Meraj Kitni Baar Aur Kaise Huwi
Shykh Abdul Hak Muhaddis Dahelvi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه Shara E Mishkat Ashi'atul-Lamat Huzoor ko jaagte ki Halat me Meraj Ek Baar aur Sapne Me Kayi Baar Meraj Huwi Thi.
Reference :
(Ashi'atul-Lamat, Vol : 04, Pg : 527)
Zamhoor (majority) Ulema e Millat ka sahi mazhab ye hai k BA HALAAT E BEDARI JISM WA ROOH K SAATH MERAJ EK BAAR HUI. Jamhoor Sahaba, Fukaha, Sufiya e Kiram Radi Allahu Anho Azmain ka yehi mazhab hai.
Allama Hazrat Mullah Ahmad Jivan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه (Ustad e Badshah Aurangzeb Aalamgir Alaihi Rehma) ne tehreer farmaya
“Aur Sabse Zyada Sahi Kaul ye Hai Meraj Halaat e Bedari Jism wa Rooh K Saath Hui Yehi Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai Mazhab Hai
Me Hui. Lihaja Jo shaks kahe Meraj Fakat Khwab me hui ya Roohani hui wo Biddati, Gumraah, Gumraah Kun Wa Fasiq hai”
References :
(Tafseer Ul Quran fi Tafseer e Ahmad, Surah Bani Israel Ayat 01 pg : 505 )
Safar e Meraj Un Nabi ﷺ
“Bis’aat k 11 ve saal hizrat se 2 saal pehle 27 Rajjabul Murajjab Peer Sharif k din Nabi e Karim ﷺ Namaz e Isha Ada karne k baad Apni Chacha Jaad behan Umme Hani Radi Allahu Anha k ghar aaram farma rahe the k Daulat Khana e Aqdas ki Chhat khuli aur Hazrat Jibril Alaihi Salam ne Huzoor e Akram ﷺ ko Umme Haani Radi Allaho Anha k ghar se Masjid e Haram me laake Hatim e Kaaba Me Leta Diya”
References :
(Miratul Manajih Shara E Mishkatul Masabih, Meraj Ka bayan, Pehli Fasl Baab 08 Pg : 135)
(Siratun Nabi Lil Ibn Hissham Vol : 02, Zikre Asra Wal Meraj, Pg : 38)
(Futuhool Baari Shara e Sahi Bukhari, Kitabul Manakib, Baab Meraj Un Nabi ﷺ, Vol : 07, Pg : 256, Hadees : 3887)
Safar e Meraj k Har Stages ko yaha article me likhna kaafi mushkil hai warna ye bahot pages me chala jayga isliye yaha ab hum sirf wo baato ko likh k jawab bhi denge jin baato pe kuch kam akal aitraaz karte hai.
Hazrat Moosa عليه السلام Ka Apni Kabr E Mubarak Pe Namaz Padhna
Hadees :
Hazrat Anas Bin Malik رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se rivayat hai k Nabi e Karim ﷺ ne Farmaya Jab Safar e Meraj Me Gujar Hazrat e Moosa عليه السلام Ki Kabr e Mubarak K Pass Se Jo Raith K Surkh Teele K Paas Wakay Hai Huwa To Wo Apni Kabr Me Khade Namaz Padh Rahe The”
References :
(Sahi Muslim, Kitab No 43 Kitabul Fazail, Baab : Fazail E Moosa عليه السلام, Pg : 966, Hadees : 2375)
(Sunan Nasai, Vol : 2, pg : 237, Kitab No 20, Kiyam Al Lail, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA عليه السلام Hadis: 1630/1636)
Gair Mukallid k Idara Darusalam ne bhi Is hadees ko Sahi Likha Hai.
(Imam Nasai, Sunan Al Kubra, Vol : 02, Kitabus Salat, Baab : Zikr Salat NABI ALLAH MOSA Bil-Laiyl , Hadis: 1330)
(Imam Ahmad Bin Hanbal ne : Al-Musnad, Vol : 03, Pg-148, Hadith-12526, 13618)
Subhan Allah is se ye bhi saabit hua k Ambiya عليه السلام Na Sirf Kabr me Zinda Hai balki Namaz bhi ada karte hai aur Namaz to Zinda hi padhte hai ya murda padhte hai ?
Pata Chala Namaz padhna to Jism e Haqiki k saath hai.
Tamam Ambiya Alaihimusalam Ki Imamat Baitul Mukaddas Me
“Nabi e Karim ﷺ ki aamad Baitul Mukkadas me Hui Jaha Tamam Ambiya Alaihi Salam ko pehle se hi Jama kiya gaya tha Huzoor e Akram ﷺ Ko dekh Sabne khushaamdeed Kaha aur Namaz k wakt sabne Aap Huzoor ﷺ ko Imamat k Liye aage hone ko Kaha aur Phir Jibrail E Ameen عليه السلام ne Aaka ﷺ ka Dasta Mubarak Pakad kar aage Badha Diya aur Aap ﷺ ne Tamam Ambiya Alaihi Salam ki Imamat Farmayi”
Reference :
(Sunan Nasai, Kitab No 05 Kitabus Salah, Baab : Faraiz E Salat Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 448)
(Imam Tabrani Al Majmaul Ausaat, Vol : 3, Pg : 160, Hadees : 3879)
Imam Busairi رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه farmate Hai
Baitul Muqaddas Me Tamam Ambiya Wa Rasool Ne Aapko Aage Kiya
Jaise Makdoom Apne Khadimo K Aage Hote Hai
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan رَحْمَةُ اللهِ عَلَيْه iski Tashreeh karte hai
NAMAZ E AKSA ME YE THA YEHI SIRR, I’YAA HO MANIYE AWAAL AAKHIR
KI DAST BASTA HAI PICHE HAAZIR, JO SALTANAT AAGE KAR GAYE THE..
No comments:
Post a Comment