async='async' crossorigin='anonymous' src='https://pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js?client=ca-pub-6267723828905762'/> MASLAK E ALAHAZRAT ZINDABAAD: 19

Wednesday, November 18, 2015

19

Page 19

Aur un  Ke sath wale ne kiya Ke mere liye apni koum Ke saaf dushman ho gaye aur tinka todh kar in Se judayi karli aur khol kar keh diya Ke hum Se tum Se kuch ilaqa nahi
hum tum  Se kitayi bezar hain tumhe bhi aisa hi karna chahye!
Ya tumhare bhale ko tum Se farma rahe  hain
mano to tumhari khair hai na mano to Allah ko tumhari kuch parwah nahi jahan woh mere dushman hue un  Ke sath tum bhi sahi, me tamam jahan Se  gani hun aur tamam khubiyan se  mousuf,

YE TO QURAAN E AZIM KE AHKAM THA:

Allah ta'ala jis Se balayi chahega un  par amal ki toufik dega magar yahan do firqe hai jin ko un ahkam me uzr pesh aate hai!

Awwal be-ilm nadan un  Ke uzr do kism Ke hai! Uzr awwal fhalan to humara ustad ya buzrugo ya dost hai us ka jawab to Quran-e-Azim ki mataahid ayat Se sun chuke Ke rab az-wa-jal ne bar bar batkarar sarahtan farma diya Ke gazab-e-ilahi Se bachna chahte  ho to us baab me apne baap ki bhi riayat na karo! Uzr Dom sahab ye badgo log bhi to molvi hai bala molviyon ko kya kafir samjhe ya buri  Jane is ka jawab

TUMHARA RAB AZ-WA-JAL FARMATA HAI:

Bala dekh to jis ne  apni khawahish ko apna khuda bana liya aur Allah ne ilm hote saate usse  gumrah kiya aur us Ke kaan aur dil par muhar laga di aur us ki ankh par patti chada di to kon use rah par laye  Allah Ke baad, to kya tum dhayan nahi karte aur farmata hai :

No comments:

Post a Comment