NOTE: Asmae Husna Ka Vird "YA" ke Sath Kare
82. "Raufu"
-Bahut Meherban
(Kisi Zalim ke Panje se Majlum Ko chudanle ke liye is ism pak ko 10 Bar Padh kar Ishare se Jalim ke Muh par dam kare)
83. "Maalikul Mulki"
-Mulk ka Maalik
(Is ism sharif ki kasrat Maldari bakshti He Aur Izzat wa Jah nasib Hoti He
Har kam bante he
Aur iske sath dua karne se Dua Makbul Hoti He)
84. "zul Jalaali wal ikraami"
-Azmat Aur Bujurgiwala
(is ism pak ki kasrat Maaldari Bakhshti He
Aur Izzat wa Martaba nasib Hota He
Aur Har kam bante He
Aur iske sath dua karne se Dua Makbul Hoti He)
85. "Al Muksitu"
-Insaaf karnewala
(Waswase Shaytani se Mehfooz Rahen ke liye is ism pak Ko 100 Bar Padhna Mufid He)
86. "Al Jaamiu"
-Jama karnewala
(Murad hasil karne ke liye Bad Namaze Juma 142 martaba padhna Mufid He)
87. "Al Ganiyyu"
-Beniyaz
(Husule Gina ke liye He har roz 70 Bar padhe
Kisi Ka Mohtaz Na Hoga Aur Maal me Barkat Hogi)
88. "Al Mugni"
-Beparwah Karnewala
(Jo shaks is ism pak ko 10 Juma tak Har Juma ko 2000 Bar Padhe
Makhluk se Beniyaz Ho Jaye)
89. "Al Maaniu"
-Roknewala
(Mawaafikat Jaujen ke liye Jab bistar par lete 21 Bar Padhe
Haq Ta'ala Narajgi Door kar dega)
90. "Ad Darru"
-Nuksan Pahuchanewala
(Jo shaks kisi Buland Mansab par ho Aur us par Saabit rehna chahe Wo har Shabe Juma aur Ayyam Biz[Chand ki 13,14,15 Tarikh] me 100-100 bar padha kare)
91. "An Naafiu"
-Nafa Pahunchanewala
(Jo shaks Safar Me Jata Ho wah har roz is ism pak ko 40 bar padh liya kare Mehfuz Rahe
Aur kisi kam ko shuru karna chahe to 41 bar padhkar shuru kare Sub Kam Banenge)
92. "An Noor"
-Raushan Karnewala
(Jo shaks Juma ki Sub Me 7 Bar Surah Noor Aur 1001 Bar "Ya Noroo" Padhe uska Dil Munawwar Ho Jaye Aur Jo subah ko padhe uska Dil Raushan Ho)
93. "Al Haadi"
-Hidayat Karnewala
(Jo Shaks Aasman ki taraf Muh karke hath uthakar "Ya Haadi" Beshumar martaba padhe Aur Hath Muh & Aankho par Mal le Ahle Marifat Ke Martabe Ko Pahunche)
94. "Al Badiu"
-Bagair zariye ke Paida Karnewala
(Jis shaks ko koi sakht Masla Darpesh Ho Aur 1000 Bar ya 7000 Bar Is ism pak ko is tarah padhe "Ya Badias Samawati wal Ardi" Uski Mushkil aasan Ho Jaye)
95. "Al Baaki"
-Humesha Rehnewala
(Jo shaks Juma ki Rat Me 100 Martaba Padhe Uske sub Amal Makbool Bargahe Khudawandi Ho Aur Bimari Wa Taklif Me iski kasrat Mufid He)
96. "Al Warisu"
-Maalik
(Jo shaks is ism ko Tulub Aaftab ke waqt Har Roz Padhe Koi Jahmat Na Pahunche Aur Agar Beshumar Martaba iski kasrat kare Apne jaise Logo Me Bartari Hasil Hogi)
97. "Ar Rasheedu"
-Sidhi Tadbeerwala
(Jo shaks kisi kam ki Tadbir na janta ho waha Magrib wa Isha ke Darmiyan 1000 bar padhe
sahi Tadbir uske Dilme Ilka hogi Aur is ism ki beshumar Kasrat Har kam ko bina galti ke anzam pane me Madadgar He)
98. "As Saburu"
-Bada Tahmmul Karnewala
(Jo shaks kisi sakht Musibat Ya Bimari Me Giraftar Ho Wah Bad Namaze Isha 33,000 Bar padhe wah Musibat Ya Birmari se Door Hoga)
99. "ALLAHU"
-Isme Jaat Wazibul Wazood"
(Jo shaks rozana is ism pak ka Vird Rakhe Sahibe yakin Wa Mustjabud Da'awaat Ho Aur Kund Jahan Bachche ko 7 din ya 11 din 21 Din Subah Nihar Muh Tazi Roti Pakakar Uspe 7 Bar Ungli se "Ya Allahu" Likh Kar Khilane se Bachhe ka zehen Khul jata He Aur Shifae Amraz Ke liye 66 Bar Likh kar Mariz Ko Pilaye)
___________________________________________________
Tamam Tarife us Allah ke liye jisne insan ko apni tamam makhluqat me subse jyada izzat wa azmatwali makhluk karar diya.
Zamin wa Aasman ki tamam nemate insan ke fayde ke liye paida farmayi.
Yaha ki har chiz Allah ta'ala ne humare liye banai he.
Ye chand, Suraj, Tare chamakte he insan ke liye.
Yaha Allah ta'ala ne Hawa,Pani jaisi azim nemate humare liye paida farmayi he
Aur subse Ahem ki Allah ne insan ko "ilm wa Akal" ata kiya.
Behtar surat ke sath paida kiya.
Karodo shukra Allah Rabbul izzat ka aur beshak tamam tarife sirf usi ke liye he. Jo he do Jahano ka palnewala. Hum subka parwardigar.
Aye Allah Hum gunahgaro ko Teri sachchi Muhabbat ata farma.
Beshak humare pas koi nek aamal nahi he. Tu apna Nazre karam hum pe jari farma.
Hume Deen ki taraf mod de.
Hum tere imtehan ke kabil nahi he mere maula.
Tu Rahim he Raham Farma
Tu Kareem he Karam farma.
Jis rah par tu razi he Ya Allah hume us rah pe chala aur kayam rakhna.
Beshak tu subke dilo ke raz jannewala he humari duao ko kubool farma.
Aur Apne Pyare Aaqa ki Sunnato par zindagi basar karne ki taufiq ata farma
Aameen
(Awwal Aakhir Durood)