Sunday, March 15, 2026

Nafs Kya Hai

 Insaan Ka Sabse Bada Dushman Aur Uski Haqeeqat

Insaan ke andar jo sabse badi jang chalti hai wo bahar ke dushman se nahi balki andar ke dushman se hoti hai. Is dushman ka naam hai Nafs 
Agar insaan nafs ko pehchan le aur usko qabu me kar le to uski zindagi badal sakti hai, aur agar nafs ka ghulam ban jaye to wahi nafs usko tabahi tak le jata hai.
---------------------------------------------------------
Ahle Sunnat ke buzurg aur ulama ne hamesha tazkiya-e-nafs yani nafs ki islah ko bahut ahmiyat di hai. 
Isi liye Sunni ulama, khaas taur par Imam e Ahle sunnat ne apni ta'leemat me nafs ki islah aur dil ki safai par bahut zor diya hai.

Nafs Kya Hai?
Nafs asal me insaan ki andar ki khwahishat, shahwat, ego ka majmua hai. Ye wahi quwwat hai jo insaan ko kabhi nekion ki taraf le jati hai aur kabhi gunah ki taraf dhakel deti hai.

Agar nafs ko chhoot mil jaye to insaan:

ghuroor me aa jata hai
hasad karta hai
jhoot bolta hai
haram kamai karta hai
aur gunahon me doob jata hai.

Qur’an Shareef me Allah Ta’ala irshad farmata hai
Beshak nafs to burai ka bahut hukm dene wala hai.
(Surah Yusuf : 53)

Is ayat se pata chalta hai ki agar nafs ko control na kiya jaye to wo insaan ko burai ki taraf le jata hai.

Riwayat me aata hai ki jab Allah Ta’ala ne nafs ko paida farmaya to us se pucha:
Tu kaun hai aur main kaun hun?

Nafs ne jawab diya:
Main main hun aur Tu Tu hai.
Yani usne apni ana aur ghuroor ka izhar kiya aur apni bandagi ko tasleem nahi kiya.

Phir Allah Ta’ala ne usko sakhti aur bhook me dala. Muddat tak usko bhooka rakha gaya.
Phir dobara pucha gaya:
“Tu kaun hai aur main kaun hun?”
Is dafa nafs ne arz kiya:
“Tu mera Rab hai aur main tera banda hun.”
Yani jab nafs ki ana toot gayi, jab uska ghuroor khatam hua, tab usne apni haqeeqat ko pehchan liya.

Nafs Ki Qismein
Ahle Sunnat ke ulama ne Qur’an ki roshni me nafs ke kuch marahil bayan kiye hain.

1. Nafs-e-Ammara
Ye nafs ka sabse khatarnak darja hai.
Iski khasiyat ye hai ki ye insaan ko:
gunah ki taraf ubharta hai
shahwat me daalta hai
haram ko asaan bana deta hai
Yahi wo nafs hai jo insaan ko Allah ki nafarmaani tak le jata hai.

2. Nafs-e-Lawwama
Ye wo nafs hai jisme insaan ko gunah ke baad pachtawa hota hai.
Insaan galti karta hai lekin uska zameer usko malamat karta hai. Ye darja pehle se behtar hai kyunki yahan se tauba ka darwaza khulta hai.

3. Nafs-e-Mutmainna
Ye nafs ka sabse buland maqam hai.
Qur’an me Allah Ta’ala farmata hai:
“Aye mutmain nafs! Apne Rab ki taraf laut aa, tu us se raazi aur wo tujh se raazi.”
(Surah Fajr : 27-28)

Is maqam par insaan ka dil Allah ki yaad se mutmain ho jata hai aur usko gunah se nafrat hone lagti hai.

Nafs Insaan Ka Sabse Bada Dushman
Insaan ka sabse bada dushman uska nafs hai.
Shaitan bahar se waswasa deta hai lekin nafs andar se usko qabool karta hai. Agar nafs qabu me ho to shaitan ka waswasa bhi kamzor pad jata hai.

Nafs Ko Control Karne Ke Tareeqe
1. Namaz ki pabandi
Namaz insaan ko fahsha aur burai se rokhti hai.
2. Roza
Roza nafs ki shahwat ko kamzor karta hai aur ghuroor ko todta hai.
3. Zikr-e-Ilahi
Allah ki yaad dil ko saaf karti hai aur nafs ko qabu me rakhti hai.
4. Tauba aur Istighfar
Gunah ke baad foran Allah ki taraf rujoo karna.
5. Nek logon ki sohbat
Saliheen ki sohbat nafs ko sudhar deti hai.
6. Ilm-e-Deen
Jab insaan ko halal aur haram ka ilm hota hai to nafs ki chaal samajh aati hai.

Asal Jang Nafs Ke Khilaf Hai
Duniya ki jang jitna mushkil nahi hai jitna apne nafs par qabu paana mushkil hai. Jo shakhs apne nafs ko hara deta hai wo asal me kamyab ho jata hai.

Isi liye sufia-e-kiram ne farmaya:
Jo apne nafs ko pehchan gaya wo apne Rab ko pehchan gaya.
Allah Ta’ala humein apne nafs ki buraiyon se bachaye aur humein nafs-e-mutmainna wala bana de.
Ameen.

Durud Shareef ki Qasrat Apni Aadat bana lijiye.

No comments: