async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 33

Friday, November 20, 2015

33

Page 33

Muhakik alal-itlak ibne al-humam aur allama khusro Sahab dar-rou-garo allama zainn bin nazim Sahab behrul-rayek aur ashabah wal-nazayer aur allama umar bin nazim Sahab nehrul-fayek aur allama Abu abdullah Mohammad bin abdullah ghazi Sahab tanwirul-absar aur allama khairuddin romani sahabe fatawa khairiyah aur allama shaikhi jadhah Sahab mazma-ul-anhar-aur-allama mudikikak mohammad bin Ali haskfi sahabe-durre-muktar wagaira Ahmad kabar alaihim  rahmatullahhim-azizul gaffar ne iktiyar farmaya

Is liye Ke adami qabul tauba shifa hakime Islam Ke youn hai Ke woh us mamle me baad tauba bhi Sajah maut de warna agar tauba sidak dil Se hai to indallah makbul hai kahi ye badgo is masle ko dastawiz na banale Ke akhir to tauba qabul nahi fir kyon tayeb ho! Nahi nahi tauba Se kufr mit  jayega musalman hojaoge jahannam abadi se nijat paoge is kadr par izma hai

Is firke be-deen ka tisra  makr ye hai Ke fikah me likha hai jis me ninanwe baate kufr ki ho aur ek baat Islam ki to us ko kafir na kehna chahiye!

Awwalan ye makr khabis sab makaron Se bad-tar aur zaeef jis ka hasil ye Ke Jo shakhs din me ek baar azan de ya do rakat namaz padhle aur ninanwe bar but pooje sunkh foonke  ganti bajaye  woh musalman hai Ke us me ninanwe baate kufr ki baat Islam ki bhi hai yahi kafi hai halaki momin to momin koi akil us musalman nahi keh sakta!

Saniyan us ki ruse soulo harye Ke sire Se khuda ke wajud hi ka munakir ho tamam kafir mushrik majus hunud yahudi wagaira hum  duniya bhar ke kuffar sab musalman thahere jate  hai Ke aur baate ko munkir sahi akhir wajud e khuda ke to qayel hai! Ek yahi baat sab Se badh kar Islam ki baat balke   tamam Islamic baaton ki asal-al-usul hai khususan kuffar falasafa aur aryah wagaira hum  Ke bajam khud touhid Ke bhi kayel hai aur yahud-aur-nasara to bade bhari musalman tehrenge Ke touhid Ke saat Allah ta'al Ke buhat Se kalmon aur hazaron nabiyo aur

No comments:

Post a Comment