async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 34

Friday, November 20, 2015

34

Page 34

Qiyamat aur hashr aur sawab aur azab  aur jannat aur naar wagaira ba-kasrat Islamic baaton Ke kayel hain!  
Salesan us ki radd me Qurane-azim ki woh ayate Ke uper  guzri kafi aur wafi hai jinme ba-wasaf kalma goyi aur namaz khawani sirf ek ek baat par hukm takfir farma diya! Kahi irshad hua woh musalman ho kar is kalme ke sababkafir ho gaye! Kahi  irshad farmaya bahane na banao tum kafir ho chuke imaan Ke baad halake is makare khabis ki bina par jab tak 99 Se ziyada kufr  ki baate jama na ho jaye sirf ek kalme par hukme  kufr sahi. Na tha! Haan shayad is ka jawab de Ke ye khuda ki galti ya jald  Baji thi dhakke  de de kar sirf ek ek lafz par Islam Se nikala aur fir jabardasti ye Ke uzr bhi na karne diya
Na uzr sunne ka qasad kiya
Afsos hai khuda ne pairnechar ya nadwiya
lekchar ya un  Ke hum  khayal kisi wasiul Islam rifarmar Se maswara na liya
Rabian is makr ka jawab

Tumara rab az-wal-jal farmata hai:

To kya Allah ke kalam  ka kuch hissa mante ho aur kuch hisse Se munkir ho, to Jo koi tum me Se aisa kare us ka badla  nahi magar duniya ki zindagi me ruswahi aur qiyamat Ke din sab se  ziyada shakht  azab  ki taraf palte jayenge aur Allah tumhare kotako Se gafil nahi! Yahi log hai jinhone ukba bechkar duniya kharidi to na un  par Se kabhi kazab halka ho na un  Ke madad pohuche!

Kalame ilahi me farz kijiye agar. Hazar baate ho to un  me Se har ek baat ka manna ek Islamic aqida hai! Ab koi agar shakhs

No comments:

Post a Comment