Page 10
Wal jaan sallallahu alaihi wasallam khuda raah zara insaaf kar woh saat bahtar hain jo un logo se yak lakht tarke ilaqa kar dene par milte hain ke dil me imaan zam jaye Allah madadgar ho jannat mukaam ho Allah walon me sumaar ho muraad e mile khuda tujhe se raazi ho tu khuda se raazi ho
Ya ye saat bhale me jo un logo se talluk laga rahne par padenge ke zalim gumrah kafir jannami ho akhirat me khwar ho khuda ko iza de khuda dono jahan me lanat kare hayhaat hayhaat kon kah sakta hai ke ye saat achhe hain kon
Keh sakta hai ke woh saat chhorne ke hai magar jaan biradar khali ye ke dono to kaam nahi deta wwahn to imtehan ki thehri hai abhi aayat sun chuke
kya us bhulawe me ho ke bas jabaan se kah kar chhut jaoge imtehan na hoga!
Haan yehi imtehaan ka vaqk hai
Dekho ye Allah waheed e kahhar ki taraf se tumhari janch hai dekho woh farma raha hai ke Tumhare rishte ilaqe qayamat me kaam na aayenge mujhse tod kar kis se jodte ho
Dekho woh farma raha hai ke mai gaafil nahi mai be khabar nahi tumhare aamaal dekh raha hun tumhare
Aqwaal sun raha hun tumhare dilo ki haalat se khabardaar hun dekho be parwahai na karo paraye pichhe apni aaqibat na bigaado Allah aur rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ke muqabil zid se kaam na lo dekho woh tumhare apne shakht aazab se darata hai us ke aazab se kahin. Panah nahi dekho woh tumhe apni rahmat ki taraf bulata hai be us ki rahmat ke kahin hibaah nahi dekho aur gunaah to bade gunaah hote hai jin par Aazab ka istahaqaq ho magar imaan nahi jaata aazab hokar khwah rab ki rahmat habib ki shafa'at se beaazab hi chhutkara ho jayega ya hosakta hai magar ye Mohammed rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki tazim ka mukaam hai un ki azmat un ki mohabbat madaare imaan hai quran e mazeed ki aayat e sun chuke ke jo is mamle me kami kare us par dono jahan me khuda ki lanat hai dekho jab imaan gaya fir islaa abad la abad tak kabhi kisi tarah hargiz Aslan aazab e sadid se rehai na hogi gustakhi karne wale jin ka tum yahan kuchh paas lehaaz kar do haan apni bhugat rahe hoge tumhe bachane na aayenge aur aaye to kya kar sakte hain fir aison ko lehaaz kar ke apni jaan ko hamesha hamesha gazbe
No comments:
Post a Comment