Page 14
Hain to is me huzoor aur digar anmbiya ki kya taksis hai aisa ilm to zaid aur umr balke har sabi aur majnun
Balke jami haiwanat bahayem
Ke liye bhi hasil hai kyunki
Har shashk ko kisi na kisi baat ka ilm hota hai
To chahiye ke sab ko Aalim kaha jaye.
Fir agar khud is ka iltezaam karle ke haan mai sab ko Aalim kahunga to fir ilm ko minjumla kamaalaate nabviya shumaar kyo'n kiya jata hai...
Jis amr me momin balke insaan ki bhi khususiyat na ho woh kamaalaate nabuwat Se kab hosakta hai.?
Aur agar iltezaam na kiya jaye to nabi aur gair nabi me wajah farq bayan karna lazim hai,
aur agar tamam Uloom muraad hain ! Is tarah Ki ek fard bhi kharij na rahe to us ka butlaan dalile nakli aur aqli se sabit hai !
Inteha!
Pas sabit huwa Ke khuda ke Woh sab aqawal uski isi dalil se batil hain..
muslamano! dekho ke is badgo ne faqat Muhammad Rasoolullah sallallahu alaihi wassallam hi ko gaali na di balke un ke Rab Ke kalamo'n ko bhi batil aur mardud kardiya!
musalamano ! jis ki zara-at yahan tak puhunchi Ke Rasoolullah sallahu alaihi wassalam ke ilm e gaib ko pagalo aur janwaro ke ilm Se milade aur imaan aur islaam aur insaniyat sab Se Aakhe'n band kar ke saaf keh de Ke nabi aur janwar me kya fark hai...
use se kya tajjub Ke khuda ke kalamo'n ko radd kare
batil bataye pase pusht dale zere paa male balke Jo ye sab kuch kalamullah Ke saath kar chuka
wahi Rasoolullah sallallahu alaihi wassalam Ke saath us gaali par zura.at kar sakega magar haan usse dariyaft karo Ke ap ki ye taqrir khud ap aur ap ke Asateza me jari hai ya nahi?
Agar nahi to kyu??
Aur agar hai to kya jaawab hai?
Haan in badgoyo,n se kaho!
kya Aap Hazraat apni taqrir ke tour par Jo ap ne Muhammad sallallahu alaihi wassalam ki shaan me jaari ki khud apne Aap dariyaft ki ijaazat de sakte hain Ke ap sahebo'n ke Aalim fazil molvi mula chuni chuna fala fala kyo'n kaha jata hai
Aur haiwanat aur bahayem masalan kutta suwar ko koi un Alafaz se tabir nahi karta
in munasib Ke ba.as Aap ke Atabaa aur aznaab Aapki tazeem o takreem o toukir kyo'n karte dast o paa par bosaa dete hain..
aur janwaro'n maslan ullu, gadahe, Ke saath koi ye bartaao nahi barttaa??..
No comments:
Post a Comment