log saahir o majnu kehte the darasal wo khud hi majnu the. Isi tarah aaj bhi jo shaksh Huzoor salallaho alaihi wasallam ke ilm o ikhtiyaar aur aapke noor e jamaal ka inqaar karta hai wo darasal khud hi jaahil , syaah dil aur syaah rooh hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

MUQADDAS QAATIL

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

PEHLA BAAB

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO.5

MUQADDAS QAATIL➡

Makka Moazzama mein ek kaafir waleed naami rehta tha , uska ek sone ka but tha jisey wo pooja karta tha. Ek din us but mein harkat paida huyi aur wo bolne laga. Us but ne kaha : logon! Mohammad Allah ka rasool nahi hai , uski hargiz tasdeek na karna. Waleed bahut khush hua aur baahar nikalkar apne doston se kaha : mubarqbaad! aaj mera maabood bola hai. Saaf saaf usne kaha hai ki Mohammad salallaho alaihi wasallam Allah ka rasool nahi hai. Ye sunkar log uske ghar aaye to dekha ki waaqai uska but ye jumle dohra raha hai. Wo log bhi bahut khush huye. Doosre din ek aam aelaan ke zariye waleed ke ghar mein ek bahut bada ijtema ho gaya taaki us din bhi log but ke munh se wahi jumla sunein. Jab bada ijtema ho gaya to un logon ne Huzoor salallaho alaihi wasllam ko bhi daawat di taaki Huzoor khud bhi tashreef laakar but ke munh se wahi bakwaas sun jaayein. Chunanche Huzoor salallaho alaihi wasallam bhi tashreef laaye , jab Huzoor tashreef laaye to but bol utha : Ae makka waalon ! khoob jaan lo ki Mohammad salallaho alaihi wasallam Allah ke sacche Rasool hain , inka har irshaad saccha hai aur inka deen barhaq hai. Tum aur tumhare but jhoote , gumrah aur gumrah karne waale hain. Agar tum is sacche Rasool par imaan na laaoge to jahannam mein jaaoge. Pas aqalmandi se kaam lo aur isi sacche Rasool ki gulaami ikhtiyaar kar lo.
But ka ye waaz sunkar waleed bada ghabraya aur apne maabood ko pakadkar zameen par de maara aur uske tukde tukde kar diye.
Huzoor salallaho alaihi wasallam faatehana taur par waapas huye to raaste mein ek ghudsawaar jo sabzposh tha Huzoor se mila. Uske haath mein talwar thi jissey khoon beh raha tha. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : tum kaun ho? wo bola Huzoor! Main jinn hoon aur aapka gulaam aur musalmaan hoon. Jabal e toor par rehta hoon , mera naam muheen bin al abhar hai , main kuch dino ke liye kahin baahar gaya hua tha , aaj ghar waapas aaya to mere ghar waale ro rahe the , maine wajah daryaaft ki to maaloom hua ki ek kaafir jinn jiska naam musfir tha wo makka mein aakar waleed ke but mein ghuskar aapke mutalliq bakwaas kar gaya hai aur aaj phir gaya hai taaki phir but mein ghuskar aapke mutalliq bakwaas kare. Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam mujhe sakht gussa aaya , main talwar lekar uske peeche dauda aur usey raaste mein hi qatl kar diya aur phir main khud waleed ke but ke andar ghus gaya, aaj jis qadar takreer ki hai maine hi ki hai ya rasoolallah!
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne ye kissa suna to aapne badi masarrat ka izhaar kiya aur is apne gulaam jinn ke liye dua farmaayi.

(Jaami Ul Mojizaat safa 7)

Sabaq: Hamare aaqa jinno ke bhi Rasool hain. Huzoor salallaho alaihi wasallam ki shaan e paak ke khilaaf sunne sunane ke liye koi jalsa karna ye waleed jaise kaafir ki sunnat hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT ⚔⚔

IBLEES KA POTA

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 4

IBLEES KA POTA➡

Behaqi mein Ameer ul Momineen Hazrat Umar Faaroq radiallaho ta aala anho se riwayat hai ki ek roz hum Huzoor salallaho alaihi wasallam ke humraah Tihaama ki ek pahadi par baithe the ki achaanak ek budha haath mein asaa liye huye Huzoor salallaho alaihi wasallam ke saamne haazir hua aur salaam arz kiya. Huzoor ne jawaab diya aur farmaya : iski aawaz jinno ki si hai , phir aapne usse daryaaft kiya tu kaun hai ? Usne arz kiya : main jinn hoon. Mera naam Haama hai , beta Heem ka aur Heem beta Laakis ka aur Laakis beta Iblees ka hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : to goya tere aur iblees ke darmiyaan sirf do pushtein hain. Phir farmaya : accha! Ye batao tumhari umr kitni hai ? Usne kaha : Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam jitni umr duniya ki hai utni hi meri hai kuch thodi si kam hai. Huzoor salallaho alaihi wasallam jin dino kaabeel ne haabeel ko qatl kiya tha us waqt main kai baras ka baccha hi tha magar baat samajhta tha. Pahadon mein daudta phirta tha. Logon ka khaana aur galla chori kar liya karta tha. Logon ke dilo mein waswase bhi daal leta tha ki wo apne khwesh o aqraba se badsulooki karein.
Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : tab to tum bahut bure ho, usne arz ki huzoor mujhe malaamat na farmaiye. Isliye ki ab main Huzoor salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein tauba karne haazir hua hoon. Ya Rasoolallah salallaho alaihi wasallam maine Hazrat Nooh alaihissalaam se mulaqaat ki hai. Ek saal tak unke saath unki masjid mein raha hoon. Isse pehle main unki baargah mein bhi tauba kar chuka hoon. Hazrat Hood , Hazrat Yaaqoob , Hazrat Yusuf alaihimussalaam ki sohbato mein bhi reh chuka hoon, unse tauraat seekhi hai , unka salaam Hazrat Isaa alaihissalaam ko pahunchaya tha. Ae nabiyon ke sardar! Hazrat isaa alaihissalaam ne farmaya tha ki agar tu Mohammad Mustafa salallaho alaihi wasallam se mulaqaat kare to mera salaam unko pahunchana , so huzoor! Ab main is amaanat se subuqdosh hone ko haazir hua hoon aur ye bhi aarzoo hai ki aap apni zabaan e haq tarjmaan se mujhe kuch kalamullah taaleem farmaiye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usey surah: mursalaat , surah: amma ya tasalun ikhlaas aur muawwizatain aur izashshamsh taaleem farmaai , ye bhi farmaya ki ae Haama! jis waqt tumhe koi ahtiyaaz ho phir mere pass aa jaana aur humse mulaqaat na chodna.
Hazrat Umar Faaroq radiallaho ta aala anho farmaate hain Huzoor salallaho alaihi wasallam ne to zaahiri wisaal farmaaya lekin Haama ki baabat phir kuch na farmaaya! Khuda jaane Haama ab bhi zinda hai ya mar gaya hai.

(Khulasatut tafaseer safa 170)

Sabaq : Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam Rasool us saqlain aur Rasool ul kul hain. Aapki baargah e aaliya jinn o ins ki marja'a hai.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAAB

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 3

HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RADIALLAHO TA AALA ANHO KA KHWAAB➡

Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho qabl az Islam ek bahut bade taazir the. Aap tijarat ke silsile mein mulq e shaam mein tashreef farma the ki ek raat khwaab mein dekha ki chaand aur suraj aasman se utarkar unki god mein aa pade hain. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne apne haath se chaand aur suraj ko pakadkar apne seene se lagaya aur unhe apni chaadar ke andar kar liya. Subah uthe to ek isaai raahib ke pass pahunche aur usse is khwaab ki taabeer poochi. Raahib ne poocha ki aap kaun hain ? Aapne farmaya : main Abu baqr hoon , makka ka rehne waala hoon. Raahib ne poocha : kaun se kabeele se hain ? Aapne farmaya : banu haashim se aur zariya e maash kya hai ? Farmaya : tijarat. Raahib ne kaha : to phir gaur se sun lo! Nabi e aakhiruzzama Hazrat Mohammad salallaho alaihi wasallam tashreef le aaye hain. Wo bhi isi qabeela bani haashim se hain aur wo aakhri Nabi hain. Agar wo na hote to khuda e ta aala zameen o aasman ko paida na farmata aur kisi nabi ko bhi paida na farmata. Wo awwaleen o aakhreen ke sardar hain. Ae Abu baqr! tum unke deen mein shaamil hoge aur uske wazeer aur uske baad unke khalifa banoge. Ye hai tumhaare khwab ki taabeer. Sun lo! Maine is Nabi e paak salallaho alaihi wasallam ki taareef o naat tauraat o injeel mein padhi hai. Main is par imaan la chuka hoon aur musalmaan hoon. Lekin issaiyon ke khauf se apne imaan ka izhaar nahi kiya. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne jab apne khwaab ki taabeer suni to ishq e Rasool salallaho alaihi wasallam ka jazbaa bedaar hua aur aap fauran makka moazzama waapas aaye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ki talaash karke baargah e risalat mein haazir huye aur deedar e puranwaar se apni aankhon ko thanda kiya. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : Abu Baqr! Tum aa gaye , lo ab jaldi karo aur deen e haq mein daakhil ho jaao. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne arz kiya : bahut accha. Huzoor! Magar koi mojiza to dikhaiye. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : wo khwaab jo shaam mein dekhkar aaye ho aur uski taabeer jo us raahib se sunkar aaye ho mera hi to mojiza hai. Hazrat Siddique e Akbar radiallaho ta aala anho ne ye sunkar arz kiya : sach farmaya ae Allah ke Rasool aapne. Main gawahi deta hoon ki aap waaqai Allah ke sacche Rasool hain.
(Jaami Ul Mojizaat safa 4)

Sabaq : Hazrat Abu Baqr Siddique radiallaho ta aala anho Huzoor salallaho alaihi wasallam ke wazeer aur Khaleefa e barhaq hain. Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam se koi baat chupi nahi rehti. Aap daana e guyoob hain. Ye bhi maaloom hua ki tamam makhlooq hamare aaqa ke sadqe mein paida ki gayi hai. Agar Huzoor na hote to kuch bhi na hota.

Wo jo na the to kuch bhi na tha
Wo jo na ho to kuch na ho
Jaan hain wo Jahaan ki
Jaan hai to jahaan hai

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

YEMEN KA BAADSHAH

✨SACCHI HIQAYAT✨

🍁HISSA AWWAL🍁

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

HIQAYAT NO. 2

YEMEN KA BAADSHAH➡

Kitabul mustazarif aur Huzzatullahi alal aalameen aur taareekh e ibn e aaskir mein hai ki Huzoor salallaho alaihi wasallam se ek hazaar saal peshtar yemen ka baadshah Tubba awwal himyari tha. Ek martaba wo apni saltanat ke daure ko nikla. Baarah hazaar aalim aur hakeem aur ek lakh battis hazaar sawar aur ek lakh teraah hazaar pyadah apne humraah liye aur is shaan se nikla ki jahaan bhi pahunchta uski shaan o shauqat e shahi dekhkar makhlook e khuda charon taraf se nazara ko jama ho jaati thi. Ye baadshah jab daura karta hua makka moazzma pahuncha to ahle makka se koi usey dekhne naa aaya. Baadshah hairaan hua aur usne apne wazeer e aazam se iski wajah poochi to usne bataya ki is sheher mein ek ghar hai jisey baitullah kehte hain. Uski aur uske khaadimon ki jo yahaan ke baashinde hain tamam log behad taazeem karte hain aur jitna aapka lashkar hai , issey kahin zyada door o nazdeek ke log is ghar ki zyarat ko aate hain aur yahaan ke baashindo ki khidmat karke chale jaate hain. Phir aapka lashkar inke khayaal mein kyon aaye ? Ye sunkar baadshah ko gussa aaya aur kasam khaakar kehne laga ke main is ghar ko khudwa doonga aur yahaan ke baashindo ko qatl karaaunga. Ye kehna tha ki baadshah ke naak , munh, aur aankhon se khoon behna shuru ho gaya. Aisa badbudaar maadda behne laga ki uske pass baithne ki bhi kisi ko taaqat na rahi. Is marz ka ilaaz kiya gaya magar accha nahi hua. Shaam ke waqt baadshah ke saathi aalimo mein se ek aalim e rabbani tashreef laaye aur nabz dekhkar farmaya ki marz aasmani hai aur ilaaj zameen ka ho raha hai. Ae baadshah! Aapne agar koi buri niyat ki hai to fauran usse tauba kijiye. Baadshah ne dil hi dil mein baitullah sharif aur khuddam e kaaba ke muttalliq apne iraade se tauba ki. Tauba karte hi uska wo khoon aur maadda behna band ho gaya aur phir sehat ki khushi mein usne baitullah sharif ko reshmi gilaaf chadaya aur sheher ke har baashinde ko saat saat asharfi aur saat saat reshmi jode nazr kiye.
Phir yahaan se chalkar jab madina munawwara pahuncha to humraahi aalimo ne (Jo aasmani kitaabo ke aalim the) wahaan ki mitti ko soongha aur kankariyon ko dekha aur Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam ki hizratgaah ki jo alaamatein unhone padhi thi unke mutabiq us sarzameen ko paaya to aapas mein ahed kar liya ki hum yahaan hi mar jaayenge,magar is sarzameen ko na chodenge. Agar hamari qismat ne saath diya to kabhi na kabhi jab Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam yahaan tashreef laayenge, humein bhi zyarat ka sharf haasil ho jaayega, warna hamari qabron par to zaroor hi kabhi na kabhi unki jutiyon ki muqaddas khaak udkar pad jaayegi Jo hamari nijaat ke lite kaafi hai.....

Ye sunkar baadshah ne un aalimo ke waaste chaar sau makaan banwaaye aur us bade aalim e rabbani ke makaan ke pass huzoor salallaho alaihi wasallam ki khaatir ek do manzila umda makaan tayyar karaya aur wasiyat kar di ki jab aap tashreef laayein to ye makaan aapki aaramgaah hogi  aur un chaar sau ulma ki kaafi imdaad bhi ki, kaha tum hamesha yahin raho. Phir bade aalim e rabbani ko ek khat likh kar diya aur kaha ki mera ye khat us Nabi aakhiruzzama salallaho alaihi wasallam ki khidmat e aqdas mein pesh kar dena aur agar zindagi bhar tumhe Huzoor salallaho alaihi wasallam ki zyarat ka mauqa na mile to apni aulaad ko wasiyat kar dena ki naslan baad naslin mera ye khat mehfooz rakhein. Hatta ki sarkar e aqdas salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein pesh kiya jaaye. Yeh kehkar baadshah wahaan se chal diya.
Wo khat Nabi e kareem salallaho alaihi wasallam ki khidmat mein ek hazaar saal baad pesh hua kaise hua ? aur khat mein kya likha tha ? suniye aur azmat e Mustafa  salallaho alaihi wasallam ka aetraaf farmaaiye. Khat ka mazmoon ye tha :
Kamtareen makhlook Tubba awwal himyari ki taraf se Shafi ul muzneebeen Syed Ul mursaleen Mohammad Mustafa salallaho alaihi wasallam amma baad! Ae Allah ke habeeb main aap par imaan lata hoon aur jo kitaab aap par naazil hogi us par bhi imaan lata hoon aur main aapke deen par hoon. Pas agar mujhe aapki zyarat ka mauqa mil gaya to bahut accha wa ganeemat aur agar main aapki zyarat na kar saka to meri shafaat farmaana aur qayamat ke roz mujhe faramosh na karna. Main aapki pehli ummat mein se hoon aur aapke saath aapki aamad se pehle hi baiat karta hoon. Main gawahi deta hoon ki Allah ek hai aur aap uske sacche Rasool hain.
Shah e Yemen ka ye khat un chaar sau aalimo ki nasl dar nasl jaan ki tarah hifaazat ki jaati rahi. Yahaan tak ki ek hazaar saal ka waqt guzar gaya. Un aalimo ki aulaad is qasrat se badi ki Madeene ki aabadi mein kai guna izaafa ho gaya aur ye khat dast ba dast mey wasiyat ke us bade aalim e rabbani ki aulaad mein se Hazrat Abu Ayyub Ansari radiallaho ta aala anho ke pass pahuncha aur aapne wo khat gulaam e khaas Abu Laila ki hifaazat mein rakha. Jab Huzoor salallaho alaihi wasallam Makka Moazzama se hijrat farma kar Madina Munnawara pahunche aur Madina Munnawara ki Alwadaai ghati Saniyat ki ghaatiyon se aapki oontni namudaar huyi aur Madine ke khushnaseeb log Mehboob e Khuda salallaho alaihi wasallam ka istaqbaal karne ko zook dar zook (bheed ki bheed) aa rahe the. Koi apne makaano ko saza raha tha, koi daawat ka intezaam kar raha tha aur sab yahi israar kar rahe the ki Huzoor salallaho alaihi wasallam mere ghar tashreef farma ho. Huzoor salallaho alaihi wasallam ne farmaya : ki meri oontni ki nakeel chod do, jis ghar mein ye thehregi aur baith jaayegi, wahi meri qayaamgaah hogi . Chunaanche jo do manzila makaan Shah e Yemen Tubba ne Huzoor ki khaatir banwaya tha, wo us waqt Hazrat Abu Ayyub Ansari radiallaho ta aala anho ke pass tha. Usi mein Huzoor salallaho alaihi wasallam ki oontni jaakar theher gayi. Logon ne Abu Laila ko bheja ki jaao Huzoor salallaho alaihi wasallam ko Shah e Yemen Tubba ka khat de aao. Jab Abu Laila haazir hua to Huzoor salallaho alaihi wasallam ne usey dekhte hi farmaya : Main Mohammad Rasoolullah salallaho alaihi wasallam hoon, Shah e Yemen ka jo mera khat tumhare pass hai, laao. Wo mujhe do, chunaanche Abu Laila ne wo khat diya aur Huzoor salallaho alaihi wasallam ne padhkar farmaya : Nek bhai Tubba ko aafreen wa shaabashi hai.
(Meezan Ul adyaan safa 177)

Sabaq : Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam ka har zamaane mein charcha raha hai. Khushqismat afraad ne har daur mein Huzoor salallaho alaihi wasallam se faiz paaya. Hamare Huzoor salallaho alaihi wasallam agli pichli tamam baatein jaante hain. Ye bhi maaloom hua ki Huzoor salallaho alaihi wasallam ki aamad aamad ki khushi mein makaano aur baazaron ko sajana aur sajawat karna sahaba e qiraam ki sunnat hai. Phir aaj agar Huzoor salallaho alaihi wasallam ki aamad ki khushi mein baazaron ko sajaya jaaye, gharon ki sajawat ki jaaye aur juloos nikaala jaaye to usey bid'at kehne waala khud kyon bid'ati na hoga.

⚔⚔SHAMSHEER E AALAHAZRAT⚔⚔

JIBREEL E AMEEN AUR EK NOORANI TAARA

         ✨SACCHI HIQAYAT✨

           🍁 HISSA AWWAL 🍁
                  (Hiqayat 01)
ALLAH KE NAAM SE SHURU
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
SYED UL AMBIYA HUZOOR AHMED E MUJTABA MOHAMMAD MUSTAFA SALALLAHO ALAIHI WASALLAM WAMA ARSALNA KA ILLA REHMAT AL LIL AALAMEEN
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

JIBREEL E AMEEN AUR EK NOORANI TAARA ➡

Ek martaba Huzoor salallaho alaihi wasallam ne Hazrat Jibreel e Ameen alaihis salaam se daryaaft farmaya : Ki ae Jibreel! tumhari umr kitni hai ? To Jibreel e Ameen ne arz kiya : Huzoor! mujhe kuch khabar nahi . Haan , itna jaanta hoon ki chauthe hijaab mein ek noorani taara sattar hazaar baras ke baad chamakta tha . Maine usey bahattar hazaar martaba chamakte dekha hai . Huzoor Salallaho alaihi wasallam ne yeh sunkar farmaya :
"Mere rab ki izzat ki kasam! Main hi wo noorani taara hoon."

(Roohul bayaan jild 1, safaa 674)

SABAQ :- Hamare aaqa Huzoor salallaho alaihi wasallam qaaynaat ki har cheez se pehle paida farmaye gaye hain. Aapka Noor e paak us waqt bhi tha jabki na koi farishta tha , na koi bashar , na zameen thi , na aasman aur na koi shey.