Allah ke Naam se shuru
Allah ta'ala farmata hai
Tumse (nabi sallallahu alaihi wasallam) puchhte hai haiz ka hukm tum farmao
wo naapaki hai to
aurato se alag raho HAIZ ke dino me aur unse Nazdiki nakaro Jabtak wo paak naho le
Al QURAN 2:222 yaani surah baqrah, Aayat 222
Allah Ta'ala ne is Aayat ke zariye logo ko bata dia ke haiz k dino me aurato se sirf SHOHBAT(humbistari) karna jaiz nahi baaqi sab ta’aluqat jaiz he
#MUSLIM Shareef
Zamana e jahaliat me arab ke log jab aurate HAIZ ki haalat me hoti to unke sath khana,pina, uthna,bethna yahan tak ki dekhna bhi haraam samajhte The
#MUSLIM Shareef
HAIZ(menstruation) KISE KEHTE
HAIN?
BALIGA aurat ke aage ke Mukam
se jo khoon Aadatan Nikalta hai Bimari ya bachcha paida hone ki wajah se
na ho use HAIZ kehte hai
HAIZ wa NIFAS ke dino me aurato
par Namaze Muaaf hai inki Kazaa Bhi nahi
Albatta rozo ki kazaa Dusre dino me
Rakhna farz Hai
#BAHAARE SHARIAT
Agar bimari ki wajah se khoon
nikle use ISTEHAZA kehte hai
(wo khun jo bimari ki waja se
haiz k dino k siwa aur dino me bi aata hai)
#bahare Shariat
NIFAS KISKO KEHTE Hai?
Bachcha paida hone ke baad jo khoon aata hai use NIFAS kehte hain iska time
zyada se zyada 40din raat
aur kam ki koi muddat nahi
ISTEHAZA KISE KEHTE
HAI?
Wo khun jo aurat k Aage k MuQaam
se nikle aur HAIZ va NIFAS ka na ho
to wo ISTEHAZA Kehlata hai
#bahare shriat Part2
Mas’ala:
ISTEHAZA me na NAMAZ muaaf hai na ROZA han Aisi aurat se SHOHBAT (Humbistari) karna jaiz Nahi HARAM hai.
#bahare shariat part 2
HAIZ Aane ki umar(age)
kam se kam 9 saal ki umar se HAIZ shuru ho jaata hai, aur zyada se zyada
55 saal ki umar me hota hai
#bahare shariat part2
Mas’ala
agar ladki ko 9 age se kam umar
me khun aye to wo
ISTEHAZA kehlaega (yani bimari k sabab)
#bahare shariat part2
Dusri behno ko msail bataye
Agar ksi aurat ko 55 saal ki umar k baad khun aya han agar pahle ki trah khoon aye jaise pehle ata tha usi rang ka to
HAIZ kehlaega
#bahare shriat
LADIES MASAIL:
bachche ki pedais(birth)k baad
jab bhi khoon band ho jae
gusal krke namaz shuru krde
#bahare.shariat
40din tak
napaak rahna lazmi(zaruri) nahi
HEALTH:
Bachche k paida hone k bad bahut tez roshni wali jagah me rakhne se bachche ki nigah kamzor ho jati Hai ISPAR AmaL karen &DUSRO KO BATAYE
HAIZ va NIFAS wali aurat ko QURAN Shareef k elawa aur tamam zikr durud sharif kalma wagerah padna jaiz aur behtar hai
aur unka chhoona bhi jaiz
#Bahare SHARIAT
HAIZ wali aurat ko 3 din se kam khoon akar band ho Gaya to ROZE rakhe aur wuzu karke NAMAZ pade Nahaane ki zrurat nahi
#bahare.shariat page89
HAIZ va NIFAS ki halat me aurat ko
NAMAZ padna ROZA rakhna haraam hai agar roze ramzan k mahine ke ho to dusre dino me rakhna FARZ hai
#bahare shariat
HAIZ ki muddat(time) kam se kam
3 din 3 raate'n yani pure 72ghante
1 minut bi kam hai to HAIZ nahi zyada se zyada 10 din 10raate'n
#Qanoon e Shriat
72ghante se zara bi pahle haiz khatam ho jae to haiz nahi balki ISTEHAZA hai
han agar subah ki kiran chamakte hi
shuru hua aur 3din raate'n puri hokar
kiran chamkne hi k waqt khtam hua to haiz hai..
aur is surat me 72ghante hona zruri nhi ksi aur waqt shuru hoto ghante hi shumar honge 10 raat,10 din se kuch bhi
zyada khoon aya to agar ye HAIZ pehli bar use aya to 10 din tak HAIZ uske baad ka ISTEHAZA kehlayega
#bahare shriat page 8 1
Agar pahle usey HAIZ aa chuka adatan 10din se kam Aata Tha to Jitna ziyada ho ISTEHAZA kehlaega 5din ki adat thi 10din aya to 5din HAIZ
5din ISTEHAZA
Mas’ala
ye zaruri nhi k HAIZ k Dino me Har waqt khoon Jari rahe tabhi HAIZ ho Balki Agar kisi kisi waqt Aye tab bhi HAIZ
kehlayega
#bahare shariat part2
Mas’ala
2 HAIZ k darmiyan kam se kam 15 din ka faasla hona Zruri he Yun hi NIFAS va HAIZ k Darmiyan bhi 15 din ka fasla Zruri hai
#bahare shariat
Jis aurat ko pehli bar khun aya aur uska silsila Mahino ya saalo tak brabar Zaari rha bich Me15din k lie bhi na ruka to jis dinSe khoon aana shuru hua 10 din tak HAIZ maana jayega 20din ISTEHAZA
ye NIYAM har mahine zaari rahega
#BAHARE.ShriaT Part2
Aur agr usse pehle HAIZ aaChuka h to
usse pehle jitneDin haiz ata Tha har 30din me utne hi din HAIZ k samjhe jaenge baqi din ISTEHAZA kehlaega Agr HAIZ & NIFAS khtam hone k bad itna Waqt hai ki Nahakr aur kapde pahenkr
1 bar ALLAHU AKBAR keh skti h to
us Waqt ki Nmaz farz hoGai
KAZAA pade
jis aurat ko 3 din raat k baad HAIZ band ho gya aur aadat k din abhi pure
na hue to GUSAL karke namaz pade aadat k din tak intezar zruri nAhi
HAIZ pure 10 din aur NIFAS 40din par
khtam hua AUR NAMAZ k waqt me agAr itna b baaki ho k ALLAHU AKBAR ka lafz
kahe to usWaqt ki Namaz farz ho Gayi
HAIZ k rang 6 hain
1=kaala
2=hara
3=zard
4=Gadla
5=matila
6=surkh(RED)
Safed(white)
rang ki ratubat haiz nahi,
#bahare.shariat part2 page82
10 din k andar Ratubat me
zara Bi melapan hai to wo haiz hai aur 10din rat ke bad bi melapan baqi hai to
jitneDin AdaT ti utneDin haiz hai
BAQI ISTEHAZA kehlayega
Mas’ala
agar NIFAS k 15 din pure na hue the k khun aya to wo HAIZ nahi ISTEHAZA
kehlayega.
#bahare shariat part2
mas’ala
Agar ROZE ki haalat me HAIZ aya to
wo roza toot gya agar FARZ roza tha to kazaa rakhna farz agar nafli tha
to kazaa WAJIB hai
#bahare shariyat 90
MAS’ALA:
Jis Aurat ko umar bhar khun aya hi nahi, ya aya magar 3din se kam aya to
umar bhar wo paak hi rahi
#BAHARE SHARIAT Part2
MASAIL DUSRO KO BTAYE
ISTEHAZA agr is hadd tak pahunch gya
k usko itni mohlat nhi milti k wuzu krke farz nmaz pad ske to namaz ka pura ek
waqt shuru se akhir tk usi halat me
Guzar janePar usko mazoor kaha Jaega
1 wuzu se us waqt me jitni namaze chahe pade khun ane se uska wuzu na jaega
#bahare shariat page93
har wo shakhs jo koi aisi bimari he k ek waqt pura aisa guzar gya k wuzu k sath namaze farz adaa na kr skta ho wo ma’zoor kehlata hai
#bahare shariyat.93
>ISTEHAZA
(Wo Khoon Jo Bimari Ki Wajah Se)
>HAIZ
(Wo Khoon Jo Aadatan)
>NIFAS
(Wo Khoon Jo Bachcha Paida Hone Ki Wajah Se) NIKALTA Hai.!!
HAIZ va NIFAS wali aurat ko quran padhna dekhkar ya zabani aur uska chhuna badan ka koi bhi hisse se lagana ye sab HARAAM he
#bahare shariat pg88
Mas’ala
agar jizdaan(kapde) Wagerah me
Quran rakha hoto uske chhune me koi harz nahi jaiz hai.!
#bahare shariat jild 1 page88
MAS’ALA:
HAIZ va NIFAS wali aurat ko kagaz k parche par agar koi ayat ya surah likhi hoto uska chhuna bhi haraam (gunah) hai
#bahare shariat pg88
Mas’ala
jo napaki ki halat me ho kurte k daman
ya dupatte k anchal ya jo kapda pahne hue hai usse bhi Quran ka chhuna haraam hai
#bahare shariat
HAIZ va NIFAS wali aurte Quran padhane wali he to unko bachcho ko
ek ek kalima sans tor torkar padhaye
aur hijje krane me koi harz nahi
HAIZ va NIFAS ki halat me SAJDA e SHUKR ya SAJDA e TILAWAT
karna haraam hai aur ayate sajda sunne se uspar sajda wajib na hua
#BAHARE SHARIAT p90
SOTE waqt paak thi SUBAH uthi to
HAIZ ka asar paya Agar raat ishaa ki NAMAZ nahi padi thi to HAIZ
khatam hone k bad uski kazaa pade
#bahar e shariyat page90
HAIZ wali sokar uthi aur Gaddi par
koi nishaan HAIZ ka nahi to raat hi se paak maani jaegi SUBAH nahaakar
us NAMAZ ki kazaa padhe
#bahare shariyat p90
HAIZ wali aurat se naaf k upar aur Gutne se niche chhune ya ksi trah ka
fayda lene me ko harj nahi
bosa(chumna) b jaiz hai
#bahare shariat pg91
HAIZ va NIFAS wali aurat ke sath khana khana ya ek jagah sona jaiz hai balki is wajah se sath na sona makruh hai
#bahare shariat jild1 pag91
Agr sath sone me ye Ghalba-e-shahoo t
aur apne ko Qabu me na rakh pana
Mumkin hoto sath na soye agar guman ghalib hoto sath sona Gunah hai
HAIZ pure 10din par khtam hua to paak hote hi usse humbistari jaiz he agr chahe abi tak gusal na kia ho magar behtr hai
Nahane k baad kare
Agar 10din se pahle HAIZ khtam hua to jabtak gusal na karle ya wo waqt namaz jisme paak hui guzar na jaye jabtak
humbistari(sex) jaiz nahi
#bahare.shariyat .page9 1
Aur agar waqt itna nahi tha ki usme nahakar kapde pahenkar ALLAHU AKBAR keh ske to uske bad ka waqt
guzar jaye ya gusal karle to jaiz hai Warna nahi
Agar HAIZ adat ke dinoSe pahle hi khtam ho Gaya jaise 6din ki adat thi 5din me hua to Namaz shuru karde
magar humbistari(sex) jaiz nahi jabtak 6 din na ho jaye
HAIZ va NIFAS
kihaalat me humbistari(SEX) jaiz samajhkar karna KUFR hai aur agar jankar kia to sakht gunahgar TOABA karna FARZ hai
#bahare shariat . part 2 page 90,
NIFAS ki haalat me aurat ko sath khilane ya
uska jhoota khane me harj Nhi
GALAT FEHMYAN DUR KRO
#Bahare Shariyat.91
Hindustan me kuchh jagah NIFAS wali Aurt k khane k bartan alag krdete he
balki unke Bartano ko napak jante he YE HINDUSTAN KI GALAT RASME HAI
ALLAH IN MASAIL KO SAMAJHNE
AUR AMAL KARNE KI TOUFIQ ATAA FARMAYE
>AAMEEN