#dawat_e_islami_maslak_e_alahazrat_ki_ya_maslak_e_ahle_sunnat_ki_Moballige_nahi_hai
(Sawal) madni channel dekhna kaisa hai,,,
dawat e islami walo ka kahna hai tasweerkashi haraam hai,,
jo tasweer saakin halat me hai wo haraam hai,,
lekin ham tasweer saakin halat me nahi dikhate balke video ki surat me dikhate hai,,
kya ye dekhna sahi hai hazrat maherbani kar ke ap hamari rahnumayee farmaye....
(Jawab by sarkar tajushshariya)
Tasweerkashi najaiz o haraam hai,, aur madni channel koi nahi hai,,
kisi channel ko madni kahna jaiz nahi hai,,
huzoor sarwar e alam sallallahu alaihi wasallama ne jandar ki tasweer wo motahartik bane ya saakin usko khichwane ko banane ko haraam o najaiz kaha,,
usme ye tafseer karna ki ham motaharrik dikhate hain saakin nahi ehanat aur behuda batil khyal hai,,
isse pahle khud ilyas qadri tv ko aur video ko haraam o najaiz kahte the,,
ab mokhtalif taweel aur hile bahano se wo cinema ko jisko sabse pahle moududi ne jaiz kaha tha us cinema ka riwaz dena chahte hai,,,
aur ijmayee mas'ala tasweerkashi ka jo hai uspe aaj tak ke aulama ka ijma chala aa raha hai huzoor e mufti e azam e hind radi Allahu anhu ne film khana e khuda usme bhi kaabe shareef wagairah ki tasweer dikhayee jati thi fatwa ye diya ke din ka tamasha banana najaiz hai aur us vawt ke motabar aulama ne unke fatwe ki tasdeeq ki,,
us par ijma hogaya us izma ko todna aur mukhtalif Hilo bahano se tasweer kashi ko jaiz batana isse najaiz, jaiz nahi ho sakta,,
huzoor sarwar e alam sallallahu alaihi wasallam ne motabid ahadees e motabilata me usko hurmat shar'hatan farmayee hai aur koi khaas tarika nahi bataya hai is tarike par banegi to jaiz hogi aur is tarike par banegi to najaiz hogi lehaza qayamat tak ab jo neye (new) tarike jo nikle inse bhi agar neya (new) tarika agar nikal aaye to jandar ki tasweer banane aur banwane ka tasweer najaiz hi rahegi deen ka tamasha banana ye najaiz o haraam hai,,
aise ijtamat me jana jaiz nahi hai aur yahin se pahle sawal ka jawab zahir ho gaya ke jo Tanzeem aise khule moharramat ka riwaz de rahi hai,,
wo maslak e alahazrat ki ya maslak e ahle sunnat ki Moballige nahi hai
Clip download karen
Click here https://www.dropbox.com/s/v29wy1slr31lmw5/AUD-20160302-WA0003.m4a?dl=0
No comments:
Post a Comment