Part 1
بسم الله الرحمن الرحيم
Aaj ki ladkiyan apne se umar me bade ladke se ya jinki shaadi ek baar hogai ho fir unki biwi inteqal kar gai ho ya fir unka talaq hogaya ho Ya fir unki biwi ho
Aise mard se shaadi nahi karna chahti aur yahan tak ki bahut saari ladkiya kuwari hi rah jati hai aur kuchh to Wahabi deobandi hindu ahle hadees ladke se shaadi kar leti hai maaz Allah
Astagfirillah
Iske alawa badmazhabon se shaadi ye is liye bhi kar leti hain kyounki inko sunni me paise wala achha ghar wala nahi milte maazAllah
Mai ab aisi ladkiyon se sawal karta hun jo aisa khyal rakhti hain aur jo aisa sochti aur karti hai
Kya Hazrat e aaisha radi Allahu anha ke baare me ap nahi janti
Aur kya ap islam ke qanoon se wakif nahi
Islam me 4 shaadi tak izazat hai haishiyat hai to
Lekin jab ladki shaadi shuda se shaadi hi nahi karegi to
Ya jo apne shouhar ko dusri nikah nahi karne deti unke paas is aayat ka kya jawab hai ??
Tarjuma:-"nikaah karo jo tumhe pasand aaye aurato se do aur teen -teen aur chaar-chaar aur agar ye khauf ho ke insaaf na kar sakoge to ek se"
Aur jo paise aur achhe ghar ke liye badmazhabon se kar leti hai shaadi uske paas is hadis ka kya jawab hai
Hazrat Sahal Radiallah anhu bayan karte hain ke Nabi kareem Sallallahu alahi wasallam ki khidmat me ek aurat hazir hui aur us ne arz kia
ya Rasool Allah ﷺ
mai isliye hazir hui hun ki apni zaat Aap Sallallahu alahi wasallam ko hiba kar du
Nabi kareem Sallallahu alahi wasallam ne use dekha aur poori tarah se neeche se uper tak jaiza liya fir aap ne apna sare mubarak jhuka liya
Jab us aurat ne dekha ke Aap Sallallahu alahi wasallam ne us ke bare me koi faisla nahi farmaya to ek taraf ho kar baith gaye
Fir Sahaba kiram Radiallahu anhuma me se ek sahabi uthe unhone arz kiya :
Ya Rasoollallah Sallallahu alahi wasallam, agar aap ko is ki zaroorat na ho to is ka nikah mere sath kar dijiye
Aap Sallallahu alahi wasallam ne pucha :
Tumhare paas (mehar dene k liye) kuch hai?
Unhone ne arz kiya : Allah ki qasam ya Rasoollallah, mere paas kuch nahi hai
Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya : apne ghar jaa kar dekho kya koi cheez dastyab ho sakti hai ?
Wo ghar gaye aur wapas aa kar arz kiya : Allah ki qasam ya Rasool Allah ﷺ
, muje ghar me bhi koi cheez nahi mili
Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya : talash karo aur dekho khwah lohe ki anguthi hi mil jaye
Chunanche wo fir ghar gaye aur wapas aa kar kahne lage : ya Rasool Allah ﷺ
, Allah ki qasam lohe ki anguthi bhi nahi hai albatta ye mera zere jama (tehbnd) zaroor hai
Hazrat Sahal Radiallah
anhu ne kaha ke un ke paas chadar bhi na thi
Un sahabi ne kaha : Main is (tehband) me se aadha bataure mehar dene ko tayyar hun
Is par Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya : wo tumhare tehband ko le kar kya karegi kyun k ise to agar tum pahnoge to is aurat par kuch na hoga aur agar ise pahnne doge to tum par kuch na hoga
Is ke baad wo shakhs baith gaye aur kafi der baithe rahe fir uthe (aur jaane laga)
Jab Rasoollallah Sallallahu alahi wasallam ne unhe peeth mod kar jaate dekha to Aap Sallallahu alahi wasallam ne unhe bulwaya
Jab wo aa gaye to Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya : tumhe Qur'an me se kuch yaad hai?
Unhone arz kiya : k muje falan falan sooratein yaad h
Us ne gin kar sooraton ke naam bataye
Aap Sallallahu alahi wasallam ne pucha : kya tum in sooraton ko zubani apne hafze ki madad se padh sakte ho ?
Us ne arz kiya : Haa,
Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya : accha ise le jao yeh main ne tumhare qabze me di (yaani ise tumhare nikah me diya)
Us Qur'an ke aewaz jo tumhe yaad hai (yaani itna Qur'an ise seekha dena)
(SAHIH BUKHARI KITAB FAZAIELUL QUR'AN BAAB 22)
Mai ummid karta hun baat samjh me aagai hogi
Ek masla aur ap ko bata dun
masla
Quadyani balke har bad aqida wahabi,dewbandi,maududi,shiya,tabligi etc us ke sath na kuchh khaye na piye.
Na us se rishta rakhe balke us se baat hi karne ki ejazat nahi.
Hozur ne farmaya
"Un se dur raho aur unhe apne se dur rakho"
(fatawa razviya jild 23 page no 598)
Ek aur hadees e mafhoom pesh karta hun
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya. (Mafhum)
Tum un se kalam na karo,
Un ke saath na khao,
Un se Nikaah na karo,
Un ke sath na baitho,
Unhe khus se aise juda kar do jaise aate me se baal ko judaa karte hai. ( mafhoom e Hadith)
(Mishkat Sharif, page-1, Hadith No.1)
Ab ap ko pata chal gaya ke shariyat ka qanoon kya hai
Ke Allah ne farmaya 2 ya 3, 3, ya 4, 4, nahi to ek hi se nikah karo
To sunni baheno ko chahiye ke agar unke shouhar ki haishiyat ho ke wo ek se zyadah ko rakh sakte hain to ap khud apne shouhar se kahiye ki ap aur bhi shaadi kar lijiye taaki Allah ke huqm par amal hojaye
Aur iske bahut saare faide hain sab batana mumkin nahi post aise hi lamba hogaya
Aur jo ladki apne se bade mard se nahi chahti shaadi karna unko Hazrat e aaisha radi Allahu anhu ko dekh kar sabak hasil karni chahiye
aur Hazrat e hazra radi Allahu anhu Hazrat e ibrahim alaihissalam ke dusri biwi ko dekh kar sabak hasil karni chahiye
Aur ladka agar sunni ho to kar leni chahiye chahe wo 40 saal kyun na ho ye uske haq me kuwari rahne aur badmazhabon se shaadi karne se achha hai
Aur jo gareeb sunni se na kar ke paise wale Wahabi deobandi ya kisi bhi badmazhab se karti hai unke liye upar jo lambi hadees guzri kabil e amal hai unko chahiye ke ap sunni gareeb se hi kar le ye ap ke liye kuwari rahne aur badmazhabon se karne se achha hai
Aye sunni baheno shariyat ki pabandi karo
Aur Hazrat e ali ke qoul se nasihat hasil karo
Hazrat e ali radi Allahu anhu farte hain
Zarurat puri karo khwahish nahi kyu ki zarurat fakiron ki bhi puri ho jati hai aur khwahish badshahon ki bhi puri nahi hoti
Jo shariyat me hamare liye hai wohi dunya aur aakhirat ke liye bahtar hai agar ham apne khwahishon me doob gaye to na khwahish puri hogi kabhi aur na dunya akhirat me qamyabi
Aur aakhari me sunni bhaiyon se jo paise ke lalach me badmazhabon se shaadi kar lete hai ya bahut baar ye bhi dekha gaya ke sunni me achhi ladki na milne par ya bahut saare wajuhaat hai ginti karaun to itna bada ek post aur likhna hoga
Mere sunni Bhaiyon agar ap ki haishiyat hai to ap 1 se zyadh jitne ki haishiyat hai shaadi kariye sunni ladki se hi
Ya koi bewa hai to bewa se ya koi sunni gareeb ladki hai to usse bhi kariye
Ye hamare liye bahtar hai
Apne khwahishon na padhiye
Jo Allah aur uske rasool ne hame karne ko kaha jaise karne ko kaha waisa hi ham sab sunni bhaiyon aur baheno ko Allah karne ki bhi toufiq ata farmaye
Aur shariyat par zyadah se zyadah amal karne ki toufiq ata farmaye
Apne habeeb ke sadqe ameen
Sallallahu alaihi wasallam
By www.Hashmatinetwork.blogspot.com