Safar E Meraj Ki Sawariyaa’n
Imam Alai رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Ne apni Tafseer me tehreer Farmaya ki Meraj Me Huzoor ﷺ Ne 5 Kism Ki Sawariyo’n Par Safar Farmaya Baitul Muqaddas Se Aasman e Awwal Tak Noor Ki Sidiyon Par, Aasman e Awwal se Satwe Aasman Tak Farishto k Baaju’nwo Par, Saatwe Aasman se Sidratul Muntaha Tak Zibril عليه السلام k Baaju’nwo Par, Sidratul Muntaha se Makam e Kaaba Kausen Tak RAFRAF par.
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)
Safar E Meraj Ki Manzile
Baitul Muqaddas Se Kaaba Kausen Tak Pahuchne Me Aap ﷺ ne 10 Manzilo Pe Kayam Farmaya aur Har Manzilo Pe Kuch Guftgu Huwi aur Bahot si Allah ki Nishaniyo ko Mulahiza Farmaya
1)Aasman e Awwal (2) Dursa Aasman (3) Teesra Aasman (4) Forth (Chautha) Aasman (5) Paanhwa Aasman (6) Chatta (sixth) Aasman (7) Saatwa Aasman (8) Sidratul Muntaha (9) Makam E Mustawa Jahaan Nabi e Karim ﷺ Ne Kalme Qudrat k Chalne Ki Aawaz Suni (10) Arshe Aazam
(Tafseer e Roohul Muaani, Para 15 Surah Isra Ayat 01, Vol : 10, Pg : 16)
No comments:
Post a Comment