Page-002...
Ek Aiteraz Ka Jawab:-
Jab Yeh Risaala "Tamheed-E-Imaan" Mein Ek Shakhs Ne Baar Baar Yeh Padha Ke Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai;
To Us Ne Huzoor AalaHazrath (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ke Kisi Motaqid Se Us Ka Zikr Kiya Ke Moulana Ahmad Raza Khan "Tamheed-E-Imaan Mein Har Jagah Likhte Hain Ke Dekho Tumhara Rab Azwa-jal Farmaata Hai To Kya Moulana Ka Khuda Jalle-Jalaalahu Nahi Hai.? Unhone Fauran Hi Ye Sawaal Sarkar AalaHazrath Ki Khidmat Mein Irsaal Kar Diya Us Ka Jawab Sarkar AalaHazrath Azeem-ul-Barkat Ne Diya Jo "FATAWA AFRICA" Musannifa Sarkar-E-AalaHazrath, Imaam Ahmad Raza Khan (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Mein Shameel Hai,
Is Fatawe Mein 10 Qurani Aayat Aur 10 Hadees-e-Kareema Se Apni Baat Ko Sabit Kiya Hai..
Quran-E-Paak Mein Sayyedina Nooh [AlaihisSalam] Ne Apne Rab Se Apni Qaum Ki Shikayat Mein Arz Karte Hain Ke Main Ne Unse Kaha Tumhara Rab Bahut Bakshne Wala Hai Tum Us Se Maafi Chaho;
Kya MaazAllah Woh Nooh [AlaihisSalam] Ka Rab Nahi..!
Sayyedina Moosa [AlaihisSalam] Ne Firaun Ko Bataya Ke Allah Woh Hai Jo Tumhara Rab Hai Aur Tumhare Agale Baap Dadao
Ka;
Kya MaazAllah Woh Moosa [AlaihisSalam] Ka Rab Nahi..!
Isi Tarah 10 Quran Ki Aayat Ke Baad Hadees-E-Paak Saboot Pesh Kiye Hain..
Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Farmaate Hain Munafiq Ko Sayyed (Sardar) Mat Kaho Ke Agar Woh Tumhara Sardar Hua To Beshak Tumhare Rab Ka Tum Par Gazab Hua..
Rasoolullah {Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam} Ne Farmaya Beshak Tumhara Rab Apne Bande Se Bahut Khush Hota hai Jab Banda Kehta Hai illahi Baksh De..
Ye Sirf 2 Quran Ki Aayat Aur 2 Hadees Pesh Kardi Gayi Hai Jis Ko Pura Fatwa Dekhna Ho Woh Fatawa Africa Mein Dekhein..
No comments:
Post a Comment