Hizrat se 2 Saal Pehle Makkah e Muazama Me Nabi e Akram ﷺ Ko Meraj Hui. Meraj ka dusra Naam “ASRA” bhi hai jiske maane Raat ko Chalana ya Raat ko le Jaana Bhi Hota hai.
Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Shara e Mishkat me likhte hai
“Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak ka Safar ‘ISRA’ hai jo Qurani aayat se saabit hai aur iska Munkir “KAAFIR” hai. Masjide Aksa se Sidratul Muntaha wa lamaka tak jaana hadees e paak se saabit hai iska MUNKIR GUMRAAH AUR BAD’DEEN HAI”
Reference :
(Ashi'atul-Lamat Vol : 04 Pg: 526 by Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi)
“Hadees aur Seerat Ki kitab me Kasrat se Meraj un Nabi ﷺ ka zikr hai Allama Zurqani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne 45 Sahaba e Kiram Rizwanullahi Azmain k naam ginwaye jinhone hadees e Meraj ko rivayat kiya hai”
Reference :
(Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 08, Pg : 27/28)
Meraj Ki Tariqh ko leke kuch ektelafat hai par ispe sabka ittefak hai k Meraj Hizrat se Pehle ka waqya hai jo Makkah e Muazama me Pesh Aaya.
“Ibn Katibi Dinnuri رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Al Mutawafa 267 Hizri) Aur ibn Abdul Barr Al Maliki رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Al Mutawafa 463 Hizri), Imam Rafayi aur Imam Nawawi As Shafai ne tehreer farmaya k wakya e meraj Rajjab al Murazzab k mahine me pesh aaya aur Muhaddis Abdul Gani رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه ne 27 Rajjab Bayan ki hai aur Allama Zurqani ne tehreer farmaya hai k muharikeen ka isi par amal raha hai aur yehi sabse kavi rivayat hai”
References :
(Zurqani Vol : 01, Pg : 355/358)
( Al-Muwahib al-Ladunniyyah Shara e Zurqani Vol : 02, Baab : Waktal Asra,Pg : 80/81)
Sayyadul Fukaha Hazrat Mulla Ali Jeewan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Huzur Badshaah Aurangzeb Alamgir Alaihi Rehma) apni kitab Tafsire Ahmadiya me likhte hai
"i) Makkah E Mukkarama se Masjide Aksa tak Jaana Meraj E Katai hai jo Quran Se Saabit Hai.
(ii) Masjide Aksa se Aasmane Dunya tak jaana Mashoor hadis e paak se saabit Hai
(iii) Aasmano se upar tak jaana Aahadh Se saabit hai.
To pehle ko naa maan ne waala Kaafir hai, Dusre ko na maan ne waala Bad’deen hai, teesre ko na maan ne waala Fasik hai.”
References :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmadiya, Pg : 328)